Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"upar" poems
Mohabbat ne yaha logo ko kya se kya bana dala usse jo heer samjha to mujhe ranjha bana dala mili mujhko na wo iss baat se shikwa nahi fir v usse pakar v naa paya ajab kissa bana dala ! akela jab v chalta hu tujhe hi saath pata hu jami se aashma tak mai tera ehshas pata hu khudaye ishq ne mujhpe v kya aisa sitam dhaya mai girna v jo chuahu to sada upar hi jata hu ! tujhe mai pyar se dekhhu ya nafrat ka hawala du jo jeevan me bhara ** tam to fir kaisa ujala du mujhe to ishq ne barbaad kar tara bana dala chamakta hu falak par mai jaami ko kya ujala du ! jaami se ashma ka ** safar tu saath chalta hsi bina tere mujhe jeevan v ab abhishaap lagta hai mujhe gum naa judai ka khuda meri yahi sun le naa tu mujhko samajhti hai naa wo mujhko samajhta hai !!!!
0
Mar 12, 2015
Mar 12, 2015 at 3:03 AM UTC
Mohabbat ne yaha logo ko kya se kya bana dala
Dil ki kalam se kuch likhte hain aahat, Bn chuke hain aap hamari aadat. Aapki pyaari si muskurahat dekh jo sukoon milta, Hamara masoom chehra bhi nanhi kali jaise khilta. Saanso mein chupi har hayat hai aapki, Jab aap hain saath sawar jayegi zindagi. Do pal bhi nahi reh sakte aapke bin, Raatein kat jaati taare gin gin. Naam aapka pehchaan hai hamari, Har dadhkan ki awaaz hai tumhari. Hothon par muskurahat hai aapke naam ki, Aapke khayalon mein uljhe raat se subah ** jaati. Qubool ** gayi dua hamari, Mil jo gayi humein chahat tumhari. Nahi hai koi Chah ab hamari, Jabse judi humse dadhkane tumhari. Jazbaaton ka sagar hai gehra, Dil mein hai humsafar ka basera. Mohabbat ka rang aisa chhadhaya hai tumne, Feeke lagne lage har rang iske saamne. Jaane kis qadar imtehaan leta hai khuda, Bs gujarish hai usse karna na kabhi juda. Jab tak dadhkane chal rahi hain unki, Zindagi ki har saanse hai sanam sir aapki. Jahan mera humsafar ** De dena jagah humko. Har kadam par saath chalna piya mere, Jeene ka shauk nahi ek pal bhi bin tere. Har pal sirf aapko yaad hain karte, Jaane kab mitange ye meelon ke faasle. Saath nibhayenge har mod par aapka, Tumhare andar paya humne khuda apna. Shiddat se itna chahte hai tumhe, Labzo mein baya nahi hum kar skte. Aisa koi labz nahi jo is sacchi mohabbat ko sanjo le, Mohabbat se kai upar hai ye mohabbat jisko koi naam na de .
0
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 8:37 AM UTC
Sacchi mohabbat
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske Usi metro ki tarah par dheere zara Thandi hawayei hain. Usme goonjta mera aaj khada Kuch thandak hai inn hawaon mein Aur bohot sara sukoon bhara Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak? Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin? Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya Kya raambaan sukh yahi toh nahi Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi Kya Ramcharitmanas mein hanumat Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi? Aisa hi amritmay bachpan mein, yaad hai mujhko lagta tha Zameen se shuru uss lambi khidki Se yahi chaand chamakta dikhta tha Mama sa ban chup shant bhav se Kuch baatein meri sunta tha Kyunki khud bhumi par bistar pe so Holi mujhe khilayi thi Khud bhookhe reh uss ke paiso Se mere bhai ko idli chakhayi thi Bohot pasand thi usko uski idli Aur rangbhari mujhe holi meri Kya kabhi unhen main unka wapas Ye rinn chukta kar paungi Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar Unke liye itna kar paungi? Kya usi chaand ki thandak si khushiyan Unki jholi mein bhar paungi? Kya bhool maaf karne ki hadd Ko paar kar kar ke thake nahi wo? Kya raat bhar bhi jagkar subah Hans dawa banna bhoole nahi wo Kya insaani roop mein hain Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
0
Nov 29, 2019
Nov 29, 2019 at 10:16 AM UTC
Maa Baap
Ek arsaa ** gya h aabaadi dkhte dkhte Ab khushal ped nhi patjhad lubhata h mjhe Ab to there ishq mai khaak hona h mjhe Ab to bas barbaad hona h mjhe Ab suraj ki roshni nhi andhera pyara lgta h mjhe Ab upar Jana nhi girna pyara lgta h mjhe Ab to tere ishq mai raakh hona h mjhe Ab to bas barbaad hona h mjhe Ab to dil m pyar nhi dard accha lgta h mjhe Is bejaan shareer mai khoon nhi nasha acha lgta h mjhe Ab to tere ishq mai taaj hona h mjhe Ab to bas barbaad hona h mjhe Teri ek ek yaad apne ashko se bahani h mjhe Teri ek ek hasi apne gum se chupani h mjhe Ab to tere ishq mai zinda laash hona h mjhe Ab to bas barbaad hona h mjhe Ishq ki maala m vishwas k motiyon ko todna h mjhe Duniya k jhoote riti riwazo ko todna h mjhe Ab to tere ishq mai kisi shayar k labo ki awaz hona h mjhe Ab to bas barbaad hona h mjhe
0
Jan 9, 2017
Jan 9, 2017 at 12:45 AM UTC
Ab to bas barbaad hona hai mjhe
Kadam Kadam Tere Saath chalunga, Har Kadam tujhe Apna Kahunga, Har Rishte se Upar hai, tera Saath mere liye, Bas Esi Tarah Zindagi Bhar tujhe Pyar karta Rahunga, Tere Pas hone se, Mere Pas Sab kuch Hai, Har Dukh, Har taklif Mujhse Door hai, Bas Tujhe Khush Dekhna Chahta hu Hamesha, Tere Sath Rehna Chahta Hu Hamesha, Ye Choti si Zindagi hai, Choti si Duniya hai, Jo tu hai to Sabkuch hai, warna mera kya yaha hai, Bas Saath Dena mera, ye pyar me Zindagi bhar Nibhaunga, Kadam Kadam Tere Saath chalunga, Har Kadam tujhe Apna Kahunga, Zindagi Aasan nahi, Yaha chalna bada Mushkil hai, Hosla mat Harna, Chalte Rehna mere saath yahi Zindagi hai, Kuch Tum chalo, kuch me chalu Bas esi tarah Aage Badhte Rahe, Tum mera or me tumhara bas esi Tarah dono 1 dusre ka saath dete Rahe, Zindagi Bhar me bas tumhe or tumhe he chahunga, Kadam Kadam Tere Saath chalunga, Har Kadam tujhe Apna Kahunga,
0
Jun 6, 2018
Jun 6, 2018 at 6:39 AM UTC
Untitled
Aa rahe wo din purane Kya tumhe kuch bhi khabar hai Aa rahi shaame suhani Kya tumhe kuch bhi khabar hai Aa rahi raatein wahi jab Milte the chupke se chat pe milke tera muskurana Chaand se raushan samaan mai Teri aankhon ki chamak thi Aa rahe.... Aankh mai aasun ke moti Chehre par khilti hansi thi gum tha jaane ka mere fir Chaunkhaton pe kyun ruki thi Rok leti tab mujhe tu Bus meri wahin khadi thi Aa rahe.... Ab jo tujhse mai juda *** Khud se hi mai kyun khafa *** Mil toh lete hai rojana aasmaan me jo basa *** Dekh upar taare ko us Sabse zyada jo chamakta Pyar hai usme wo mera Tujhse mai jo ab bhi karta Aa rahe.... Fir milenge bol kar mai Nikla tha ghar se akele dekh wada toh nibhaya Tirange mai khud ko lapete Rona mat tu dekh mujhe yun Haste mai mara *** Yaad teri sang mai leke Chaand ki seedhi chadha *** Aa rahe....
0
Apr 18, 2017
Apr 18, 2017 at 3:14 PM UTC
Aa rahe wo din purane
Ek Baar Suno Kuch Aisa Hua Wo Mujh Ko Mili Main Us Ko Mila Izhar Hua Iqraar Hua Wo Dost Bani Main Yaar Hua Usey Ishq Bohat Mujhe  Pyaar Bohat Hum Dono Mein Takraar Bohat Phir Ek Din Kuch Yun Hua Wo 6od ke Gayi Main Toot Gaya Phir Ek Din Hum Kuch Yun Millay Wo Tanha Thi Main Akela Tha Bas Hum Do Thay Aur Koi Na Tha Woo Rone Lagi Main Bebas Raha Na Pyar Na Hi Izhaar Raha Bas Farq Sirf Itna Hi Raha Main MITTI KE UPAR ROTA RAHA... Wo MITTI KE ANDAR SOTI RAHI...
0
Aug 3, 2016
Aug 3, 2016 at 3:49 AM UTC
She's gone...