Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Maa
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia

Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha

Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya

shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi

Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi

hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye

Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye

to be continued ........(next part may be in next week)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Vineeta rai Dec 2018
Log Kehte hai jo pyar karta hai...
Wo hi gussa karte hai....
To kya gussa aur beizzat Karne Me...
Wo farak nahi janta hai....
Kisi ke liy pyar Me gussa karna jayas hai....
Par...par...
Kya ush pyar ke naam par ushe jalil karna ulta kehna Abuse karna bhi pyar me jayas hai...
Janab Agar ishe pyar kahte hai to dur hi raho aise pyar se...
Jo khusiyo ke jagah udaasi de...
Khusi ke jagah gum De...
Izzat ke bajae beizzat kare...
Aur last me galti accept krne ke bajae ush glti ko aisa naam de...
Pyar me dono partner ko imp. Dena jaruri hai...
Ek jhuke to ye nahi ki app hmesa ushpe ungli uthao ushe jhukao...
Jb tk wo jhuk rahi thik hai jis din wo ye sochne lagi ki hmesa wo kyu...
To kuch bhi kar loge wo laut ke nahi aaegi....
Waqt se pehle kadar Karna sikh lo..
Aksar hame jiski kadar nahi hoti wo kadar tumhe waqt dilata hai...
Aur tb tak bahut der ** jati hai...
Relationship ek dhage ke trah hota hai...Jada khichne par tut jata hai...ushe bacha ke rakho...hmesa samne wale ko jhukta mt dekho kv khud v jhuko relationship me bus ek nahi 2 log hote hai dono ka farz bnta hai....
Hozefa Apr 2019
Meri paidaish k waqt woh khushi aur fikr ke mix emotions mein kho raha tha....
Mujhe janam to meri maa de rahi thi, par usse dekh inhe bhi dard ** raha tha.

Jab main bol nahi pata,tabse meri khawahisho ko pura karne ka zimma uthaya tha...
Kandhe pe bitha kar duniya dikhayi aur ungli pakad ke papa ne chalna sikhaya tha.

Bhale khud,hindi medium mein aathwi kaksha tak ki thi padhai....
Par paise jama kar kar, seher ki best English school mein meri admission thi karwayi.

Office mein over time kar ke, mere future ki planning mein paise bachate the.....
Khud eid pe purane kapde pehente, par humare liye naye kapde silwate the.

Par tab zindagi mein, papa ka balidan aur pyaar kaha samjh mein aana tha.....
Papa ko thank u, i love u baad mein keh denge abhi to sirf paisa kamana tha.

Phir ek raat dosto k sang, madhoshi humpe chahi thi.....
Par waha fikr k maare papa ko neend kaha aayi thi.

Papa ka phone aaya to number dekh pehle phone kaat diya.....
Jab wapas call aaya to   "kyun pareshan kar rahe **" keh kar papa ko daat diya.

Phir agli subah phone aaya to socha, papa ko baar baar phone karne k liye naa kahe....
Par samne se awaz aayi "yeh jiska phn hai, unhe raste pe dil ka dora aaya, aur woh abb nahi rahe"

Aaj raat hai par sulane wala nahi....
Dost aur party hai par phn kar haal puchne wala nahi.

Aaj kehne to bahut kuch hai, par koi sunne wala nahi...
Abb bol sakta hoon, phir bhi khawahisho ko pura karne wala nahi.

Jab keh sakta tha tab maine kaha nahi....
Aaj paisa to bohot hai, par thank u, i love u kehne ko papa nahi.

— The End —