Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Vineeta rai Dec 2018
Log Kehte hai jo pyar karta hai...
Wo hi gussa karte hai....
To kya gussa aur beizzat Karne Me...
Wo farak nahi janta hai....
Kisi ke liy pyar Me gussa karna jayas hai....
Par...par...
Kya ush pyar ke naam par ushe jalil karna ulta kehna Abuse karna bhi pyar me jayas hai...
Janab Agar ishe pyar kahte hai to dur hi raho aise pyar se...
Jo khusiyo ke jagah udaasi de...
Khusi ke jagah gum De...
Izzat ke bajae beizzat kare...
Aur last me galti accept krne ke bajae ush glti ko aisa naam de...
Pyar me dono partner ko imp. Dena jaruri hai...
Ek jhuke to ye nahi ki app hmesa ushpe ungli uthao ushe jhukao...
Jb tk wo jhuk rahi thik hai jis din wo ye sochne lagi ki hmesa wo kyu...
To kuch bhi kar loge wo laut ke nahi aaegi....
Waqt se pehle kadar Karna sikh lo..
Aksar hame jiski kadar nahi hoti wo kadar tumhe waqt dilata hai...
Aur tb tak bahut der ** jati hai...
Relationship ek dhage ke trah hota hai...Jada khichne par tut jata hai...ushe bacha ke rakho...hmesa samne wale ko jhukta mt dekho kv khud v jhuko relationship me bus ek nahi 2 log hote hai dono ka farz bnta hai....
Ye sab sach hai, geet nahi hai

Tadpan, peer, udaasi, aansoo,
baichaini, upwaas, amawas,
ajab preet ka mausam man mein patjhar hai,
nayano mein pawas,
is almast jugalbandi se bahar,
kuch bhi preet nahi hai,
ye sab sach hai,
geet nahi hai….



Log mile kitne angaaye,
kitne ulajh ulajh suljhaaye,
kitni bar darane pahunche,
aankhon tak kuch kaale saaye,
jo in ka yugbodh na samjhe,
sathi hoga meet nahi hai,
ye sab sach hai,
geet nahi hai…..

Apmaano ki saras kahani,
jag bhar ko hai yaad jubaani,
aur vijay ke udghoshon par ,
duniya ki yun aanakaani,
khud se alag lade yuddhon mein jeet mili,
par jeet nahi hai,
ye sab sach hai,
geet nahi hai….
kaisi hai yeh udaasi
mile toh bhi
na mile toh bhi
zindagi ke safar me
dard e ishq ki wajah se
chup chupke
chhupte rahe
aur phir raakh ** gaye
dard e boond judaai se

waqt beeta
phir waqt beeta
aur raakh e dard me
doobe ek jhil si aankhon me
shayad zinda ya phir jashn e raakh ** gaye

ab sochte hi nahi
ki kal kya hoga
aaj me hi kal ko dhoond ne ki khwaashish na dekhte
sirf aaj ...  thaand e pagal
aawaara burf ki chadar ko choomte
bebasi tanhai ko thodi der ke liye alwida kehte....
Neeraj katta Feb 2019
Mene tamam umar me dekhi aisi zindgi.
Nanga badan ,bhuka insaan or maili thi chadar kahi .
Maa ne aankho pe aanchal dal kar ye keh diya mujhe .
Khushiya hai udaasi haai ghum bhi hai tu dekhle.
Duniya me tum maa jaisa paoge na fir kahi.
Nk
Akta Agarwal May 2021
Ha mene mehesus kiya
Aas pass mere kisiki saasein chalti thi
Udaas si wo baatein Krti thi
Ha mene mehesus kiya
Dur khi darwaje s aati uski udaas bhari aawaj
Jese wo Khti
Usko chahiye tera saath
Bht sataane lgi thi uski rone ki awaaj
Ha wo dikhti nhi thi
Pr ha uske aas pass hone ka hota tha ahesas
Uski udaasi bht satati thi
or draati thi
Mene pucha v kae baar khon ** tum
q h dukh bhara tumhara aawaj
Wo khti btakti si hu m ek aatma
Jiski puri nhi hue aash
Jiske sang hua vishwash ghat
esliye drd bhara h Mera Aawaj
Pta nhi bsh ** chla uspe viswash
Ha lr pari duniya s
dene ko uska saath
fir mil gya usko insaaf
aazad hue pinjare s wo aaj
Mila ush bhatakti aatma ko swarg m nivaash
Or mushe hua sukh ka ehsaash

— The End —