Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Feb 2017
Bikhar se gye ye Pal mere khushi ke
Unke chale Jane ke baad,
Nikal gye en aankho se aansoo
Unki yaad aane ke baad,
Aaj nazane kyon khamosh Hai ye dil mera
Unka sath chhut Jane ke baad,
Pal Pal kuchh tutne ki aawaj sunai de rhi mujhe
Sab kuchh tut Jane ke baad,
Hansu to Kaise Hansu jab meri Hansi hi chali gyi
mujhse Ruth Jane ke baad,
Ye ek ek Pal ek saal ki Tarah Kat rahi Hai
Jabse chhut gya unka sath,
Ai Hwa zara unse kah Dena ki mere kabra par ek phul chadha Dena
Mere saans tutne ke baad,
Mere sans tutne ke baad....
Shrivastva MK Apr 2018
Dil ke ehsaas hote hain bhut khaas,
Shayad tabhi umadte hai bhut sawaal iske paas.
Tuta dil or tuta darpan hai ek samaan,
Jodne ki koshish karenge tou hoga kudh ko hi dard jiska nahi hai koi bakhaan.


Dil, Dil se milte hai tou pyar hota hai,
Dil, Dil ke liye hi beqarar hota hai,
Ye lafzon ki bhasha nahi samjhta saab,
Ye tou us nayno ke andaaz ko hi smjh leta hai


Yaaron dil kabhi kisi ka dukhana nahi,
Beshak tutne ki awaaz aati nahi.
Par khuda kasam dard bhut hai hota,
Jab ye nanha dil hai rota.

Jab kabhi hum khud se hi ruth jatey hai,
Dil rota hai aur aankhon se ashq tapak jaatey hai,
Ye bahut nadaan hota hai,
Bin soche hi pyar kr leta hai

Bin ankhiyon ke dekh leta hai bahut kuch,
Bin kaano ke sun leta hai har raag sach much.
Haal apne dil ka suna nahi sakte
Ujad gayi hai duniya jo thi khubsurat isme baste

Sab kuchh es chhote dil me chhipa ke bhi chup rahta hai,
Puri duniya ka dard bhi dedo tou aah tak nahi bharta hai,
Kabhi khush hokar muskura deta hai,
Tou kabhi taklifon ko dekhkar tut bhi jata hai.


Collaboration by Manish Shrivastva and Sonia Paruthi
Akta Agarwal Jun 2021
Sabke zindagi ki kuch aesi kahaniyaan hoti h jo logo s chupi hoti h
Jo bsh kuch anjaana sa hota h
Tik wese hi yh kahani h
Isha ki

Logo ka manna tha wo kathor dil wali amir ghamandi ladki h
Pr log kya jaane wo amir ** k v akeli h
Logo ko kya pta ki wo v bsh kuch waqt pehle khudh s mili h
Mohobbat tutne s jada dard apno k ruthne ya bharosha tutne pr hota h
Wo to ek maasum si thi
Ushe to pta hi nhi tha ki wo kabhi esh Isha s milegi jo ki kathor patthar ki trh sakt h
Pr jis waqt ushe fareb, dokha or bewafaae k dard ka ehesash hua
Uski sachchae s jo wo wakif hue to usne apni masumiyat ko khudh k saamne mrta paya
Usne uske dil ko gilli mitti s kathor patthar bnta paya
Usne apne bharoshe pe bharosha kr sb kuch tutta - bikhrta paya
Ush din apne ko hi nhi apno ko v khudh s dur jata paya
Or ush waqt khudh k maut pr khudh ko rota paya
Or fir bn k tayyar hue kathor patthar
Jisko puri trh smjhna aaj v aashan ** na paya
Zombie Jul 2019
Unko unse mohabbat ** chuki thi,
aur humein unse.
Unko dil tutne ka dar tha,
aur humein unka saath chutne ka.
Unko sambhal ne ke liye hum the,
aur humein sambhalein ke liye syahi, kalam aur kuch yaadein.
Mohabbat humein thi lekin bayana nahin kar paye bs... Unko sambhal te sambhal te khud ko bare mein vhul hi gaye the....
Samraat Anand Sep 2017
TERE DIL ME RAHNE KA SHAUK THA HAMEE BETAHASHA ;

TERE SATH KII IS DIL KOO TALAB THI;

TERE LABH SE KUD KA NAAM SUNNE KA ZID THA…

TU ZINDAGI TOH PAHLE SEE THI MERI;

AUR SHYAD AB ZEENE KA KARAN BHI HOO *** …



CHAH KAR BHI TERE KARIB AANE SE DARTA HUU;

DIN RAAT TUJHE SOCH KAR BHI LABH *** LANE SEE DARTA HUU;

TIL TIL KAR TERE SATH KO MARTA HUU….

AUR KOI PUJHE TOH BAS, HAS KAR ITNA KAHTA HUU;

WO EK MUSAFIR THI JISKI MANJIL MAI NAA THA ;

WO EK CHAKOR THI JISKA CHAND MAI NAA THA;

WO EK DARIYA THI JISKA SAHIL MAI NAA THA…



EK BAR FIR SEE USKEE LIYE YEE DIL MACHAL RAHA HAI;

FIR SEE NAYE SAPNE DEKHNE KOO YEE DIL  MAR RAHA HAI ;

KAISE SAMJHAUU IS NADAN PARINDEE KOO ;

KII TUU EK BAR FIR TUTNE KI OOR BADH RAHA HAI….



WOO KAHTE THE IS JHUTE ISK KI BATEE NA KIA KARO;

DIL TUMHARA HAMME CHOR KISI AUR KE LIYE BHI DHARKEGA ;

KUCH DIN ME AASHIKI KA BHUKAR BHI SAR SEE UTREGA ;

PAR AB KYA BATAE JANAB KOO ,

DEKHE UNHE  TOH MANO EK ARSA SAA HOO GAYA;

PAR AAJ BHI WOO HAR EK PAL ENN SANSOO  ME RAVA HAI;

AAJ BHI IS DIL ME BAS UNKI HI JAGAH HAI;

UNKI YAD ME AAJ BHI RAATE KATHI HAI HAMARI;



FARK BAS ITNA HAI HAMARI CHAHTE EK DUSRE SEE JUDAA HAI….
Survived Dec 2019
Jab mohabbat dil se hui ** na
Toh dil tutne par
Zakhm aur Nafrat bahot gehre hoti hai

— The End —