Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"tumsay" poems
Tere bin yeah zindagi mazaak see lagti hai Har dhuvay mai lipti apni he aag lagti hai Tunay thama tha hath mera toh hum chalna jaan gaye feesal rahia hai kadam kyun ki thokarey apni he lagti hai Nigahain num naa huvi toh gilla rehta he hai Har katrai-e-ansu phir bhi ek shikayat see lagti hai Yeah kis mode pay hum akay rukay,na manzil hai aur naa rasta Faryaad kissay ab karey ki har shey ajnabi see lagti hai. ghum-e-samandar k kinarey pay tanhaa betha hai yeh dil Pass aye toh aye kon ki dardkaney bhi ab sazaa see lagti hai Bichard kay tumsay hum khoye kahaan naa maloom hai Jistiju mai har bikhra nishaan apni he pehchaan lagti hai Yeah kaisi inayat hai ki tummay mang kar yun ruswaye milli kyun har dua ab yun khairaat see lagti hai Yeah ishq kyun aisa hai ,naa tera hai aur naa mera kab aye aur kab gaye ki choti see mulakat lagti hai Ab aur nibaya nhi jata RUMI,yeah **** bina rooh kay Mere waja say yeah duniya kyunki pereshaan see lagti hai ...Aabid Rumii Tanzeelah Illahi
0
May 25, 2017
May 25, 2017 at 4:54 AM UTC
Tere Bin
Aabid RUMI and Tanzeelah Illahi                                                 DUET GHAZAL: DIL NAY MAANA Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat         2 Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat Hai nhi yakeen mujko  lakeeroon pay Mainay  toh ,mohobat nigahoon say ki hai Chahai kismat mai jo bhi likha ** Mainay toh mohobat  sirf tumsay ki hai Ab mainay bhi maana, hai ektiyaar  tumpay aay mohobat Jhoota  he sahe  par karle izhaar  tumsay aay mohobat Janay hum kahaan thay ,lo aaj kahaan chal rahai hai Har mode pay naye  humko humraah mil rahai hai Hai nishaan kuch kay ,aur kuch kay he nhi Jaanay yeh  hawaa kis sang guzar rahai hai Mudatoon say jo hai dharr pay aaj deedar ** aay mohobat Dheer say he sahe meray rozay ka ** iftiyaar aay mohobat
0
Apr 16, 2017
Apr 16, 2017 at 6:19 AM UTC
Dil NAY MAANA
Dil mera hadh main nhi Tumpay he toh behaknay laga Ulja saa tha,issy say pehle Tumsay millkay toh sawaarnay laga Hosh say zaida, khaboon mai rehnay laga Har lamha tuj he pay, guzaarnay laga Maan bhi lo  - pehchaan  lo  -iss dil ko toh ab jaan lo Tere he hissa  hoon mai - batka hoon koi kinara toh do Le chali oo naazni, dil mera kahaan le chali khumar yeh nhi  koi , bas mai  nhi hai dewaangi shammo shubha tujpay he luttey rahai dil ki arizoo nigahoon say kehtey rahai rahoon mai sang tere hum chalnay laga bewaja yun .khamakha muskuranay laga sansu mai ab,tu rehnay lage zindagi ab tummay he zingdagi kehnay lage ikraar hai -izhaar hai -mujpay tere chahat sawaar hai utarta nhi -sambhalta nhi -mujpay tera nasha lazawaal hai le chali oo bereham, karaar mera kahaan le chali bebasi yeh koi nhi,bas main hi  hai awaargi                                          written by: Aabid Rumi
0
Apr 16, 2017
Apr 16, 2017 at 6:21 AM UTC
hadh mai nhi