Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Pumpkin Eater Dec 2017
Bohat dukh hay ke tumne mujhe chora
Bohat dukh hay ke tumne mujhe apna na samjha
Bohat ghussa hay ke tumne mujhe chora
Bohat ghussa hay ke tumne mujhe apna na samjha
Mere Paas to is dukh ko baatne ke liye bhi koi nahi
Mere Paas to aisa bhi koi nahi jispe apna ghussa nikalun
Ekk tum he to thi Jisse apna har gham baat ta Tha mein
Ekk tum he to thi Jisse baat karke Mera ghussa Kam Hota Tha
Tumhe to mene wo wo batein bataayn Jo kisi se keh nahi sakta
Tumpe to mene itna bharosa Kiya jitna kisi pe Kar nahi sakta
Apna saara dukh in alfazon pe nikalta *** mein
Andaza lagao Meri bebasi ka
Andaza lagao mere akele pan ka
Apna ghussa in lafzon ke zariye Kam karta *** ab
Aakhir kab tak likhta rahun ga ye sab apne gham aur
Apne ghusse ko mitane ke liye
Aakhir kab tak
Kabhi to mujhe sache Dil se samjha Hota
Sirf tumhare liye to jeeraha Tha mein
Sirf tumhare liye to ye Dil Tha zinda
Sirf tumhare liye to ye saansen chalrahi thein
Abto apne apse nafrat hogayi hay
Ye zindagi bojh bangayi hay
Meri kismat mein Aakhir kyun thi itni bezaari
Aakhir kyun Tha mein itna badkismat
Aakhir kyun
Sahil Sharma Aug 2018
Aaj achanak hi kyu azadi k din hume apne mulk ki itni yaad aayi
Jb kurbaan hue jawan sarhad pe,tb kyu nhi aankho me nami aayi

Zara dil se b izzat kr lo mere yaaro, kyuki ye zameen h hum sabki
Kuch nahi le jao ge sath apne, milni h ess me hi raakh hum sabki

Koi loot raha h gareeb ki jaeb, koi kr raha h bezuba awaam se faraeb
Umeed h kashmir me aman hoga,toh aur b meethe hoge waha k saeb

Jo saha h dard in kisaano ne, umeed h unka ye dard tumhe b mehsoos **
Daer raat in anderi galliyo se guzrti har beti har maa ki raah mehfooz **

Mazboot kr lo apne rishto ko,inpe h nigah kbhi mazhab ki kbhi siyasat ki
Na rang se pehchan ** na hi adoore ang se,ek si taraki ** har ek riyasat ki

Rishwat gareebi khudgarzi aur na jaane kitne h es mulk ko lge marz
Kbhi fursat hui toh janne ki koshish krna kitne h es maa k tumpe karz

Har bache ko ilm ** es janoon ka,taki ye kamyaabi k kadam ruk na paye
Bss ik ehsaan krna khud pe,ki teri kisi harqat se kehi iska ser juk na jaye

Dhua bss yehi h ki aane wali koi b nasal kabhi na ruksat ** es fitoor se
Chand taaro pe chle b gye agr phir b krte rehna sada salam waha door se
Vrish Dec 2019
Bus eik bast kaho..
Bitaya Tha Jaha paharo pahar...
Gujarti ** tum, jab woha  se...
Hum yaad nahi aate.

Bus eik baat kaho...
Barasti hai jab megha tumpe...
Bhige the his megh me hum...
Woo magh tumhe, yaad nahi aate.

Bus eik baat kaho...
Chuta hai jab, wo tumhare badan ko..
Neri unglio ki chuwan, Teri hethei pe...
Tab bhi hum, yaad nahi aate.

Abb eik baat tu sun...
Ka Liya, bitaa diya air gawa diya...
Pahro pahar intazar aur sankaro mauko ko humne...
Roz ladta Hu Mai khud se..
Ki, bhul kar rahunga Mai...
Abb mita diya yaadon kon Teri..

Par dil bada kambhakat hai...
Par ye dil, bada kambhakat hai.......

Suno na, bus eik baat kaho..
Sach me, Keri yaad nahi aata?
Sharmata bhout hu me,
Kya kru tumpe marta bhaut hu me,
Dek na ik din itmenaan se baat kruga me,  
Apni baato se apnaa bna ke hi choruga tuze.
Love you (K) ❤❤
Arsala Jul 2023
kabhi toot ke bikharne lagu jo
To aake bahon mein samet lena tum,
kho jau jo kabhi kisi mod pe
To aake raah dikha dena tum,
Ladkhada jau jo mein agar
aake mera hath tham lena tum,
rooth jaaye agr Sara Jahan bhi mujhse
tab bhi mera sath dena tum,
mein aau tere hisse, tu aaye mere hisse
kuch is tarah ye duniyan bant lena tum,
puche jo koi haq hai kiska tumpe
bus ek mera hi naam lena tum,
kabhi toot ke bikharne lagu jo
To aake bahon mein samet lena tum....

— The End —