Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Eshan Mar 2011
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.

Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.

Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.

Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.

Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.

Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.

Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
Lovish Uppal Jan 2016
Shaam ki sardi mein
Jab ghar se hum nikle, 
Mast kuch bachchon ne yaad dilaya The hum bhi kitne befikre.

Beet gaya aane se pehle, 
Waqt kisi ka na hua.
Bachpan le gaya sang apne, 
Phir aaye mudke hai yehi dua.

Kashtiyan kagaz ki banake 
Chalate the paani mein, 
Yehi nahi baarishon mein ghoomne Nikalte the apni cycle pe.

Baarish ka anand nahi, 
Toofanon se darte hain ab,
Woh din bhi kya din the 
Jab apne se lagte the sab.

Kahaniyan sunke khud ko
Doobate us duniya mein, 
Na jhooth, na dikhava, 
Na dhokha tha usmein.

Dil mein thi ek bekarari hamesha, rehta tha khushi ka intezaar, 
Ab hai yakin kismat pe apni, 
Kabhi na lautenge ab woh din raat.

— The End —