Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Rajat Sharma Jan 2017
Ek arsaa ** gya h aabaadi dkhte dkhte
Ab khushal ped nhi patjhad lubhata h mjhe
Ab to there ishq mai khaak hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Ab suraj ki roshni nhi andhera pyara lgta h mjhe
Ab upar Jana nhi girna pyara lgta h mjhe
Ab to tere ishq mai raakh hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Ab to dil m pyar nhi dard accha lgta h mjhe
Is bejaan shareer mai khoon nhi nasha acha lgta h mjhe
Ab to tere ishq mai taaj hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Teri ek ek yaad apne ashko se bahani h mjhe
Teri ek ek hasi apne gum se chupani h mjhe
Ab to tere ishq mai zinda laash hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Ishq ki maala m vishwas k motiyon ko todna h mjhe
Duniya k jhoote riti riwazo ko todna h mjhe
Ab to tere ishq mai kisi shayar k labo ki awaz hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe
This poem is written by me in context when a lover has left everything for her beloved one,Now he don't want anything.

Hope you all will like this.
Pratyush Jul 2019
Pyaar se kaho toh aasmaan maang lo,
Ruth kar kaho toh muskaan maang lo,
Tamanna yahi hai ki dosti mat todna,
Phir chahe has kar hamari jaan maang lo.
Pranay Patel Oct 2020
Mai paida ** sakta tha use maa ki kokh say
ya fir us maa ki kokh say
lekin hua is man ki kokh say
jiske pati ka naam ye tha.

Mujhe kisi ne pucha nahi
na jaane ki kisi ne koshish ki
bus bol diya ki tu ye dharma ka hay
or yha teri jaati hai.

Parjab bade hokar main nay
in zanjiro ko todna chaha to jana ki
mere apne hi vo zanjeer bane baithe the.

Jab vivas hokar mein chhat pataya
to paya ki vah hati ki rassi
jo zanjeer bane baithi thi vo tut ***.
Or  tab samajh mein aaya ki
us hathi ki rassi ki koi galti nahi thi
vah to bus meri pariksha thi.

Mein paida ** gaya us man ki kokh say
jiska pati ka naam ye tha.
cyn 4d
ummeed to humein bhi thi,
ki hamara likha padhne wale honge kaafi,
par kahan — koi chahta?
likh du shayari agar, kahan kisi ko hai raas aata.

likhne se kuch banne tak ka safar,
maine bhi chaha,
par dekhu jab kisi ko
padhte hue,
sochti *** — kya ye chahein padhna mujhe?

aur jo maine likha,
woh toh kabhi pohonch hi nahi paaya,
jiske liye tha, us tak se pehle hi
usne raasta badal diya.

aur mera raasta yahi tak tha,
ab likhna — ummeed ke liye ki koi padhe,
khareede meri woh kitaabe jo padi hui kahin.
ummeed par duniya kayam hai magar,
iss baar shayad, shayad duniya ke saamne mai jhuk kar khadi,
ki likhungi toh apne liye.

aur agar kahin kisi ko mil jaye
padi hui meri koi bhi kitaab,
toh bas ummeed yahi, ki woh phek na de,
rakh de wapas, bhale laa kar de wapas.
phekna nahi — kyunki har ek shabd mai ***,
aur jo likha, uska har ek zariya meri zindagi ki dor se bandha.

todna nahi.

padhne wale nahi mile toh kya,
likhna toh nahi chhod sakti.
aur shayad padhte bhi unko hi,
jinki jaanne wale bohot, mohabbat karne wale bohot.

aur koi aarzoo?
ek aur khwaish —
bas padh le ye tu, aur mil jaye mujhe meri khushi wali.

bikne ke liye likhna,
kya ghera bandi.
shabd-kosh hi nahi mere paas,
toh phir kaisi tukbandi.

bolne mai aati sharm,
nahi chahti kehna,
mat khareed jo bhi maine likha.
bas padh ke bata de, ban ja ek mohra.

chahti *** duniya dekhe — lekin parde ke peeche se,
bahar nahi dikhna,
nahin hi banna mujhe koi katputla.
thak chuke hoh shayad.
cyn 22h
kehne ko mai keh bhi du,
bolne ko mai reach out bhi kar du,
par wahi lagta hai ki kaun samjhega, aur kaun sun ke taal dega.
kyunki baat toh sab ko banani hai,
ab fark kaise kiya jaaye,
ki jis par bharosa hai, woh nahi todega.

ab nakaab tumhare kitne gehre hain,
aur kitne kitne, kis kis ke liye hain,
ye mujhe nahi pata.
jaise tumhe mere nahi,
mujhe tumhara kuch nahi idea.
lekin yahi cheez —
kuch padh ke lagta hai ki isko bhej deni chahiye,
kuch dekh kar lagta hai ki shayad baat ** rahi hoti,
toh ye tumhare liye hoti.

jo tha, woh hai nahi,
bigaada shayad hum sabne.
sambhal kar chalne wale hum woh aise,
jo gire toh uth na paaye,
shayad bina dekh ke chalte,
toh kahin toh pahuch jaate.
ek baar milkar baat hoti,
toh sab theek kar bhi dete — shayad.

par duniya hi kaisi agar sorted ** zindagi toh?
shayad ye regret rahega,
ki ek baar ye bhi teri taraf aa jaati.
tujhe samajh aa jaati, ki dikhta sab hai,
bolna bhi kaafi kuch hai.
shayad kabhi bolu nahi,
kyunki bola toh tha— duniya se fark nahi padta,
lekin tujhe padta hai.

ab akele kaise chala jaaye,
jab chalne ke liye bhi do saath chahiye.
toh tu nakaab ke saath hi sahi,
aur mai dooriyan banaye hue —
shayad yahi destiny.
lagta toh nahi badal paayega,
par kabhi choice aati hai,
bol de aakar directly.

logo ka hona isn’t something you hate,
sab sahi chal raha tha,
logo ke aane ne bigaad diya.
baaton ne, nakaab aur khelon ne.
kyu nahi utar sakte ye sab jo tumhe chupaye hue rakhta?
kyunki jo maine suna, woh kuch aur,
jo tujhe laga, woh tune bola nahi.
ab kya sach, kya jhooth — kisko maalum.
baat karega mujhse?
koi aur zariya hai tere paas?

sabki planning lekar chalte toh ye life,
game play nahi hoti?
jo aate hain sirf jaane ke liye,
dil lagate hain sirf todne ke liye.
dhoka, beech mein aa jaana,
kya kya nahi keh dete.
dohrate hain apne shabd,
magar kehne ke liye sirf nahi.
dikhate ki dillagi dard deti,
par kya matlab — sacche hi nahi.

give up karna itna easy,
logo ka kehna itna sunna itna aasaan.

pyaar kehte kisko hain?
agar dard hona hai,
toh kyu?

ek pal yahi,
doosre pal gayab —
kahin nahi.

kya tu tha bhi kabhi?
kyu karna ye bhed-bhav,
kyu dikhana itna sab,
kyu wapas aana jaise sab sahi.

dil hi dil se rootha ab toh,
kahani hai kiski,
kya sahi, kya galat?
agar sab khatam hona hai,
toh shuru kyu hi karna?

har cheez ko soch soch kar agar ghut ke marna hai,
toh ye anginat kahaniyaan,
jo milti hain ek doosre se,
itne saare bichde hue,
jaane-pehchaane chehre jo ban chuke hain.
kabhi kuch the, ab ajnabi se.

in dino ki baat kuch aisi ye,
kabhi socha hai hum ye jo jeete hain,
ye khel khilone ki tarah.
chances par believe karte hain na,
kisliye? kya hai?
kya layak hain hum iss sab ke?

soch samajh ke chalna nakaami, kamzori.
bina soche chalne wale nakamyab, bewakoofi.

ye jo bade kehte the pyaar,
puri zindagi nibhate rehna,
adjust karna.
darr lagta hai —
kahin phas gayi toh?
phas gayi aur nikal na paayi toh?

kya galtiyaan ko jaan ke ki jaayein, galtiyan hoti hain?
kya maaf karna bhool, ya phir pyaar?

falling out?

pyaar mein baar baar girna agar **,
toh ye kya pattharon par chadhna bhi kuch aisa?

falling in love with the same person again and again.

kuch iss tarah se bewafaiyo kar,
ki tere baad mujhe koi bewafa na lage.

hote hote pyaar ** gaya,
aur jin rishton ko zor laga kar todna padta hai,
woh jude hi kyu the,
agar tutna aasani se nahi tha toh?

“pata hi nahi kya chahiye aadhi zindagi.
kuch better paane ki chah mein,
safer option chun kar,
safe side reh kar,
zindagi bita dete hain.
saari zindagi kaash aur agar ke beech mein phas ke reh jaati hai.
dil jaanta hai usse kya chahiye,
ishaare bhi karta hai,
par humme sunna nahi aata.
naa karke pachtaane se accha hai,
karke bhugto.”

kitna purana ye, sirf mujhe hai pata
aakhri from 'metro...in dino'

— The End —