Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"tarah" poems
Zindagi ne, is kaddar, kiya hai, bas vaar Bina koi, churee, ya koi, talwaar Ghaayal; dil ye hua, baar, baar Zindagi ne, di, chotain hazaar Gaye thay, hum, is tarah se, bikhar jooda na, paye thay phirse ye jigar khaamoshi se, milta tha, bas, karaar tanhayeeon se , karte thay, iqraar Jhanke, hum jab, dil ke, jo andar Sach nikala, gehrayion se, baahar Shikayat hai, ab na, koi takraar karne lage hai, hum, khudse jo pyaar! Translation in English Self Love Life has waged on me many a war Without even a sword or a dagger so far The heart was wounded time and again Life hurt and caused me so much pain My life was but thrown helter skelter I could not piece my heart together Silence was but my solace Solitude was my only grace When I dug deep within me The truth I could clearly see I have no grievances or complaints now Having realized the importance of self-love
0
Jun 18, 2014
Jun 18, 2014 at 2:28 AM UTC
Hindi poem with English translation.
Tere pyar ne mujhe pagal bna diya , Tujhme khoye hain hum es kadar ki, apna nam pata bhi bhula diya, Jawane Se chhupa ke ki tujhse mohabbat , Par tune mujhe jawane se hi begana bna diya, Tere pyar ne mujhe pagal bna diya.... Tere intezar me har pal ji raha hu ghut ghut ke, kaha chali gayi ** sanam tum mujhse ruth ke, ab to jine ka sahara hain bus teri ye yadein, Soch kar biti baton ko nam ** jati hai meri ye aankhen, Teri wafawon ne mera sab kuchh jala diya, tere pyar ne mujhe pagal bna diya. .. chalti raho me tujhe dhundh raha hoon, chand taro se tera pta puchh raha hoon, tune mere dil me ek jagah bna liya, tere pyar ne mujhe pagal bna diya.... mat dena dhokha tum mujhe pyar me ai sanam nahi to tut jaunga, chhod tumhe mai es duniya se chala jaunga, laut ke phir mai kabhi na aaunga, tere esk me maine teri har kamiyo ko bhula diya, tere pyar ne mujhe pagal bna diya. .. yaadon ko teri  Manish  likh raha apni kalam se es tarah ki, teri nafrat ko bhi usne amrit bna diya, tere pyar ne mujhe pagal bna diya, tere pyar ne mujhe pagal bna diya....
0
May 19, 2015
May 19, 2015 at 10:20 AM UTC
TERE PYAR NE MUJHE PAGAL BNA DIYA
Jo puraani yaadon mein zindagi dhundha kartey hai unhe sirf do pal ki muskurahat naseeb hoti hai aur phir umar bhar ki tanhai ek aisi tanhai jaha hum bhari mehfil mein bhi akele ** jaate hai aur adhura pan bhi hamein pura lagne lagta hai ek aisi manhoosiyat dil pe cha jaati hai Jo chahe bhi mit nhi paati aur vo yaadein bhulaaye bhi bhula nhi paate reh reh k **** mein gade kaante ki tarah dard diye jaata hai aur hum hans hans kar ise taal diya karte hai kyun ki shaayad mukaddar ko yahi manzur tha kya shikva hum kisi aur se kare jab manzil hi humse Ruth gayi Jo naayab tohfa khuda se mili haatho se yun choot gayi vo toot k bikhri aur kinare par jaa Giri aur kashti humari doob gayi
0
Jun 18, 2015
Jun 18, 2015 at 5:21 PM UTC
Nostalgia (Hindi)
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya, ab ek lambi udan bhar lene do. Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do, kyunki ab girne ka khauff nahin raha. Daudne mein ab koi maza nahin hai, kyunki yahan to hava jaise tham si gayi ** Ab rukne ka bilkul man nahin raha, aj to toofanon mein sair karne lene do. Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi, aj to un hadon ko par kar lene do. Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost, zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha , aj to uchaiyon par jashn mana lene do. Unke chale hue raston ko kai bar nap liya, aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do. Kismat ka rona to sabhi rote hain, aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do. Kabhi kabhi to man karta hai ki un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon. Asan to kuch nahin par sochta *** ki aj namumkin ko hi apna dost bana loon. Kitabon ke panne kafi palat liye, aj mujhe bhi do shabd likh lene do. Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par. Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko, jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par, aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar. Khule asman mein aj ek bar ud lene do, kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed ** Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
0
Mar 23, 2011
Mar 23, 2011 at 9:20 AM UTC
Udaan
Kash tum meri zindagi me aae hi na hote, To shayad aaj ye akelapan mujhe mehsus hi na hota..... Mai akeli thi aur akelapan meri aadat ban chuki thi, Zindagi se koi ummeed bhi ni thi mujhe... Par jab tumne mera saath dene ka wada kiya, Man hi man mujhe apni zindagi se lagaav sa ** gya... Jine lagi thi mai, Zindagi se ummeedein rakhne lagi thi mai... Jo barish ki bunde mujhe kaaton ki tarah chubhti thi, Jiski awaaj mujhme ek bechaini si paida karti thi... Wo barish ki bunde mujhpe ab phulon ki tarah barasne lgi thi, Uski awaaj me mai saat suro ko mehsus krne lgi thi..... Kash tum meri zindagi me aae hi na hote, To is akelepan se koi shikayat hi na hoti.... Kash tm meri zindagi me aae hi na hote to is akelepan se koi ummeed hi na hoti.. Kash tum meri zindagi me aae hi na hote... Kash tum meri zindagi me aae hi na hote.....!!!!!!!
0
Mar 18, 2015
Mar 18, 2015 at 7:15 AM UTC
Akelapan
In labon ki khushi byan karta *** Mai tumse pyaar karta *** Ai khuda, na chhin lena ye lamha bhi mujhse, kyoki Dil ke mandir   me mai unhe bhagwan ki tarah pujta *** In labon ki khushi byan karta *** Apni tasveer unhe samjhta *** Jab nind se band ** jati hai ye aankhen, Mai sapno me bhi unhi ka intezar karta *** In labon ki khushi byan karta *** Apne jeevan ki dor unhe samjhta *** Unki muskurahat na chhute kabhi unke othon se, isliye Har roj mai unki khushi ke liye dua karta *** In labon ki khushi byan karta *** Apne aankho ke aansoo unhe samajhta *** Wo Hamesha en aankhon me chhalakati rahe, Isliye Hum Hamesha unki yaad me rota rahta ***
0
Nov 13, 2015
Nov 13, 2015 at 10:31 AM UTC
LABON KI KHUSHI...
Kaun si mujhse khata ** *** , Bata do sanam kyon mujhse khafa ** *** Maine to dil me basaya tujhe bhagwan ki tarah, Batado sanam kyon mujhse juda ** *** Pyar to samundar hain , kaha dhundu tujhe, Nazane kab aur kis mor par milogi mujhe , Mere aankhon me aansoo dekar, Mere dil ko ek saza de *** Batado sanam mujhse kyon juda ** *** Teri muskurahat meri dil ki khushi thi, teri aansoo mere dil ka dard, ab to teri yaadein meri dard ki dwa ban *** Batado sanam mujhse kyon juda ** *** mere har ek baaton me bas tum hi tum, mere khayalon me bhi bas tum hi tum , Najane kyon meri zindagi mujhse etni dur chali *** batado sanam mujhse kyon juda ** *** mujhse kyon juda ** *** ..?
0
May 19, 2015
May 19, 2015 at 10:10 AM UTC
MUJHSE KYON JUDA ** ***
Main Aur mere roommates aksar Yeh Baatain Karte Hain Ghar saaf hota to kaisa hota Main kitchen saaf karta, tum bathrooom dhote main hall saaf karta, tum balcony dekhte Log is baat pe hairaan hote aur us baat pe haste…. Main aur mere roommates, aksar Yeh Baatain Karte Hain Yeh hara bhara sink hai ya bartanon ki jang chidi hui hai Yeh colour full kitchen hai ya masalon se holi kheli hai Hai farsh ki nayi design ya doodh, beer se dhuli hui hain Yeh cellphone hai ya dhakkan, sleeping bag ya kisika aanchal, ye airfreshner ka naya flavour hai, ya trash bag se ati badboo Yeh pattiyon ki hai sarsarahut ke heater phirse kharab hua hai Yeh sonchta hain roommate kab se gum sum - Ke jab ke usko bhi yeh khabar hai Ke machar nahi hai, kaheen nahi hai magar uska dil hai ke kah raha hai machar yaheen hai, yaheen kaheen hai ! Toand ( pet ) ki ye haalat, meri bhi hai, uski bhi, dil mein ek tasvir idhar bhi hai, udhar bhi Karne ko bohot kuch hai magar kab kare hum Kab tak yoon hi is tarah rahe hum Dil kahta hai Safeway se koi vaccum cleaner la de ye Carpet jo jine ko zoonz raha hai, fikwa de Hum saaf rahe sakte hai, logon ko bata dain, Haan hum roommates hai – roommates hai – roommates hai Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi.. Sab ko bata dain..
0
Mar 10, 2014
Mar 10, 2014 at 11:38 AM UTC
Dedicated to all those who have shared an apartment or are still sharing an apartment
Tere bagair jine lage hum, Ro ro ke aansuo ko pine lage hum, ishq me tute es tarah, ki kahi ke na rahe hum, tere bagair jine lage hum, tere bagair jine lage hum..... dil me ek tamanna lekar, tuti hui khawabo ke saath, tanha yu akela tumhare pyar me khone lage hum, tere bagair jine lage hum .. . yaad kar un lamho ko mar mar ke jiya hoon, bina soche samjhe tujhe dil de diya hoon, har pal teri yaadon me khone lage hum, tere bagair jine lage hum, tere bagair jine lage hum .. . har lamha soch soch kar ghabra jata hoon, bite palo ko yaad kar tut jata hoon, phir bhi pure ummid ke sath, khare hain hum, tere bagair jine lage hum, Tere bagair jine lage hum....
0
May 21, 2015
May 21, 2015 at 9:28 AM UTC
TERE BAGAIR JINE LAGE HUM
KOI AUR HAI Tere  khaboon mai koi aur hai,aur tere sayee mai  koi aur hai Kaisay tu dekhay hasrat mere,tu haqeeqat mai koi aur hai Yeh dil kab tak arizoo karta rahai ,ab koi sabab-e-furkat ** Kaisay tu pehchaanay mere ulfat,tu zahir mai koi ,aur batin mai koi aur hai Itrey sabnum ki tarah jalah hai mera daman bhi Mai manzil ki jistu ju kya karoon, ab rasta bhi nazar nhi yadoon kay samandhar mai dhoob chukka ab toh Mai haar chukka hoon zindagi  aur ab toh moat bhi ati nhi Bhulavou yeh gum kaisay ,dil ko kya dawaa doon bhar janay ki Mai kyun nhi rub a ru khudsay  ,mai kon hoon  ya mujmai he koi aur hai Faryaad bhi kya ** , naa ashinaa hai yahaan sabhi Kis  mode pay kya  hogaye koi khabar nhi hummay Mai toota huva taraa hoon mujmai ab wo  timtimhath kahaan Lagta Aasmaan bhaag rahaa hai aur zameen fisal rahe ** jaisay muntazir-e-humraah ** kya,jo rahai thi wo rahai he badhal gaye Mud kay ab dekhoon  kya, akela rahai safar tha ya koi aur be hai Mubarak ** tummay ab yeh jahaan dard baraa Na mud kay kabhi dekhay **** issay dhoobara Ab aur palkoon pay ashikay baar saha nhi jata Laboon  pay ab aur bahaana bardast nhi hota Waqt guzra hai, kyun naa mera bhi saleeka badhal gaye Rumi Ab aur ranjishay nhi,bhula do ghar koi ghilla aur bhi hai                                  written by: Aabid Rumi                              suggested by:Tanzeelah Illahi
0
Apr 16, 2017
Apr 16, 2017 at 6:16 AM UTC
koi aur hai
Friday 12:22 pm 6 Nov 2015 Agar suraj ki keerne.. Tapti dhup mujh pe de, Toh jhor se degiye ga… Kisi ko ye naah toh pata chalegi .. ki hum naraz ya gusse hai bahut! Agar baarish ** toh.. ** jaane digiye ga, Kisi ko ye na pata chal paaye … ki hum roh rahen hai! Agar pathte zhareee, Toh zhar jaane digiye ga.. Kisi toh naa pata kar paaye.. Ki hum aandarse bekhaare huye patho jaise bikhaa rahen h! Agar thadi ki mausam me thaand de, Toh bahut khub se digiye ga.. Kisi ko ye naah pata chale.. Ki hum saihum ya daar rahen h.. Andaar aandar se! Ye mausam hai.. kuch mere zindagi ki tarah… or humare zindagi ki tarah.. jo hum bayaan toh karte h.. par bahut kaam… kyuki hume samaj ne wala koi nahi hota! Ye jab hoti hai.. ya aati hai, jhoor se caati… Or agar naah aate toh, na hi sahi,.. Par jab aati h… toh puri zinadgi badal kar rakh deti hai.. ! trying to enjoying the life better :) :)
0
Mar 28, 2016
Mar 28, 2016 at 3:26 AM UTC
zindagi jaise badalti seasons ki tarah
Barsat ki Ek raat dil ne dimag se pucha, jo Badal raha wo 'waqt' hai? waqt to Aaj bhi waisa he hai bachpan me jaisa hota tha wohi savera wahi sham Or baki cheeje tamam Par tab naa bhigne se lagta tha darr or naa sardi jukam, or wo pani ki shrarate tamam Jinki Yaad bhar se aa jati hai hothon pe muskan par ab aisa kya hua jivan ki iss Dagar me kahan bhatak gaya in jhuthe rit riwazo me Kaise jivan ke Arth badalte gaye Kyo ek funny poem likhne wale Emotional likhne pe majboor ** gaye Hawa k jharoko se kashti hilti gayi waqt k sath mein tau badlta gaya aur yeh zindagi chalti rahi pal pal nayi hasratein har pal naye khwab bunti gayi aur yeh zindagi chalti gayi raah mein manzar tau bahut aaye bulate rahe mujhe mere saaye mein tau ek pal ko ruk sa gaya par yeh zindagi chalti gayi yaadon k saaye mein zinda *** abhi lagta hai tham sa gay *** mein kahin par zindagi bewafa sanam si nikli mein tau ruka reh gaya aur yeh chalti gayi jindagi har pal apne arth badalti rahi ham hanste rahe chahhe rote rahe par woh apni rafataar se bas behati rahi kabhi ban ke sawal ,kabhi ban ke utar woh  hame har mod per milti rahi ham tutate rahe, bikharate rahe  fir khud hi gir ke sambhalte rahe aur jindagi yun hi jalti bhujhati rahi gum mile kuch is tarah ki gum hi gum na lage khushiyuon  ki baat bhi hame gum ban ke milti rahi kya kare kisi se shikva, kya kare kisi se shikayat apne hi jab todate rahe...... toh saans meri har pal ghutati rahi bas jindagi yuh hi chalti rahi har pal apne arth badalati rahi
0
Jun 6, 2018
Jun 6, 2018 at 1:35 PM UTC
Badalti zindagi
Barsat ki Ek raat dil ne dimag se pucha, jo Badal raha wo 'waqt' hai? waqt to Aaj bhi waisa he hai bachpan me jaisa hota tha wohi savera wahi sham Or baki cheeje tamam Par tab naa bhigne se lagta tha darr or naa sardi jukam, or wo pani ki shrarate tamam Jinki Yaad bhar se aa jati hai hothon pe muskan par ab aisa kya hua jivan ki iss Dagar me kahan bhatak gaya in jhuthe rit riwazo me Kaise jivan ke Arth badalte gaye Kyo ek funny poem likhne wale Emotional likhne pe majboor ** gaye Hawa k jharoko se kashti hilti gayi waqt k sath mein tau badlta gaya aur yeh zindagi chalti rahi pal pal nayi hasratein har pal naye khwab bunti gayi aur yeh zindagi chalti gayi raah mein manzar tau bahut aaye bulate rahe mujhe mere saaye mein tau ek pal ko ruk sa gaya par yeh zindagi chalti gayi yaadon k saaye mein zinda *** abhi lagta hai tham sa gay *** mein kahin par zindagi bewafa sanam si nikli mein tau ruka reh gaya aur yeh chalti gayi jindagi har pal apne arth badalti rahi ham hanste rahe chahhe rote rahe par woh apni rafataar se bas behati rahi kabhi ban ke sawal ,kabhi ban ke utar woh  hame har mod per milti rahi ham tutate rahe, bikharate rahe  fir khud hi gir ke sambhalte rahe aur jindagi yun hi jalti bhujhati rahi gum mile kuch is tarah ki gum hi gum na lage khushiyuon  ki baat bhi hame gum ban ke milti rahi kya kare kisi se shikva, kya kare kisi se shikayat apne hi jab todate rahe...... toh saans meri har pal ghutati rahi bas jindagi yuh hi chalti rahi har pal apne arth badalati rahi
Continue reading...
39
Ai dil tu etna beqarar kyon hain, Jise kabhi na thi teri fikra wohi tere liye aaj khas kyon hain, ai dil tu etna beqarar kyon hain. .. Gam ke saye me ghut ghut ke ji raha hoon, aanshuo ko apne jaam ki tarah pi raha hoon, phir bhi meri aankhon me teri hi aas kyon hain, Ai dil tu etna beqarar kyon hain, Ai dil tu etna beqarar kyon hain.. aasman me tujhko dhundhta hoon, chand ki tarah tujhko pujta hoon, aankhon me teri jhalak ke liye ek kasak kyon hain, ai dil tu etna beqarar kyon hain, jise kabhi na thi teri fikra wahi tere lia aaj khas kyon hain.. tumhare lia jo sajaye the sapne humne, un sapno ko tor kahan chale gye tum, aaj bhi teri yaadon ke dil me mere ek khawab kyon hain, ai dil tu etna beqarar kyon hain ..
0
May 21, 2015
May 21, 2015 at 9:25 AM UTC
AI DIL TU ETNA BEQARAR KYON HAIN
Tha mai neend me or mujhe itna Sajaya jaa rhaa tha bade pyar se mujhe Nahlaya jaa raha tha, Naa jane tha wo kaun saa ajab khel mere ghar me Baccho ki tarah mujhe kandhe par Uthaya jaa raha tha, Tha paas mera har apana uss waqt fir v mai har kisi ke man se Bhulaya jaa raha tha, Jo kabhi dekhte v naa the Mohabbat ki nigahoo se unke dil se v pyar mujh par Lutaya jaa raha tha, Maalum nahi kyu hairaan tha har koi Mujhe sote hue dekh kar jor jor se rokar Mujhe jagaya jaa raha tha, Kaap uthi meri ruh wo manjar dekhkar jaha mujhe Humesha ke lie Sulaya jaa raha tha, Mohabbat ki intaha thi jin dilo me mere lie Unhi dilo ke haatho se aaj mai Jalaya jaa rha tha!!!!!
0
Sep 16, 2015
Sep 16, 2015 at 2:27 PM UTC
THA MAI NEEND ME
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske Usi metro ki tarah par dheere zara Thandi hawayei hain. Usme goonjta mera aaj khada Kuch thandak hai inn hawaon mein Aur bohot sara sukoon bhara Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak? Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin? Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya Kya raambaan sukh yahi toh nahi Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi Kya Ramcharitmanas mein hanumat Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi? Aisa hi amritmay bachpan mein, yaad hai mujhko lagta tha Zameen se shuru uss lambi khidki Se yahi chaand chamakta dikhta tha Mama sa ban chup shant bhav se Kuch baatein meri sunta tha Kyunki khud bhumi par bistar pe so Holi mujhe khilayi thi Khud bhookhe reh uss ke paiso Se mere bhai ko idli chakhayi thi Bohot pasand thi usko uski idli Aur rangbhari mujhe holi meri Kya kabhi unhen main unka wapas Ye rinn chukta kar paungi Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar Unke liye itna kar paungi? Kya usi chaand ki thandak si khushiyan Unki jholi mein bhar paungi? Kya bhool maaf karne ki hadd Ko paar kar kar ke thake nahi wo? Kya raat bhar bhi jagkar subah Hans dawa banna bhoole nahi wo Kya insaani roop mein hain Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
0
Nov 29, 2019
Nov 29, 2019 at 10:16 AM UTC
Maa Baap
apno se jada gairon ki yaad aati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jaati hai, dil ka haal samajhne vala koi nahi hota, aur jindagi hai k bas ek chidiya ki tarah ud jati hai, dll me yaad basi rah jaati hai, mashaal jalti hui achanak bujh jati hai, aankhon k saamne base andhera hi andhera dikhta hai, har roshni bhi feeki pad jati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai.... wajah bewajah hi dard uthta rhta hai, aankhon ka mom har waqt pighalta rahta hai, aansoo b rasta aona badal lete hai, dil me tadap k shiva aur kuj nahi bachta hai, har khwahish dafan ** jati hai, chahat bas khud ko khatam karne ki rah jati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai..... shahar logon se bhara hokar bhi veeran lagta hai, din nikalte hi dhalne lag jata hai, bewajah koi insaan shaitan lagne lagta hai, khud ki ek saan bhi bejaan lagne lagti hai, bejaan aawaj, rookhe shabd, pathrayi aankhen, aur aansuon ki sookhi dhara shrajal ** uthti hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai..... yun to har waqt khyal dil me rhta hai k vo mera hai, tabhi koi khta hai k vo nahi bas bhram tera hai, aur kitna pyar me barbaad ** jaun, khatam ** jaun ya tujhme hi mar jaun, aasan nahi koi jirah rah jati hai, har gali kooche se bas unk nikalne ki aas rahti hai, vo mere nahi har taraf bas ek hi aawaj goonjti hai, din khatam raat shuru, roshni gayi andhera shuru, sath khatam tanhayi shuru, bas yahi tadpan har ghadi rah jati hai, vo meri nahi kisi aur ki ** jati hai, jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai....
0
May 12, 2019
May 12, 2019 at 8:21 AM UTC
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jaati hai
apno se jada gairon ki yaad aati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jaati hai, dil ka haal samajhne vala koi nahi hota, aur jindagi hai k bas ek chidiya ki tarah ud jati hai, dll me yaad basi rah jaati hai, mashaal jalti hui achanak bujh jati hai, aankhon k saamne base andhera hi andhera dikhta hai, har roshni bhi feeki pad jati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai.... wajah bewajah hi dard uthta rhta hai, aankhon ka mom har waqt pighalta rahta hai, aansoo b rasta aona badal lete hai, dil me tadap k shiva aur kuj nahi bachta hai, har khwahish dafan ** jati hai, chahat bas khud ko khatam karne ki rah jati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai..... shahar logon se bhara hokar bhi veeran lagta hai, din nikalte hi dhalne lag jata hai, bewajah koi insaan shaitan lagne lagta hai, khud ki ek saan bhi bejaan lagne lagti hai, bejaan aawaj, rookhe shabd, pathrayi aankhen, aur aansuon ki sookhi dhara shrajal ** uthti hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai..... yun to har waqt khyal dil me rhta hai k vo mera hai, tabhi koi khta hai k vo nahi bas bhram tera hai, aur kitna pyar me barbaad ** jaun, khatam ** jaun ya tujhme hi mar jaun, aasan nahi koi jirah rah jati hai, har gali kooche se bas unk nikalne ki aas rahti hai, vo mere nahi har taraf bas ek hi aawaj goonjti hai, din khatam raat shuru, roshni gayi andhera shuru, sath khatam tanhayi shuru, bas yahi tadpan har ghadi rah jati hai, vo meri nahi kisi aur ki ** jati hai, jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai....
Continue reading...
38
Ek cup chai le kar baitha aur Ravivar tha aur yunhi waqt Beetta hi chala gaya… Phir khuch panne ultaye… Ankahi kahani ke… Khuch Paheli Ko dekha… Mann hi mann Socha kal suljaunga Woh wali purani Paheli… Jo aaine ki tarah Samne toh kabhi ojhal ** jaati hai… Kyuki aaj Ravivar tha… Aur waqt… Thodi Dhoop Ko aane diya Thodi thand se baatein Kiya Phir ek cup chai Liya kal Somvar hai Toh Aaj waqt… Yunhi yunnhi… Beetta chala Gaya… Yunnhi yunhi waqt aaj… Toh.. Kya phir chai… Mein pita hi chala gaya… ……… …… …. .. . .. … ….. ……… …………..
0
Feb 10, 2019
Feb 10, 2019 at 2:18 AM UTC
EK CUP CHAI AUR RAVIVAR E SOCH ME MEIN...KYA PURA DIN PINE ME HI CHALA JAYEGA WAQT ?YA PHIR KAB JAGUNGA MEIN? YA YUNHI YUNHI YE NEELA SAMUNDAR ME DOOB JAUNGA...BIN KAHE?
Bikhar se gye ye Pal mere khushi ke Unke chale Jane ke baad, Nikal gye en aankho se aansoo Unki yaad aane ke baad, Aaj nazane kyon khamosh Hai ye dil mera Unka sath chhut Jane ke baad, Pal Pal kuchh tutne ki aawaj sunai de rhi mujhe Sab kuchh tut Jane ke baad, Hansu to Kaise Hansu jab meri Hansi hi chali gyi mujhse Ruth Jane ke baad, Ye ek ek Pal ek saal ki Tarah Kat rahi Hai Jabse chhut gya unka sath, Ai Hwa zara unse kah Dena ki mere kabra par ek phul chadha Dena Mere saans tutne ke baad, Mere sans tutne ke baad....
0
Feb 27, 2017
Feb 27, 2017 at 7:00 AM UTC
BIKHAR SE GYE YE PAL MERE KHUSHI KE...
Rus wa na ** tum hamse, meri jaan Murjha na jaye kahin dil ka ye gulistaan Juda hai sabse andaaz ye hamara Saason se humney cheda hai dil ka saaz ye tumhara Khwahish hai tum mein; ** jaye hum fanaa Karte hai tumse toh hum muhabbat bepannah Mil bhi lo aake hamse is tarah Noor mil jaaye Jahaalat se jis tarah Khuda Ko paane ka; yeh hai raasta nirala Muhabbat bhi hai bas kudrat ka hi toh karishma Rus wa na ** tum hamse, meri jaan Murjha na jaye kahi dil ka ye gulistan
0
Jun 16, 2014
Jun 16, 2014 at 7:10 AM UTC
Muhabbat_love
Junoon Kanha Ab pehle ki tarah Abhi na hosh raha Aur wajah bhi jeene ki jaise Dheere dheere khatam Hoti ja Rahi hai Bewajah ya phir wajah Daru Pita hu nukkad nukkad me Aur dhoondta hu ek theekana Janha Noor Bhari pyaar hi pyaar ** . .. Aur na Milne par Phir se Sharaab e gulab Me Nazar Aur... Sharaab Ko hi Humsafar ki tarah ghulta doobta ...ek yaad me Chun Liya ** jaise... Har waqt Har lamha Khyaal e khwaab me Aur chamakta Sitara Ko tootte hue dekha Toh phir ek mehfil Aur khyaal wohi puraane din ke Aur aaj bhi yaad karu Toh Lage naye jaise taaza gulaab e nasha ... Aur Ishq Bhari woh aankhein Kudrat ka karishma ** jaise .. Aankh khuli Par Raha toh mein bas ek sharaabi Yaadein aur woh neele neele amber Aur oska Chand ki taraf  dekhna . Aur mein niharta ose Chandni raaton me Chand se bhi jaida khubsurat Ose dekhta mein Haqeeqat me ... ... ... Aur phir ek kaanch ki bottle tooti mere haathon me Khyaal aaya Ki Ab mein osse bahot dur ** Chuka hu ...bahot dur... Aur Ishq jaise... Najane aankhon me kaed Aaskhq e beedi Khud Ko jalata aur . . . Kitni bhi koshish Karu Par oska chehra Nazar aa hi jata .. ... . .
0
Mar 17, 2018
Mar 17, 2018 at 6:14 PM UTC
Deewangi e rang e sharaab ...pita hu mein, Haan mein sharaab!!!
Kadam Kadam Tere Saath chalunga, Har Kadam tujhe Apna Kahunga, Har Rishte se Upar hai, tera Saath mere liye, Bas Esi Tarah Zindagi Bhar tujhe Pyar karta Rahunga, Tere Pas hone se, Mere Pas Sab kuch Hai, Har Dukh, Har taklif Mujhse Door hai, Bas Tujhe Khush Dekhna Chahta hu Hamesha, Tere Sath Rehna Chahta Hu Hamesha, Ye Choti si Zindagi hai, Choti si Duniya hai, Jo tu hai to Sabkuch hai, warna mera kya yaha hai, Bas Saath Dena mera, ye pyar me Zindagi bhar Nibhaunga, Kadam Kadam Tere Saath chalunga, Har Kadam tujhe Apna Kahunga, Zindagi Aasan nahi, Yaha chalna bada Mushkil hai, Hosla mat Harna, Chalte Rehna mere saath yahi Zindagi hai, Kuch Tum chalo, kuch me chalu Bas esi tarah Aage Badhte Rahe, Tum mera or me tumhara bas esi Tarah dono 1 dusre ka saath dete Rahe, Zindagi Bhar me bas tumhe or tumhe he chahunga, Kadam Kadam Tere Saath chalunga, Har Kadam tujhe Apna Kahunga,
0
Jun 6, 2018
Jun 6, 2018 at 6:39 AM UTC
Untitled
Vo ek mahine phle se birthday ki excitement is saal thodi kam thi Birthday ke din bhi birthday bali feeling thodi kam thi. Ab mai shayad childish se thodi matured ** gayi thi. . Har saal ki tarah is saal mom dad se kisi mehenge se gift ki zid nhi ki thi. Unke dil se diye aashirwaad ki khushi hi bahut thi. Ab mai shayad childish se thodi matured ** gayi thi. . Bachpana jane mai vaqt thoda jyada lag gya. Jimmedariya samjhne mai vaqt thoda jyada lag gya. 16 saal ki ** gayi thi, thodi badi ** gayi thi. Ab mai childish se thodi matured ** gayi thi. . Ghar ki problems samjhne lagi thi. Ab thoda hi sahi magar sahi aur galat mai pehchan ne lagi thi. Ab mai childish se thodi matured ** gayi thi. . Jo phle papa ke paise dosto ke sath udaya karti thi. Aaj papa ke sapne pura karna chahti hu. Ab mai childish se thodi matured hoti ja rhi hu. Ab mai childish se thodi matured hona chahti hu...... ~your smiling queen :)
0
Aug 18, 2019
Aug 18, 2019 at 10:14 PM UTC
Ab mai childish se thodi matured hoti jaa rhi hu
Jaida toh manga bhi na tha husn e Deedar Khud hi kyu chala gaya bewaqt Bina bataye tujhe Ab tadap Raha hu mein Khuch jaida neend me Ek waqt ke khyaal e aashiqui me Aur kab subhah se raat ** gayi Fursat e dard Raaton ki neend kho si gayi Mujh se phir kehne lagi Ab der na kar.. Laut ja in khyaalon ki kasmakash se Ya Phir aa ja Bina ruke Panchi ki tarah Intezaar e intezar Kab tak Khoya Rahu ish kadar Ki khud se bhi mein itna bekhabar .. .. . .. .
0
Dec 20, 2017
Dec 20, 2017 at 4:54 AM UTC
Ishq e intezaar e pal!!
chahtein bhi aisi thi ki mai hothon se bayn kr  n payan jajbat bhi aisi thi ki dil se dharkan tak n pahuchan payan kuchh guftgun kar rahi thi meri chahtein dil me lahron ki tarah daur rahi thi meri chahtein bas us bandh ko tod dena chah rahi thi meri chahtein lekin wo palkon ko n bhed payan lahar ki ek bhi bund nayan se n nikal payan chahtein bhi aisi thi ki mai hothon se bayn kr  n payan jajbat bhi aisi thi ki dil se dharkan tak n pahuchan payan
0
May 15, 2015
May 15, 2015 at 3:24 PM UTC
chahat
ek hawa ka jhonka aaya, sang apne tere hone ka ehsaas laya, chookar mujhe vo kuj is tarah, laut gaya jaise k aakar tum chale jate ** ek hawa ka jhonka aaya, sang apne teri khushboo laya, mahkaya har taraf kuj is tarah, k jaise tum pal bhar me mujhme sama jate ** aur fir se mujhse door chale jate ** ek hawa ka jhonka aaya, sang apne kuj khatti mithi yaden laya, thoda sa hansaya thoda sa rulaya, kuj is tarh tumko mere paas bulaya, jaise k pal bhar me tum mujhe apna bana k agle pal rooth jate ** aur thodi c khushi k baad gam mujhe de jate ** ek hawa ka jhinka aaya, mujhe chookar vapas chala gaya, kuj is tarah k jaise tum mujhse lipat jate ** sab kuj bhool jate ** mujhe pyar karte ** har khushi apni mujhme hi tarash lete ** aur fir vo waqt aata hai k door chale jate ** i love u
0
May 12, 2019
May 12, 2019 at 8:03 AM UTC
ek hawa ka jhonka aaya