Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"sunte" poems
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske Usi metro ki tarah par dheere zara Thandi hawayei hain. Usme goonjta mera aaj khada Kuch thandak hai inn hawaon mein Aur bohot sara sukoon bhara Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak? Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin? Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya Kya raambaan sukh yahi toh nahi Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi Kya Ramcharitmanas mein hanumat Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi? Aisa hi amritmay bachpan mein, yaad hai mujhko lagta tha Zameen se shuru uss lambi khidki Se yahi chaand chamakta dikhta tha Mama sa ban chup shant bhav se Kuch baatein meri sunta tha Kyunki khud bhumi par bistar pe so Holi mujhe khilayi thi Khud bhookhe reh uss ke paiso Se mere bhai ko idli chakhayi thi Bohot pasand thi usko uski idli Aur rangbhari mujhe holi meri Kya kabhi unhen main unka wapas Ye rinn chukta kar paungi Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar Unke liye itna kar paungi? Kya usi chaand ki thandak si khushiyan Unki jholi mein bhar paungi? Kya bhool maaf karne ki hadd Ko paar kar kar ke thake nahi wo? Kya raat bhar bhi jagkar subah Hans dawa banna bhoole nahi wo Kya insaani roop mein hain Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
0
Nov 29, 2019
Nov 29, 2019 at 10:16 AM UTC
Maa Baap
Ek shakhs hai jise main behad pasand karti hoon, jise main beinteha chahati hoon. Ek shakhs hai jisse mera dil beinteha mohabbat karta hai par yeh baat usse main samjhau kaise? Pasandida mard hai woh yeh baat usse main bataun kaise? Nahi reh sakti main uske bina yeh baat woh samajhta kyu nahi? Kya usse mujhse mohabbat nahi? Kyu woh ek shakhs mere dil aur dimaag mein bas chuka hai? Meri mohabbat ab "ishq" ban chuki hai yeh baat main chah kar bhi usse bata paati kyu nahi? Aakhir kyu yeh dil uske bina kahin teherta nahi? Aakhir kyu uske alawa meri nazare kissi aur ko dekhti nahi? Kyu uski yaadein har pal, har lamha mujhe uske aur kareeb kar deti hai? Mujhe usse kya uski aankhon, uski baaton, uski khusboo ya tak ki uske naam se bhi ishq ishq hai, kaash yeh main usse bata paati. Uski aankhein jo samudra se gehri hai, unn aankhon mein dekhna mujhe kaafi pasand hai, uff!! Uski nashili aankhein. Uski awaaz? Uski awaaz mein toh maano jaise ek alag hi madhoshi hai, jisse sunna mere kaano ko ek sukoon sa deta hai aur hayee!! uska naam sunte hi mere chehre par jo muskurahat aati hai, woh kahan hi kissi se chhupi hai? Haan, ishq hai mujhe usse yeh baat mere dil mein hi kahin dafan hai. Usse meri mohabbat ki koi hadd nahi yeh jaake usse koi bataye, uske naraz hone se maano meri saansein tham jaye. Behad khoobsurat hai woh shakhs yeh baat woh maanta kyu nahi? Nahi reh sakti main uske bina yeh baat woh samajhta kyu nahi?
0
Mar 8, 2025
Mar 8, 2025 at 9:30 AM UTC
Mohabbat 🎀🧿