Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Kareshma Sep 2014
Yun chala main in raston pe,
Bhool gaya *** khud ko.
Saathi kaun thay mere yaad nahi ab toh
Bas koi dikhta hain door khada,
halkisi muskaan lekar
Aur nahi samjha kyun,
main bhi muskaya aise bina wajah
Par lagta hain ab aise ke,
Shayad wo teri yaad hain


Khoya main apne mein kuch aisa,
Yaaron ka nahi hain pata
Ghar se hoon itna door,
ke ab woh bhi nahi yaad ata
Woh gaana sunta jab,
gungunta use awaaron jaisa tab
Aur nahi samjha main,
kyun gungunaya aisa bin matlab
Par lagta hain ab aise ke,
Shayad woh teri yaad hain

Juda hunye hain hum,
milte nahi hain ab hum
Din guzre,
beete hain ab saal
Zindagi mein main apne khoya, tu apne
Par phir bhi lagta,
shaayad hum milte toh hoti duniya alag
Hoti Manzil ek aur raaste ek,
Aur hota ek saathi,jise karta nahi main sirf yaadon mein quaid
Bliss Dec 2018
Mann hi mann sochti hoon..
Ke kash tere aane jaane ka pta hota.
Toh phir mae tujhe rok kr kehti...
Tham ja, zara sun toh mujhe,
Aa chl aaj thoda ek doosre ko jante hai,
Samajhte hai, ke har badalte mausam mae tu
itna khoobsurat kese ban jata hai?
Zara samjha toh, kese tere aane se kisi ki zindagi khushaal aur kisi ki khamosh ** jati hai?
Aey waqt chal aaj thodi si guftagoo krte hai.
Kuch sawal jawab krte hai.
Aey waqt zara aaj do pal mujhe bhi deja.
Kuch tu mujhe sunata ja aur kuch mujhe sunta ja..!!
So Lets plan a date?
Just you (time) and me
Riddhi N Hirawat Nov 2019
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur
Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala
Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein
Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske
Usi metro ki tarah par dheere zara
Thandi hawayei hain.
Usme goonjta mera aaj khada
Kuch thandak hai inn hawaon mein
Aur bohot sara sukoon bhara

Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak?
Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya
Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin?
Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya
Kya raambaan sukh yahi toh nahi
Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi
Kya Ramcharitmanas mein hanumat
Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi?

Aisa hi amritmay bachpan mein,
yaad hai mujhko lagta tha
Zameen se shuru uss lambi khidki
Se yahi chaand chamakta dikhta tha
Mama sa ban chup shant bhav se
Kuch baatein meri sunta tha

Kyunki khud bhumi par bistar pe so
Holi mujhe khilayi thi
Khud bhookhe reh uss ke paiso
Se mere bhai ko idli chakhayi thi
Bohot pasand thi usko uski idli
Aur rangbhari mujhe holi meri

Kya kabhi unhen main unka wapas
Ye rinn chukta kar paungi
Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar
Unke liye itna kar paungi?
Kya usi chaand ki thandak si khushiyan
Unki jholi mein bhar paungi?

Kya bhool maaf karne ki hadd
Ko paar kar kar ke thake nahi wo?
Kya raat bhar bhi jagkar subah
Hans dawa banna bhoole nahi wo
Kya insaani roop mein hain
Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
Ashish Gaur Mar 2021
Aajkal Bolna hota hai kuch merko
Par kuch aur hi bol jata hu me
Aajkal hasta sabke saath hu me
Bas tumhare saath hi muskura pata hu me

Aajkal harr raat sone toh jata hu me
Par sapno me tumhari awaz sunke uth jata hu me
Aajkal ek hi gane ko sau baar sunta hu me
Phir kyu tumko soch kar sau gane likh jata hu me

Aajkal hota toh me yehi pe hu
Par kissi aur ke khayalo me doob jata hu me
Aajkal raaste toh bahut leta hu me
Par manzilo me tum tak pahuch jata hu me

Aajkal zindagi lagti hai mere sapno ki tarah
Phir lagta hai galti se uth na jau me khi
Aajkal har pal jeeta hu me zindagi ki tarah
Phir sochta hu ye pal bheet na jae khi

Aajkal sanse tham jaati hai meri
Bas Jab bhi hoti ** tum sath
Aajkal dhadkne dhadkti hai meri
Bas Jab tak tum ** saath
Dharmendra Kumar Sep 2020
Kya kahu koee sunta nahi
Gam bhara aankhon me chalkta nahi
Tut kar ham bikhar jaye
Kisi ko farak padta nahi
Sab bhala hai kya
Bura koee kahta nahi
Tut kar bikhar jaye
Kisi ko farak padta nahi

— The End —