Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"sunani" poems
Ehsaas kay dareechay main Baynaam sa aik shahar basta hai Har roz wahan log uth-tay hain Qaroobar kay hangaamon main Koe mun dho kar nikalta hai Koe bay- awaz surr pay sarr dhunta hai har roz wahan aik kahani hai Jo tmhain mjhay sunani hai Har saa-at wahan aik tamasha hai Jo rukta aur shaur machata hai Raat ki taareeki main Jab sab thak kar laut aatay hain Apnay **** ki thakawat ko Wo  khawaboon kay ka-andhay utartay hain Aur yunhi so jatay hain..... Ehsaas kay dareechay main Jo aik bay- naam sa shahar basta hai Uss basti ki sab hastion main Chupa bacha din bhar hansta hai Aur shab dhalay, sarhanay mun day kar rota rahta hai.....
0
Nov 14, 2018
Nov 14, 2018 at 1:55 PM UTC
Shab bhar!
Kuch baatein yuhi kahi to nahi jaati, kai baatein aankhe bhi bayaa nahi kar paati Kisi rail ki thar-tharahat mein shayad hai woh baat Ya hai kisi pool ke sannatein mein... Yeh jo kaath le taalein hain, apne lafzon par kyun daale hain Ek ajeeb si narazgi sabhi ne paale hain! Kabhi khil-khilati thi mere honthon ki hasi, Aaj aalam hai ki murjhaye phool bhi humse sayaane hain... Dil ki baatein dil ko hi satati hai, Aa jayen agar lafzon tak toh apno ko rulati hain... Zindagi badi ruhaani hai, harr mod ek nayi kahani hai, Kuch baatein yunhi sunani hain Kai baatein aankhon se samjhani hai...
0
Mar 12, 2018
Mar 12, 2018 at 10:18 AM UTC
ALFAAZ
Duniya ki bate aab aasama se krni hai, aasaman se milne ki purani si khwahish hai Kuch sapnoko mere sunani hai kahani badlonki, usi shehar mai mashhoor krna bhi unko hai Sapno ki dastan to kahani se shuru hoti hai.. Aur hakikat se khatam.. Hame to sirf aasman ki mehfhil mai sajish krni hai, Sach kahu to sapne to sirf yek bahana hai Hume to sirf aasman se bate badhani hai.. Baton hi baton mai khuahish yek puri ** jayegi, khavobon ka ky unki dadhkne to hum umrbhar nibhayenge..
0
Jan 10, 2021
Jan 10, 2021 at 7:35 AM UTC
Bate...