"sunane" poems
Mene suna he ki vo aaj bhi vahi intazar karti he
shayad ab bhi mujse pyar karti he
mene nahi chaha kabhi usase juda hona
par vahi he ke jamane se na jane kyo darti he
ham to yaado ke sahare ji lenge uski
or vo he ke yaado ko dene se darti he
kya hoga gar chal bhi gaya pata jamane ko
fikr mat karo kuch logo ko kisse mil jayenge is jalim duniya ko sunane ko
bare gor se sunegi dasta ye hamari duniya
kabhi na kabhi yad to karegi
is jamane ke dar se bhichade ham divano ko
Feb 25, 2014
Feb 25, 2014 at 8:07 AM UTC
Zindagi ke raah mein tanhai maine pa liya
Jiska bhi gham mila apna bana liya
Sunane ko mila na koyi dastane gham
Aina rakha samne aur khud ko suna liya
Apr 7, 2014
Apr 7, 2014 at 3:57 PM UTC
Teri zulfon k chav mei
chamakta yeh chand sa chehra,
Aab isse jyada mai tujse aur kuch na keh raha.
Sunane ko bahut kuch hai
Par sun ne ko koi nahi.
Mana galti thi meri
Kya mai Maafi k layak hu nahi?
Apr 18, 2017
Apr 18, 2017 at 3:42 PM UTC