Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
BJ Sep 2020
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum behad khoobsurat **.
Ye jo tumne akhon ke kajal ko b palko ki had me dal rakha hai.
In aankhon ne jane kitna kehar sambhal rakha hai.
Kya chamak hai aankho me jaise ek choti si khush duniya ka sapna paal rakha hai.
Socha cheru thoda tumhe or thoda sata du.
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum nazneen **.
Phir kuch tumhare galon k un khaddo ki gehrayi dekhi.
Na us se gehri koi khaayi dekhi.
Nazar htane wala tha k us muskan ne rok lia..
Muje aj sambhalne se pehle tere chehre nadan ne rok lia.
Jane tumhe ye sab kehna lagta hai khata kyu.
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum dilnashi **.
Vo choti si kali bindi jo thik maathe k me kahi hai.
Vo b har shayar ko kheench rahi hai.
Jaise muje kehti ** idhar aao tumhe kano k jhumko ka pta du.
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum dalkashi **.
Ye phir thode uljhe thode suljhe baal hai.
Inki to ada hi bemisal Hai
Tumhe tang karte hai.
Manmarji chalate hai jaise tujse jung karte hai.
Chere pe aate hai tum unhe phir peeche karti.
Kabhi clip se kabhi rubber se kheenche rakhti **.
Kabhi aaye chehre pe to shayad main b hta du.
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum koi kehkasha **.
Or vo sone ki nath ko koi
kaise taal sakta hai.
Jise tumne apni teekhi si naak me daal rakha hai.
Or kuch batein in sab se pare hai.
Tera chutkan sa Gussa hai jane tu kaise handle kare hai.
Phir vo pyari si hasi vo sharm haya  vo bachpana vo nadaniya.
Samjhdari vo nasamjhi
Vo adayein vo shaitaniya.
Or sambko tumne brabar rakha hai.
Jane ye hisab kaise lagakar rakha hai.
Kya kehna hai kya sunna hai kya bolna hai kya btana.
Kab ruthna hai kab manana hai kab satana hai kab jatana hai.
Teri har ek choti moti khoobiyon ne dil me aatank macha rakha hu.
Jane tune kitne salo se khud ko ishq se bacha rakha hai.
Jane mujme kab se or kyu ye thode guroor k lakshan aaye hai
K tuje suna sabne hai samjh sirf hum paaye hai.
Tum jaisa or koi mere aas paas ni hai.
Phir kaise manliya jaye tum aam ladki ** tum me kuch  khas nahi hai.
Ha aj maine ek kadam apne beech ki sarhad se thoda bahar aaya.
Tumne apna hunar azmaya tha vo pic dalke use shayri bnake maine apna hunar aazmaya hai.
ye padhke tum socho k inam du is shayar ko ya koi saza du.
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum afreen **.

Tum khoobsurat **.
Sakshi goyal Oct 2020
Aa ab laut chalein apne ghar
Aa ab laut chalein apne ghar
Bht lamba hogaya yeh safar

Jaha teri shetaniyon ka manzar tha
Jaha pyar ka samndar tha
Jaha thak kar sona ata tha
Jaha har kona muskurata tha
Jaha beeta har din yadgaar tha
Jaha ka har pal suhana khwab tha

Aa laut chalein apne ghar
ab bht taay kar liya yeh safar

jaha khul kar tu bhi hansti thi
jaha muskura mein bhi leta tha
jaha teri badmashiyo mein
bacha me bhi bann leta tha
jaha naachti tu thi aur jhumta me tha
jaha bachon si ladhai aur dil ka mehal tha
jaha na kabhi dur hone ka dar
na adhuri koi aas thi
jaha sath beshumar tha aur poori har saans thi
jaha rote rote hans dete the hum
na koi fikar ki bat thi
jaha ghanton batein karte the hum
ghadi ki sui na humare sath thi

Aa laut chalein apne ghar
Bht lamba hogaya yeh safar

Jaha tera kam se ana tha
Phr mujhko gale lagana tha
Jaha teri bematlab ki baton me
Mera kahn gum hojana tha
jaha har sapna jee rahe the hum
jaha nahi thi kisi ki koi sharam
jaha dikhawa koso tak na tha
har jagah tha bass pagal pan

Aa laut chalein apne ghar
Bht lamba hogaya yeh safar

jaha jhagde bhi suljhe se the
jaha ansun bhi uljhe se the
jaha hothon pe muskan bhi thi
jaha ankhein kuch naadan bhi thi
jaha nanhe kadmon ki awaz bhi thi
jaha lori ki chankar bhi thi
jaha ghungru si tumari payal bhi thi
jaha kangan ki awaz bhi thi
jaha hansta hua tera chehra bhi tha
jaha ghurti meri ankhein bhi thi
jaha band woh darwaze bhi the
jaha do **** ek jaan bhi the


Aa laut chalein na apne ghar
waqai bht lamba ** gaya yeh safar....
waqai bht lamba hogaya yeh safar..!!!


..

— The End —