Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"suhana" poems
Aa ab laut chalein apne ghar Aa ab laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha teri shetaniyon ka manzar tha Jaha pyar ka samndar tha Jaha thak kar sona ata tha Jaha har kona muskurata tha Jaha beeta har din yadgaar tha Jaha ka har pal suhana khwab tha Aa laut chalein apne ghar ab bht taay kar liya yeh safar jaha khul kar tu bhi hansti thi jaha muskura mein bhi leta tha jaha teri badmashiyo mein bacha me bhi bann leta tha jaha naachti tu thi aur jhumta me tha jaha bachon si ladhai aur dil ka mehal tha jaha na kabhi dur hone ka dar na adhuri koi aas thi jaha sath beshumar tha aur poori har saans thi jaha rote rote hans dete the hum na koi fikar ki bat thi jaha ghanton batein karte the hum ghadi ki sui na humare sath thi Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha tera kam se ana tha Phr mujhko gale lagana tha Jaha teri bematlab ki baton me Mera kahn gum hojana tha jaha har sapna jee rahe the hum jaha nahi thi kisi ki koi sharam jaha dikhawa koso tak na tha har jagah tha bass pagal pan Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar jaha jhagde bhi suljhe se the jaha ansun bhi uljhe se the jaha hothon pe muskan bhi thi jaha ankhein kuch naadan bhi thi jaha nanhe kadmon ki awaz bhi thi jaha lori ki chankar bhi thi jaha ghungru si tumari payal bhi thi jaha kangan ki awaz bhi thi jaha hansta hua tera chehra bhi tha jaha ghurti meri ankhein bhi thi jaha band woh darwaze bhi the jaha do **** ek jaan bhi the Aa laut chalein na apne ghar waqai bht lamba ** gaya yeh safar.... waqai bht lamba hogaya yeh safar..!!! ..
0
Oct 29, 2020
Oct 29, 2020 at 10:05 AM UTC
Aa ab Laut chalein apne ghar...!!

Continue reading...
52
Bada mushkil tha woh Lamha tere dar se nikal ne ka... Ke ruqsat ** rahi thi main magar ek juz wahin par tha... Thi aankhein aansuon se pur qadam aage hi na badhta... Nazar mein kuch nahi tha Dil mera shiddat ke ranjh mein tha... Kuch aisi kaifiyat mein chal padi Chalna muqaddar tha... Kabhi lautungi main dar pe mere Zehn mein mere yehi chalta... Yun hi chalti rahi, main *** kahan par Yeh na kuch socha... Jo peeche dekha maine ghar bohot hi door tha choota... Ke ab to raasta bhi ghar ka mere mujh ko naa dikhta... Ke kaise jaungi main ghar ko mere mujh ko na tha pata... Mere atraaf mein bas tha bayabaan aur veeraana... Zamane bhar ki thokar ka Yeh pehla sa tajurbah tha... Safar se thak chuki thi main aur mayoosi ka aalam tha Par Tu ne chod na mujh ko diya Bebas besahara..... Achanak dasht o sehra mein woh aaya ek masiha tha... Badi hi door se dikhta mujhe us shaks ka saaya... Usi ne rehnumaai ki sahi simt us ne dikhlaya... Khushi se jhoom uthi main jo pata ghar jaane ka paaya... Mujhe jaana kahan aur kis tarah Yeh ramz tha pehchaana... Ke saathi ban rahe the "Ain" tere Na Tanha aalam tha... Safar ab khushnuma tha har taraf manzar suhana tha.. Ke ab bhi chal rahi *** par safar ab na tha anjaana..
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 6:40 AM UTC
Woh lamha -e- rukhsat