Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"soorat" poems
Mujhe wo aksar kehta tha Muhabat kuch nhi hoti Hijar ka khauf be matlab Wasl k khwab bemani ... Nighaoon main koi soorat Kahan din rat rehti hai Usy q khamoshi kahain K jis main bat rehti hai Wo ankhain kaisi hoti hain? Jahan barsat rehti hai Yeh ansu bezaban ansu Bhala kya bol saktay hain Or uski narm palko pe nami Din rat rehti hai Mujhe wo aksar kehta tha Mohabbat kuch nahi hoti Magar jab aj barson bad Main ne usko dekha hai K uski jheel ankho main Hijar ka khof rehta hai Wasl k khwab rehtay hain Wahan barsat rehti hai Yun lagta hai k barson se Wo soya v nahi shayad Yun lagta hai kisi ki yada barson se Usy din rat rehti hai Or uski narm palkon pe Haseen saay be geelay hain Or uski khamoshi aisi k Jis main bat rehti hai Mujhe ab wo nahee kehta Muhabat kch nahee hoti.
0
Jan 20, 2016
Jan 20, 2016 at 3:38 PM UTC
MOHABBAT KUCH NAHI HOTI
yae dil be-qrar hae jeena dushwar hai mjko us say pyar hae uska intzar hae rsta khardar hae kya us k liye b!! mere bin... jeena dushwar hae! mera intzar hae! us ko mj say pyar hae! dil b be-qrar hae! mjko to btlao na! kya wahan b.. ye he soorat haal hae!!
0
Feb 4, 2015
Feb 4, 2015 at 6:28 AM UTC
Be-qrar
Nhn aayna- e -saaz main go-mago yay kaifiat Jaisay burg- o -bahar main ** koe chingari Jiss kay sholon main bujhay yay dil rakh ki soorat Jisss kay chahray main jalay angari..... Main wo zaat hon jiss ka koe shahar nhn Jo jahan chalay wahan aag lagay Jiss kay bayan main naan zahar naan amar Jiss kay wajood main dah-kain sab raaz chupay..... Nhn asbaab koe, nhn imkaan koe Mere zaat kay hisaab main nhn jaan koe Phir bhe toofan-e- azam liay chalti hon Kay meray dard ki intiha ki nhn intiha koe.......
0
Feb 19, 2019
Feb 19, 2019 at 11:34 AM UTC
kaifiat(a state)