Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Chand Nazar aaya lekin sitaare dhoond rahe **
Chand Nazar aaya lekin sitaare dhoond rahe **
..

Hum Nazar aaye lekin bahaane dhoond rahe **


Humne Salah Jo Diya aap salamat hogaye
Humne Salah Jo Diya aap salamat hogaye
.
.
Humne dua Jo kiya.. aapto hamaare hogaye
Snigdha Banerjee Aug 2016
(Let them see the world)
Dekho Manhooos Paida Hui Hai
Sabke Chehere Pe Maatam Chaa Gaya
Aur Betii Bojh Ban Gayi

Bojh Shayad Kuch Kam Hua Tha
Jab Iskaa Ek Chotaa Bhaii Hua Tha

Par Shayad Kabse Sach Hua Tha
Simaat Gayi Akelepan Mein

Baith Baith Ke Sapne Bunti
Raat Ko Voh Taare Gintii

Gintii?
Gintii Toh Mujko Aati Nahi

Baabujii Ne School Nahi Bheja Mujko
Betii Hoon Naah? !!

Aaj Veera Aayega Toh Ussey Kahungi
Gintii Sikhaa De. :')
Taaare Ginne Hai Mujko

Betii Honaaa Paap Hai
Betii Toh Bojh Hotii Hai Naah
Papa Bhi Yahii Kehete Hai

Solaah (16) Saal Kii Umaar Me
Voh Laal Jodaa Mujhpe Bojh Ban Gaya
Aur Baabuji Kaa Bojh Shayad Kuch Halkaa ** Gaya
Ispe Kayi Sitaare Lage The
Aur Muje Abbhi Gintii Nai Aatii Thi

Dekho Manhoos Paida Hui Hai
Mai Manhoos Banke Reh Gayi
Sabke Chehere Pe Muskaan Thi Aaj
Aur Beti Bojh Banke Reh Gaayi.
This is a poem about all those daughters who are still considered as a burden a bane.
ACCEPT THEM WITH SMILES
THEY AREN'T BURDENS
A MOTHERS SMILE HELP YOU GROW
A SISTERS SMILE NEVER LETS YOUR SMILE FADE AWAY
A DAUGHTERS SMILE KEEPS YOU YOUNG

— The End —