Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey May 2019
Aaja ab paas mere kahin der na ** jaaye,
Abhi pyar karne ki lagan hai kahin jindagi beet na jaaye,
Tu bhi kahin ehsaas to karta hi hoga ,
Chup chuo k meri chahat pe guroor to karta hoga,
Beet jaane k baad agar mere tu lautkar aaya,
To yaad rajhna kahin kho dene ka sadma tujhme na ubar aaye,
Nahi chahta mai k tere dil me gam e bahar aaye,
Aaja ab paas mere kahin der na ** jaaye....
Silsila rok de ab mujhse nafrat jatane ka,
Shabab gahra hoga mere dil se tere dil ko milane ka,
Khamosh hokar yun intjaar karna nahi acha,
Ab to bole do kahin chahne vala tera hamesha k liye khamosh na ** jaaye,
Din beet na jaayr kaali raat thahar hi na jaaye,
Betaabi badhti ja rhi hai yujhe paane ki,
Ab rok de intjaar k lamhon ko kahin bahut der na ** jaaye,
Aaja mere paas ab kahin der na ** jaaye.
Mein phir waqt e sharabi
Shubah ko shaam ki tarah dekhta
Purane waqt ki nadiyaan behne lagi...
Jaisi dil e kaabil na kaabil ek tanhai me
Dard e jaam
Dua e adhura haqeeqat
Gehri si haweli
Aur oski nazrein
Yaadon ka
Silsila
...
.
Yeh waade
Yeh kasme
Yeh Silsila
Yeh Ishq
Yeh junooniyat
Yeh aashiqui
Yeh Lamhe
Aur
Mein sharaabi
Dooba
Woh waade
Woh iraade
Woh baatein
Woh nazm
Woh aaina
Woh Aankhen
Woh hi woh
Mein Kanha
Ghul sa Gaya
Yeh Woh yaadon me
Aur mein neend e Khamoshiyaan
Bin piye maikhane me
Neend me jaagta
Yeh Woh khwaabo liye
Mann hi Mann me
Hazaaron  khwaahish e fitoor..
..
Shrivastva MK Apr 2018
Kuchh Zakhm sine me hi dab jate hai,
Tou kuchh aansuo me bah jate hai,
Ye zakhmon ka Silsila kahan thamta hai,
Kuchh Gairo se mila,Kuchh apne hi de jate hai,

Jis jis pr es dil ne bharosha kiya hai,
Aksar usne hi ese zakhmi kar diya hai,
Jiske liye sazaye the sapne humne,
Sirf unhone hi mujhe Judai ka upahar diya hai,

Kabhi aansuo ke sahare us gum ko bhulate hai,
Tou kabhi muskura kr us dard ko chhupate hai,
Zindagi ke roop rang ko smjhna behad mushqil hai,
Kabhi koi paas aata,tou kabhi bin btaye hi ojhal ** jate hai,

.........
Tum bhul Gaye mujhe
Is tarah ki me bhul Gaya apne aap Ko
Mehfil e mehkhane
Pyaar ki judaai e bepanhah Ishq
Kya karta mein ...
Mein jee ke na jeeya
Tere aarzoo e hasi
Teri yaad


Teri yaad
Aur Silsila tanhai ka
Tu Kanha
Mein dhuwaa e dhoondta
Teri Ruh Ko pyaar karta
Khud Ko bhula diya
Haan meine khud Ko bhula diya
Ishq ki baoli me
Dhoop me khud Ko jala diya
Teri Ruh Ko dekhta Nashe e jaam me
Nidhi Jaiswal Nov 2020
Bas hame malum naa tha
kisi ke sath pane ki
khawahish bhi na thi
kisi se bicharne ka gam v nahi tha
To kya tha jo tha
bas hame malum naa tha.

Jane anjane me hua tha hame v kuch kabhi
The bekhabar hm bhi
Khudse hii khabar the

Til Til se sanjoya tha khaboo ka v mahal kabhi hhmne
Tut gaye sare khawb par til v na dikhi

Khawbo ki atishbaji dil me iss qudar ** rhi thi
Jaise khuli aashaman me tare nazae aane lage the

Uss hasin shaam ko main
Dulhan ki tarah saji uss saksh e oo aam ka main
Talab e intazar kar rhi thi
Par wo nahi aaya
Wo pal tham si gyi
Meri sanse ruk hii gye
Mano
Bin mausam ki bijliya barasne lage
Aachank tufan sa utne laga
Mere dil ke har kone me
Brishsh v hui khuli ragistan m
yado ka silsila mitne laga
kuch is quadar jaise
Reet pani me tairne lagi
Bas hame malum naa tha.

This poem is based on reality of life when you truly loves to someone but  still they don't understand your feelings. Than we feel  life is just stopped. But we should move on.
Thanks for reading
Wajah bewajah
bina baat hi kabhi bas,
log rootha kyu karte hain ?

Kyu
apni hi ummeedon ke tang jaal mein
din raat,
yun hi ghuta karte hain ?

Jaane anjaane
hum  â€śhumare” “apno” se
wada jhootha kyu karte hain ?

Zindagi ki daud dhoop mein
kuch saathi bante hain
toh kuch
choota kyu karte hain ?

Dilon ke rishte
Aksar toota kyu karte Hain ?

Yeh roothne manane ka akhir silsila kya hai
Kai baar mile aur bichad gaye
Bhala majra kya hai ?

Iss banne aur sawarne ki
Iss tootne bikharne ki
Aakhir dawa bhi kya hai ?

Hey Nath,
Yeh das tumhare charano mein
Gira hua hai pooch raha
Mera dil hi kahin behaya kya hai
Ya paap ka ghada shaayad bhar gaya hai

Iss bhava bandhan mein phansa  hua
Meri karun pukaar suno
Kukarmo ke daldal mein dhansa hua
Kar raha chitkaar suno
Davagni mein jal raha
Bheesan hahakaar suno

Daya karo ab hey Bhagvan
Ya ban Narsingh sanhaar karo
Aap ki sharan mein ab yeh dushtt
Iss neech ka uddhar karo
Ankit Dubey May 2019
Yun is kadar anjaan banaya tumne  mujhko k khud ko bhi ma pahchan na saku,
Ek to pahle hi tere pyar me pagal tha dil mera,
Kuj aisa kiya tune k jindagi kisi aur rukh pe mod na saku,
Beeti bston me kuj nahi rakha ye janta agar mai hota,
Na rota teri yaad me na yun kabhi tanha hota,
Kabhi kabhi dil karta hai tere kareeb aaun,
Tujhe nigaah bharkar dekhu,
Teri najar se najar milaun,
Par door gaye ** tum to aise k chah kar bhi kareeb tumhare aa na saku,
Silsila bahut purana hai chahne valo k juda hone ka,
Bas pyar karne ka aur ksbhi mil na pane ka,
Kuj haal mera bhi aisa hai,
K tujhe chahu chahta jaun par tujhe kabhi apna bana na saku.....
I love u S
Anshika Oct 2020
Yaha rishton ke jaal mee aapko fasaya jata hai... Aur jab aap uss rishte ke bandhan mee bandh gye aap toh aapko apne matalb ke liye uksaya jata hai....
Jab matlab bakhubi nikal jaye toh aapko wapes see bewakoof banaya jata hai... Aur yee silsila hai jaari iss duniyaan kaa waah re duniyaan tu bhi na jane kitne rang ek girgit kee tarah dekhata jata hai....

Na puchoo haal uss saksh kaa jo apne sakshiyat bhula kee dusre kee kaam aata hai... aur anntt mee usee saksh ko ek pagal kaha jata hai... Waah ree duniyaan tu bhi na janeee kitnee logic lgataa hai.

— The End —