"shareer" poems
Ek arsaa ** gya h aabaadi dkhte dkhte
Ab khushal ped nhi patjhad lubhata h mjhe
Ab to there ishq mai khaak hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe
Ab suraj ki roshni nhi andhera pyara lgta h mjhe
Ab upar Jana nhi girna pyara lgta h mjhe
Ab to tere ishq mai raakh hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe
Ab to dil m pyar nhi dard accha lgta h mjhe
Is bejaan shareer mai khoon nhi nasha acha lgta h mjhe
Ab to tere ishq mai taaj hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe
Teri ek ek yaad apne ashko se bahani h mjhe
Teri ek ek hasi apne gum se chupani h mjhe
Ab to tere ishq mai zinda laash hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe
Ishq ki maala m vishwas k motiyon ko todna h mjhe
Duniya k jhoote riti riwazo ko todna h mjhe
Ab to tere ishq mai kisi shayar k labo ki awaz hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe
Jan 9, 2017
Jan 9, 2017 at 12:45 AM UTC
Meri hasti kuch yu bikhar gayi....
Maano Mere pahuchne se phele kashti guzar gayi....
Me dekhta raha Jaise koi dur ** raha Hai mujh se....
Laga Maano kuch Palo me jindgi badal gayi....
Dil kheta raha k rok lu use dekar awaz....
Par na jaane kyu chup rahe mere alfaaz....
Ajeeb laga soch kar kay wo chala gya mujhe bhul Kar....
Khushiya le gaya meri, gam jholi me dalkar....
Shayad wo pahuch gya ** manzil par apni....
Khe kr mitti shareer Mera khud paani me utar gaya....
Karte rahe jindgi bhar dua jiske liye....
Wo kahi apni manzil talash raha hoga or me rait me nishaan uske....
By: Himanshu rajput
Jul 14, 2017
Jul 14, 2017 at 5:57 AM UTC
Sab Khuch Tau Woh He Hai.
Woh Hi Log.
Woh Hi Fikaar.
Woh Hi Jagaah.
Woh Hi Sauch.
Na Khuch Badla .
Na Khuch Badlaiga.
Paani Tau Paani Hi Hai.
Asmaaan Sai Hi Aaati Hai.
Agar Woh Na Badla.
Tau Aur Kya Badlaiga.
Insaan Ka Shareer Tau Woh Hi Hai.
Woh Dau Haat aur Pair.
Woh Hi Kamzaat Dimaag.
Agar Woh Na Badla.
Tau Aur Kya Badlaiga.
Badlaa Tau Hamarai Tareeqai.
Badlaa Tau Hamarai Havaas.
Badlaa Tau Hamaari Na Farmani.
Badlaa Tau Hamaari Khudkarzi
Aur Khuch Nahi Badlaa
Na Khuch Badlaigaa
Apr 28, 2019
Apr 28, 2019 at 10:52 PM UTC
Bachpan se tha laad pyaar,
Sab mein achhe, imaandaar,
Hum bhi banenge khuddaar,
Sabne kaha bahu samachaar,
Par bahar jaane ka naakar tu vichaar,
Duniya mein bari hai andkaar.
Bachpan se tha laad pyaar,
Clg hogaya ab job ka tha khayaal
Ek dum se nikle the bahar,
Hairaan hogaye dekhkar,
Aise hotha hai dhuniya dhaar,
Na khoi address ka tha patha,
Na koi routes ka idea tha,
Poore shareer ke andhar chah gaya tha dar.
Bachpan se tha laad pyaar,
Junoon tha man mei,
Dhikana tha duniya ko kuch bankar,
Par jab aayi naukri ki baari,
Paani paani hogayi confidence saari,
Zor zor se padgaye thaane,
Aakhir kyu aati ** tum kamane.
Jo bachpan se thi perfect,
Uspe padgayi daant ka effect,
Mote mote nikalgaye aasu,
Rou bhi na toh kya karu khasu.
Rone ki humpe lag *** tag,
Sabko jaise bangayi mazak.
Kehne ko aazad hai hum,
Abhi bi hai laachari ki gum,
Aasan nahi hotha yeh sehna,
Mazak banake na rakdo,
Mere bhai aur behna.
Apr 7, 2022
Apr 7, 2022 at 4:21 AM UTC