Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"sharam" poems
Aa ab laut chalein apne ghar Aa ab laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha teri shetaniyon ka manzar tha Jaha pyar ka samndar tha Jaha thak kar sona ata tha Jaha har kona muskurata tha Jaha beeta har din yadgaar tha Jaha ka har pal suhana khwab tha Aa laut chalein apne ghar ab bht taay kar liya yeh safar jaha khul kar tu bhi hansti thi jaha muskura mein bhi leta tha jaha teri badmashiyo mein bacha me bhi bann leta tha jaha naachti tu thi aur jhumta me tha jaha bachon si ladhai aur dil ka mehal tha jaha na kabhi dur hone ka dar na adhuri koi aas thi jaha sath beshumar tha aur poori har saans thi jaha rote rote hans dete the hum na koi fikar ki bat thi jaha ghanton batein karte the hum ghadi ki sui na humare sath thi Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha tera kam se ana tha Phr mujhko gale lagana tha Jaha teri bematlab ki baton me Mera kahn gum hojana tha jaha har sapna jee rahe the hum jaha nahi thi kisi ki koi sharam jaha dikhawa koso tak na tha har jagah tha bass pagal pan Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar jaha jhagde bhi suljhe se the jaha ansun bhi uljhe se the jaha hothon pe muskan bhi thi jaha ankhein kuch naadan bhi thi jaha nanhe kadmon ki awaz bhi thi jaha lori ki chankar bhi thi jaha ghungru si tumari payal bhi thi jaha kangan ki awaz bhi thi jaha hansta hua tera chehra bhi tha jaha ghurti meri ankhein bhi thi jaha band woh darwaze bhi the jaha do **** ek jaan bhi the Aa laut chalein na apne ghar waqai bht lamba ** gaya yeh safar.... waqai bht lamba hogaya yeh safar..!!! ..
0
Oct 29, 2020
Oct 29, 2020 at 10:05 AM UTC
Aa ab Laut chalein apne ghar...!!

Continue reading...
52
Jis phul ne koi galati hi nahi ki, Use kis baat ki saza diya ja rha hai, Es duniya me aane se pahle hi kyu use maar diya ja rha hai, Ai Khuda kyu aise janwar ko tune banaya, Ek chhoti kali ko pet me hi maar khud ko insaan btaya, Na maaro us phul ko jisme us bhagwan ka hai waas, Ek din aisa aayega jab ** jayega puri shristi ka naas Arey nasamjh insaan sirf bete ki hi aas lagaoge, To phir maa, behan aur dulhan kahan se paoge, Mata-Pita ki galati ki saza us chhoti kali ko diya jata hai, Ek chhote se andhere ghar me hi use maar diya jata hai, Wo kali bhi baar baar unlogo se karti pukar, Hey Maa-Baba mujhe pet me hi mat maar, Ye duniya ek baar mujhe bhi dikha de, Apne amrit ki ek ghunt mujhe bhi pila de, Nanhi si jaan tou hai bekasoor, Maar kar hi aakhir kyu milta hai pathar dilon ko suroor, Wo bhi dekhna chahti hai duniya, Janam lene se pehle hi Jaan gawani padti hai oo gudiya, Apne hi hathon ukhed dete hai apne hi aangan ka phool, Kaisa hai ye bereham logon ka usool, Kismat wale hote hai wo insaan, Jinki kokh mein dete hain betiyan bhagwaan, Beti hai ishwar ka hai en anmol uphaar, Jeene ka us nanhi jaan ko bhi hai adhikaar, Sharam aati hai logo ki is ghatiya soch par, Taras aata hai unpar Jo apne hi ansh ka dete hain maar Devi ka karte hain jo tiraskaar, Banao ek naya usool Beti ko karo qubool Jeevan ka hai ye adhaar Banta hai inhi se sansaar, Likh us phul ka dard hamari aankhen bhar aai, Teri banai duniya me O mera khuda ye teri kaisi khudai.. Ye teri kaisi khudai... Collaboration by Manish Shrivastava and Sonia Paruthi
0
Mar 23, 2018
Mar 23, 2018 at 10:12 AM UTC
Nanhi si jaan ka balidaan

36