Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Kripi Jun 2013
Jaanaa bas ek ishara to kar,
Tere kadmon mein la du sehar
Meri ab qaid khwahish na kar,
aake mere baazuon mein bikhar
Teri baahon ke saaye mein aake pighalna chahungi

Tu jo kahey hasna chahungi,
Tere sang chalna chahungi
** nuks mujhmein gar kahin............Main khud ko badalna chahungi


Feeki feeki si zindagi,
Tu ghol de aa chashni
Tod de sab bandishein,
Aa thaam le le chal kahin

Tanhaai ne hi hasaaya hai, tanhaai ne hi rulaaya hai
Tujhe dekh kar ke yun laga, tune mujhko khud se milaaya hai
Ladkhadati rahi, kabse thi main magar,
Tujhko paake zara ..sambhalna chahungi
Tu jo kahey hasna chahungi, tere sang chalna chahungi
** nuks mujhmein gar kahin......
** nuks mujhmein gar kahin......
Main khud ko badalna chahungi

Tu ashq hai khushiyon bhara
Koi mast ehsas hai
Tujhe kya kahun mere waaste.. tu hawa nahi saans hai
Saara jahaan main maan lu, gar tu mere saath hai
Tere saath bhi jo likhe ** ghum, to dard sab raas hai
Tere saaye mein **.. ab meri har subha
Shaam banke tere saath dhalna chahungi

*Tu jo kahey hasna chahungi, tere sang chalna chahungi
** nuks mujhmein gar kahin......
** nuks mujhmein gar kahin......Main khud ko badalna chahungi......
It's a Hindi song
Awesome Lyrics
Dedicated To My Love
I will show it's translation in Atul's next poem

(Atul.... Please Help Me In Translating.....:-P)
sachindra jha Sep 2014
Ek pal ki khushi , ek pal ka gham
jindgi ey jindgi
kaun tum kaun hum
kabhi tum lati **
umeed ki tez lehar
kabhi nirasa se kar deti **
jindgi ko shant sehar
kabhi kabhi sochta ***
tumne mujhe kya diya
beparwah muskan ya
aankhen nam
jindgi ey jindgi
kaun tum kaun hum !
Abhishek kumar Aug 2018
Na amiro ki basti mein rhta hu
Na hi gareebo ke aashiyane mein
Middle class ka hua
Middle mein rhta hu

Na pahali pankti ki pehali seat pr baithta hu
Na hi aakhar mein khada rhta hu
Middle class ka hu
Middle mein rhta hu

Na croro ka kabaar  hai
Na hi gulabi note hazar hai
Middle class ka hu
Meri jarurate saman hai

Na luxury car hai
Na nhi cycle apni bekar hai
Middle class ka hu
Auto,riksha, paddle chalna
Apne liye aam hai

Na meri girlfriends char hai
Na hi single rhna izzat ka swaal hai
Middle class ka hu
Apne yaar,dost shandaar hai

Na aasman chhuti imarto par likha apna naam hai
Na hi sadak kinare bitati apni shaam hai
Middle class ka hu
In dono ke beech
Kaat leta apni raat hu

Na videsh ghoomnta hu
Nahi sehar se bahar jaana muskil samjhta hu
Middle class ka hu
Apna desh pura ghoom lena bhi bahut samajhata hu

Na sir jhukane wale log hai
Na hi sir jhukane wale hum hai
Middle class ka hu
Sabko gale lagana hi
Apna dharam hai

Na hi ac mein kaam karta hu
Na hi dhoop mein pasina sukhata hu
Middle class ka hu
Pankhe ke niche apna kaam karta hu

Na suraksha karmi apne pass hai
Na hi sarir apna lachar hai
Middle class ka hu
Apni jaan ki raksha apne hath hai

Na chhapan pakwan banate apne maharaj hai
Na hi khaali pet sota apna pariwaar hai
Middle class ka hu
Meri maa ke haath mein hi sara sawaad hai
Ryan O'Leary Aug 2018
If I lived in a glass-
house, why would
I need a mirror, if I
knew that everyone
else could see me !


              <>


For Sehar Bajwa,
who wrote a truly
amazing poem
titled, Mirror Mirror.
I love your poem,
in fact I love you.
Shivpriya Jan 2024
O Ghamgusaar!
He.. O...Mere. O.. Yaara..
Iss Dosti ke naseeb
ko bachcale!

Tumne is bejaan ruh ko
khwaish ban ke kya dawa pilai.
ki.
Aaj hawa apna rut mod chali,
aur hume rulake chali gayi!

Khuda fakir banke na aaya!
Aur hum betaab reha gaye,
Is Sehar mein din ke ujaale tak!

Lekin.
O Ghamgusaar!
Aaj ye aankhon ke ansu
kehena hai, chahate tumse
ki in dhadkano ne seekha hai jeena tumse!

Isliye.
He..O...Mere. O.. Dil-Yaara!
Iss Dosti ke naseeb ko bachcale!
©shivpoetesspriya
I've added a new poem to my Hindi album "Geeton ki titaliyaan". The poem is titled "Chahane walon ka manzar".

— The End —