"sawaal" poems
*Tazaad-e-Jazbaat Mein Ye Naazuk
Maqaam Aaya To Kya Karo Gay*
**In contradiction of these emotions if that
Delicate moment unfolded - then what would you do?**
*Main Ro Raha *** Tum Hans Rahe **
Main Muskaraya To Kya Karo Gay*
**I am weeping and yet you are jolly
But if I smiled - then what would you do?**
*Mujhe To Is Darja Vaqt-e-Rukhsat
Sukun Ki Talqeen Kar Rahe **
**To me at this time of farewell
Instructions of tranquillity you are offering**
*Magar Kuch Apne Liye Bhi Socha
Main Yaad Aaya To Kya Karo Gay*
**But have you any thoughts for yourself?
If you recalled me - then what would you do?**
*Abhi To Tanqid ** Rahi Hai
Mere Mazaq-e-Junun Pe Lekin*
**For now there is criticism
On my state of madness but**
*Tumhari Zulfon Ki Barhami Ka
Sawaal Aaya To Kya Karo Gay*
**If scattering of your tresses is
Questioned - then what would you do?**
*Tumhare Jalvon Ki Roshni Mein
Nazar Ki Hairania Musallam*
**Within the splendour of your light
Is complete amazement of sight**
*Magar Kisi Ne Nazar Ke Badle
Jo Dil Aazmaya To Kya Karo Gay*
**Nevertheless if someone in return
Tested your heart - then what would you do?**
*Utar To Sakte ** Paar Lekin
Ma Aal Par Bhi Nigah Dalo*
**You can disembark across but
Take a glance at the result too**
*Khuda Na Karda Sukun-e-Sahil
Na Raas Aaya To Kya Karo Gay*
**God has not made a peaceful shore
If nothing suitable appears - then what would you do?**
*Kuch Apne Dil Par Bhi Zakham Khao
Mere Lahoo Ki Bahar Kab Tak*
**Take some wounds on your heart also
Season of my blood until when?**
*Mujhe Sahara Banane Vaalo
Main Larkharaya To Kya Karo Gay*
**Those in need of my support
If I show hostility - then what would you do?**
*Abhi To Daman Chura Rahe **
Bigar Ke Qabil Se Ja Rahe **
**For now you are leaving my hand
And you are parting away from Qabil**
*Magar Kabhi Jo Dharkano Mein
Sharik Paya To Kya Karo Gay*
**Yet sooner or later within your heartbeats
If I became a associated - then what would you do?**
— Translated by Jamil Hussain, Poet Qabil Ajmeri, Sung by Sabri Brothers
Oct 26, 2016
Oct 26, 2016 at 5:48 AM UTC
Dil ke ehsaas hote hain bhut khaas,
Shayad tabhi umadte hai bhut sawaal iske paas.
Tuta dil or tuta darpan hai ek samaan,
Jodne ki koshish karenge tou hoga kudh ko hi dard jiska nahi hai koi bakhaan.
Dil, Dil se milte hai tou pyar hota hai,
Dil, Dil ke liye hi beqarar hota hai,
Ye lafzon ki bhasha nahi samjhta saab,
Ye tou us nayno ke andaaz ko hi smjh leta hai
Yaaron dil kabhi kisi ka dukhana nahi,
Beshak tutne ki awaaz aati nahi.
Par khuda kasam dard bhut hai hota,
Jab ye nanha dil hai rota.
Jab kabhi hum khud se hi ruth jatey hai,
Dil rota hai aur aankhon se ashq tapak jaatey hai,
Ye bahut nadaan hota hai,
Bin soche hi pyar kr leta hai
Bin ankhiyon ke dekh leta hai bahut kuch,
Bin kaano ke sun leta hai har raag sach much.
Haal apne dil ka suna nahi sakte
Ujad gayi hai duniya jo thi khubsurat isme baste
Sab kuchh es chhote dil me chhipa ke bhi chup rahta hai,
Puri duniya ka dard bhi dedo tou aah tak nahi bharta hai,
Kabhi khush hokar muskura deta hai,
Tou kabhi taklifon ko dekhkar tut bhi jata hai.
Collaboration by Manish Shrivastva and Sonia Paruthi
Apr 15, 2018
Apr 15, 2018 at 11:36 AM UTC
Phir kyu ruka
Dil ki raah me
Intezaar e dard
Manzil e jaam
Raat ** ya din
Ek naye Roz me
Sochta aur beeta yeh din e tamanaah
Dil se dur ek kashish e adhura...
Chalta yu ki kab gir gaya...
Hosh e kaabil na raha...
Deewana pagal madhoshi me bheega...
Khuch sawaal liye awaaz e dard...
Khud ko hi jalata yeh mann...
Aashiq e kaabil sapno me bhi haar gaya...
Darte hue gulaab ke lamhein me bikhra
...lamho me khoya khud ko kaed kiye...
Ghumsum chup... Niharta aankhon hi aankhon me...
Shayad nisabadh .... Talash e sukoon ki...
Pyaare pal ki. ....Wohi aarzoo..phir se...
Kya sach me sach hoga ek sapna...?
Ya phir sote hua neend e darr me
phir se kho sa jayega woh lamhe!!!
Feb 14, 2018
Feb 14, 2018 at 12:48 AM UTC
Meri ankahi amaanat, meri eklauti ibaadat,
Meri jarurat, tu hi to hai meri zindagi,
Jakhmo ka marham, mera naadaan bachpan,
Meri hasi, tu hi to hai meri amaadgi.
Meri pahli ummid, mera akhiri kadam,
Meri parchhai, tu hi to hai meri baarish,
Har sawaal ka jawaab, mera har khwaab,
Meri neend, tu hi to hai meri khwahish.
Tu hi to hai jiske liye
Main bejaan ab saanse leta hoon,
Rukhi zindagi ki jameen mein
Tere hi to waqt ke beej bota hoon.
Tu hi to hai jiske liye
Duniya mein apni baat rakhta hoon,
Begairat duniya ki baaraat mein
Khushiyo ki sougaat rakhta hoon.
En bejaar chaar deewaaro ko
Tu hi to hai jo ghar banaati hai,
Tu hi to hai mera aaj, aane waala kal
Tu hi to meri jeewan saathi hai.
~abhs
Apr 19, 2020
Apr 19, 2020 at 3:14 PM UTC
Choti woh chidiya albeli
Pyaari si aur badi niraali
Nazhukh si pali , kuch dil ki bholi
Uskey par jaise rangoli.
Chote chote they uskey sapne
Jinhe wo sanwaare aankhon mein apne
Chaahe ki liye pankh bade woh
Bas udjaaye neele Gagan mein
Aakhir mein jab waqt wo aaya
Lekar pankh ko udjaane ka
Aansu lekar baabul se boli
Ye na mujhse ho paayega
Baabul ne uski narm si aankhe
Dekh ke usko ye poocha sawaal
Beti , tu kyu apne app ko rokey?
Kyu udhney key nahi khayaal?
Sunkar apni baabul ki boli
Dheere se chidiya ab doli
Tab lagta tha jo ek sapna
Aaj wo ** gaya hai choor.
Kya mere do pankh ye chote
Udh paayenge uthnee door?
Itna bhi mat karna guroor
Na Karo mere dil ko majboor
Rehne do mujhe tumhare paas
Phir na rakhungi mein koyi bhi aas.
Baabul ne chidiya ko sehlaaya
Usey apne dil se laggaya.
Jo sapno se tuney man ko behlaaya
Usko paane ka waqt hai aaya.
Chota mat kabhi kudhko samajhna
Bas yuhi pankh lekar udhjaana.
Udhna hi hai tera naseeb
Rakhna hamesha usey dil ke khareeb .
Aasman dekhe raah tumhara
Likhdo uspar naam tumhara .
Phir Chidiya ne lee aisee udaan
Bharliya aanchal mein aasman ke rang
Baabul ne dee usey bidaayi
Bhar aayi aankhein, raha gaya wo dang.
Aug 26, 2020
Aug 26, 2020 at 1:21 AM UTC
Main Woh Hu
Jau Har Roz Zindagi sai Pistaaa Hai.
Main Woh Hu
Jau Har Waqt Sauchtaa Hi Rehta Hai.
Main Woh Hu
Jau Kadva Sach Bolnai Sai Darta Hai.
Main Woh Hu
Jau Khamoosh Kiya Jata Hai.
Main Woh Hu
Jau Gham mai bhi Muskurata hai.
Aakhir mai Ek Sawaal Yeh bhi Aataa hai ki
Main Kaun Hu ?
Aug 1, 2018
Aug 1, 2018 at 12:29 AM UTC
Har haal mein hum behaal rahe
Gham-e-jaan se har dam ndhaal rahe
Tumhari chahat ki rahguzar mein
Kabhi khaak, kabhi paimaal rahe
Na khwab bane, na taabeer mili
Bas azaab hi azaab ke hamaal rahe
Dhoop sehte guzargayi sadiyaan
Shab-e-hijr ke hi sawaal rahe
Mohabbat ke saahil bhi door the
Aur dil ke toofaan be-zawaal rahe
Shajar-e-umeed ka saaya na mila
Hum faseel-e-gham ke kamaal rahe
Jo charaagh jalaye the aarzu ke
Wahi aandhiyon mein bemisaal rahe
Rah-e-wafa mein the zakhm beshumaar
Phir bhi hanste rahe, lajawab rahe
Humne socha tha dil ka dard sunayein
Magar lab pe qufl, aur sawaal rahe
Har shaam ne tanhai ka zehar diya
Har raat ke geet bhi malaal rahe
Jan 25, 2025
Jan 25, 2025 at 9:03 AM UTC
Bas Puchata Tha Yeh Ek Sawaal.
Badan Ban Jata Ek Mashaal.
Na Dai Woh Uska Jawaab.
Bhuj Jaati Hai Woh Aftaab.
Yeh Silsalaa Chalta Raha.
Aur Qayamat Tak Chalta Rahaiga.
Aab Baizaar Hau Gayai Hai Hum.
Zindagi Khuch Nahi hai Siwai Ghum.
Nov 2, 2018
Nov 2, 2018 at 12:18 PM UTC