"samjhna" poems
Kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay kitnay waday torhay hein?
kabhe pucha hay apnay app say kay kitnay logouin ka dill tora hay?
kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay apne eik nazar say kis kis ko apne he
nazrouin mein gerayya hay?
- nae pucha nah? kese din pucho gay nah tou mrnay ka dill chahy ga, zindage kay
naam say chirnay lago gay.
Kabhe pucha hay kay tum Zindage kay naam per eik beyqaar zindage jee rahay
hou? aur phir kehthy hou ''yaar kya krien zindage he esse hay''. Kabhe Zindagi
ke kitaab ko khol kr tou dekho kya kya rakha hay uiss mein. Zindage bahot he
haseen hay sirf hum masroof hein apne duniya mein wou duniya jis mein kuch
nahe sawaye humaray. Ajj loug dusrouin ke mintein krtay hein kay ''ruk jau''
''na jau'' jb kay mery khayaal mein ye loug bhul chukay hein kay '' jis ko jana hay
uis ko jana hay chahy tum apne jaan kyun na deh dou''. Ajj tou logouin ke
zindage andhere hojaate heh jab koe uinka ''dost'' ya ''yaar'' chor jaye aur wo uis
khuda ko bhool jaatay hein jis nay uis ko usse ''dost'' ya ''yaar'' say milaya tha.
Hum loug tou apnay Khuda ko bhe bhul chukay hein. Wo Khuda jis kay pass
humnay waapis jana hay wo Khuda jis kay bagheir humare koe ukaat nae.
Barhay Unchay gharouin mein reh reh kr apnay app ko Khudha samjhna shuru krdeya hay humnay.
Ess zamaanay mein koe kese ka Dost nae hota barha Dost Dost krtay hou na jab doob rahay hou gay
kudhe dekhna kay sab DOST tamasha dekh rahay hogein aur tum zindage ke tarf aanay ke bher-poor
koshishein kr rahay hou gay, tab apnay app say puchna kay ye wo DOST thay jin kay leye tum apnay
maa-baap say laray? uin kay samnay uncha bolay? sharmindage hoi? Ajj hum itnay ''self-obssessd''
hein kay dusrouin ko dekh kay lagta hay chunte jitni ukaat hay uiss ke. Hum apne he Duniya mein
bahot dur nikal aayein hein, asal duniya say bekhabar, asal dostouin say hum la-taluq ** chukay hein.
Hum ajj apnay app mein he kho chukay hein. Apnay rab ko humnay kho deya. Rab ko kho deya matlab
Sub kuch kho deya ! tou abb hamaray pass koe raasta hay?
-Haan wou rab 5 martaba bulaata hay tumhein apne taraf, jau uiss ke taraf aur apne ASAL ZINDAGE
ke taraf waapse aou.
Sep 16, 2016
Sep 16, 2016 at 10:00 AM UTC
Kitni azeeb hai ye Duniya kitne ajeeb log,
Koi kisi ko dara rha, kuchh sahme sahme se log,
Bada muskil hai esko samjhna,
Yaha palbhal me baldate hai log,
Humne bhi socha tha Ki jawane ko badalenge hum,
Ek nayi soch ke sath ek hokar chalenge hum,
Par ye dekh kar dil tut gya Jab ek hi dali ke chaar phoolon ne kaha,
Nahi hum khilenge,aur nahi ek dusre se milenge hum,
Roh deti hai kalam bhi likhkar dard jawane ka,
Kuda-Kachra nadiyon me kya haal bna diya Bharat ke khazane ka,
Roti ke liye tadapte sadak par log,
Aur yahan pariyojna chalai ja rhi desh ko smart banane ka,
Gareeb ko roti kapda aur makan chahiye,
Kisano ko es desh me apni ek pahchan chahiye,
Sabhi ko samjhe ek barabar,
Aisa deshbhakt insaan chahiye,
Aisa deshbhakt insaan chahiye....
Jun 11, 2017
Jun 11, 2017 at 4:21 AM UTC
Na hogi ab koi baat
Na hi hogi koi mulakat
Ab hum chalte hai
Bahut rhe liye ek bewafa ke sath
Tujhse na baat karne ka dukh toh hoga
Tujhse na milne ka afsoos bhi rhega
Par koi baat nhi
Jo hoga achhe ke liye hi hoga
Gussa na samjhna ise
Kyuki vo toh aata hi nhi mujhe
Kahi na kahi pyar hi hoga mera
Bas prkar alag hoga
Achha ab chalta hu
Khat chhota hi rehne deta hu
Apna aakhri pegaam bas yehi deta hu
Tumse milna ka toh nhi
Par tere salamat rehne ki duaa karta hu
Jun 23, 2018
Jun 23, 2018 at 12:04 PM UTC
Abhi toh aadhi raat hi hai,
Din ka aana abhi baki hai
Abhi toh unki aankhon mai khona suru hi kiye hai, unki yaadon mai khona abhi baki hai
Abhi toh unke lafzo ko hi sun paa rhe hai,
Unki saanson ko sunna abhi baki hai
Abhi toh bas beete hue pal hi yaad aa rhe hai, aane wale kal ko samjhna abhi baki hai
Abhi toh khuda se lad pare hai hum,
Unhe manna ke tumhe pana abhi baki hai
Abhi toh bas tum humse dur hue **
tumhra wapas aake hume gale se lagana
abhi baki hai.
Abhi toh aadhi raat hi hai,
Din ka aana abhi baki hai
Mar 3, 2019
Mar 3, 2019 at 5:44 AM UTC
Pyar ke bina zindagi adhuri hai...
Pyar mil gaya to ye khusnaseebi hai...
Pyar ke bina zindagi berangi hai...
Pyar na mila to wo...
Insaan ki badnaseebi hai...
Pyar to mat samjhna khel ae dosto....
Ishne ache acho ki jindagi badal di hai....
Nov 28, 2018
Nov 28, 2018 at 7:13 AM UTC
Bewajha
Kisi raha pe ,
Ghum ** jau me to,
Fr dhund ne
Bhi mat ana..
Agar yaad aye mere alfazo ki,
Meri Kavita ki khushboo
Apne saath samjhna,
Na ** ke bhi
muskura dungi,
Es bheegi raat me ,
Zindagi ki Kahani se vakhif kara dungi.
Dhub te pao jab khudko,
Khud se ek sawal karna,
Aur bhul ke vo baat,
Aaage zindagi ke aur badalo se mulakat karna.
Jul 18, 2020
Jul 18, 2020 at 2:08 AM UTC
Jara si shikava me khud ko akela mat samjhna
Dur se duvaa hai Meri, mujhe paraya mat samjhna
Aa ke tham dunga har Gam ko, taqdeer ko itna galat mat samjhna
Yaad aati ** tum
Har pahar har rav
Aham ** khud ko munfarad samjhana
Ahad beet Gaye,
Ajiyat hai kurbato ko samjhana
Apr 15, 2020
Apr 15, 2020 at 7:07 AM UTC