Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"samajhna" poems
hai mujhse khafa kyun mera khuda, kyun mujhse jhagadna chod diya, hai ab to bas intjaar us pal ka, kab fir se chahakna unka sun paunga, meri choti choti baton par, kab unka khilkhilana sun paunga, kyun meri shikayat hai lagti buri, k fir shikayat karne ka mauka hi cheen liya...... hai mujhse khafa kyun mera khuda, kyun mujhse jhagadna chod diya, yun tanha chod k mujhko gaya, kyun hak mujhpe jatana chod diya, ab kaise karu mai unko khabar, k unk bina na ji paunga, agar aaye na vo vapas jaldi, mai duniya chod chala jaunga, hai ab bhi waqt vaapas aa jao, kahin khabar na mile kisi aur se, k yaaad me unki maine saanse bharna chod diya.... hai mujhse khafa kyun mera khuda, kyun mujhse jhagadna chod diya, teri khushboo me jo madhoshi hai, kyun mujhko juda hai usse kiya, bas aur nahi takat mujhme, maine khud ko samajhna chod diya, na jaao mujhe yun ghayal kark, aankhen bhi sath nahi deti, aa jao mere pas sanam, aab ashkon ne b bahna chod diya, hai mujhse khafa kyun mera khuda, kyun mujhse jhagadna chod diya.......
0
May 18, 2019
May 18, 2019 at 4:53 AM UTC
Hai mujhse khafa kyu mera khuda
Suno... Mere gussa karne par tum khudki disrespect mat samajhna Gussa apno se kiya jata hai aur tum toh meri jaan **
0
Jul 2, 2020
Jul 2, 2020 at 11:17 AM UTC
GUSSA
Ruk-Ruk kar chalna, girna aur sambhalna, Koi mujhe rokna, jara sa koi tokna…. Wayastata se thora saham gya hu, Dil mein bane apne khali ghar se thora machal gya hu, Koi to jara tokna, thora sa to tatolna... Sapne kahi beshud se pare hai, Chaandani raato mein andhero se ghire hai, Pata nhi kise dhundh raha hu, Ya andheri galiyo mein yuhi ghum raha hu, Der hui par thama to nhi hu, Thora sa bhatak gya par bhula to nhi hu, Kahi kisi ne awaaz lagai hai, Dur kisi ne to roshni jalaai hai.. Jara thori dur sath chalna, thora sa to mujhe samajhna..
0
Oct 29, 2017
Oct 29, 2017 at 1:57 PM UTC
ZINDAGI
Choti woh chidiya albeli Pyaari si aur badi niraali Nazhukh si pali , kuch dil ki bholi Uskey par jaise rangoli. Chote chote they uskey sapne Jinhe wo sanwaare aankhon mein apne Chaahe ki liye pankh bade woh Bas udjaaye neele Gagan mein Aakhir mein jab waqt wo aaya Lekar pankh ko udjaane ka Aansu lekar baabul se boli Ye na mujhse ho paayega Baabul ne uski narm si aankhe Dekh ke usko ye poocha sawaal Beti , tu kyu apne app ko rokey? Kyu udhney key nahi khayaal? Sunkar apni baabul ki boli Dheere se chidiya ab doli Tab lagta tha jo ek sapna Aaj wo ** gaya hai choor. Kya mere do pankh ye chote Udh paayenge uthnee door? Itna bhi mat karna guroor Na Karo mere dil ko majboor Rehne do mujhe tumhare paas Phir na rakhungi mein koyi bhi aas. Baabul ne chidiya ko sehlaaya Usey apne dil se laggaya. Jo sapno se tuney man ko behlaaya Usko paane ka waqt hai aaya. Chota mat kabhi kudhko samajhna Bas yuhi pankh lekar udhjaana. Udhna hi hai tera naseeb Rakhna hamesha usey dil ke khareeb . Aasman dekhe raah tumhara Likhdo uspar naam tumhara . Phir Chidiya ne lee aisee udaan Bharliya aanchal mein aasman ke rang Baabul ne dee usey bidaayi Bhar aayi aankhein, raha gaya wo dang.
0
Aug 26, 2020
Aug 26, 2020 at 1:21 AM UTC
Baabul ki duwa
Ek baat bolu Jana, Thak chuki ko samjhake ke, Tumhe ki Mei hamesha tumhare sath hu, Aur khud ko ki, Tum ab mere sath nahi ,mere pass nahi😐😓
0
Oct 22, 2020
Oct 22, 2020 at 4:31 AM UTC
Samajhna