"sabkuch" poems
Udd jayegi ek din chiraiya chhodhkar babul ka ghar,
Basane ek naya aashiyana sabhi ke aankho ko bhar,
Vidai ka hota hai ye kaisi bela,
Kyu hamesha jana padta chhod us kali ko hi akela,
Beegh jati hai mata-pita ki palkein vidai ke pal,
Jab aata us baag me chahchahane wali chidiya ki judai ke pal,
Bahut si yaadein chhoti aankho me sajaye hue,
Ro rhi hai maa pari ko gale lagaye hue,
Papa ki pyari gudiya aaj sazkar sasural chali,
Tham ke hath humsafar ka ek nye dwar chali,
Jahan pali badi wo pyari gudiya chali hai aaj us ghar ko chhod,
Karke suna ek aangan ko pita ki aankhon ko bhar,
Na jaane kyu beti ko janam se hi paraya btaya ,
Aakhir kisne ye riwaz banaya ,
Nikalkar apne **** se ek pita apni jaan ,
Bahut bada dil hai ek pita ka jo kar dete hain kanyadaan ,
Waqt ka kaisa hai ye dastoor
Na jaane kyu ek beti ko jaana hota hai dur ,
Chali hai aaj papa ki gudiya ,
Chhodhkar apne aangan ki nindiya,
Yaadon ki jhadi dil mein basakar chali hai maa ki jaan ,
Chhod ke sabkuch apna Banane ek nayi pehchaan,
Babul ki laadli kab ** gayi badi,
Aayi hai dil ko chhune wali ghadi,
Jis ghar me pali,us ghar ko alwida kaise kahegi,
Maa baba behan bhai bin wo gudiya kaise rahegi,
Vidhata ne ye kaisa niyam hai banaya,
Chhod ghar babul ka,ek naye ghar ko basaya,
Dekh tyad ek bitiya ki us khuda ki bhi *** aankhen bhar,
Udd jayegi ek din chirraiya chhodkar babul ka ghar,
Babul ka ghar.........
Composed by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK
Mar 22, 2018
Mar 22, 2018 at 2:23 PM UTC
Kadam Kadam Tere Saath chalunga,
Har Kadam tujhe Apna Kahunga,
Har Rishte se Upar hai, tera Saath mere liye,
Bas Esi Tarah Zindagi Bhar tujhe Pyar karta Rahunga,
Tere Pas hone se, Mere Pas Sab kuch Hai,
Har Dukh, Har taklif Mujhse Door hai,
Bas Tujhe Khush Dekhna Chahta hu Hamesha,
Tere Sath Rehna Chahta Hu Hamesha,
Ye Choti si Zindagi hai, Choti si Duniya hai,
Jo tu hai to Sabkuch hai, warna mera kya yaha hai,
Bas Saath Dena mera, ye pyar me Zindagi bhar Nibhaunga,
Kadam Kadam Tere Saath chalunga,
Har Kadam tujhe Apna Kahunga,
Zindagi Aasan nahi, Yaha chalna bada Mushkil hai,
Hosla mat Harna, Chalte Rehna mere saath yahi Zindagi hai,
Kuch Tum chalo, kuch me chalu Bas esi tarah Aage Badhte Rahe,
Tum mera or me tumhara bas esi Tarah dono 1 dusre ka saath dete Rahe,
Zindagi Bhar me bas tumhe or tumhe he chahunga,
Kadam Kadam Tere Saath chalunga,
Har Kadam tujhe Apna Kahunga,
Jun 6, 2018
Jun 6, 2018 at 6:39 AM UTC
Hum mile ek dusre se
Sabkuch acha tha.....
.
Ek pal na socha maine
Ki bo to bs ek kaanch ka supna tha.
.
Baate hui, dosti hui , najdiikiya badi.
Mar mitne ko jee chahata hai us pr mujhe.
.
Ky karu pyaaar hai had se jyada mujhe usse.
Jeena nhi chahata hu uske bagair mai.
.
But saccchhhai ye hai ki hum ek ni ** skte .
Never ever.
.
Islye kud ki hi najro mai thoda thoda krke mar raha hu mai.
Jee nhi raha bs saaanse gin raha hu mai.
.
Srf or srf es ummeed me .
.
Hume bhi hai ek supno ki dunia bnani.
Nahi rakhni mujhe #Humari_adhuri_kahaani.
.
.
.
#SmArTy...
Jan 9, 2018
Jan 9, 2018 at 12:18 PM UTC
abhi- abhi ek geet racha hai tumko jeetey jeetey
abhi abhi amrit jhalka hai amrit peetey peetey
abhi abhi saaso me utri hai saaso ki maaya
abhi abhi hoto ne jaan aapna aur paraya
abhi abhi essas hua jeevan jeevan botta hai
kudh ko shunney banana bhi kita virat hota hai
toh abhi abhi, ji abhi abhi, haan abhi abhi, bus abhi abhi
abhi abhi bhar diye madhukalash saary reete reete
abhi abhi amrit jhalka hai amrit peetey peetey
abhi-abhi ek geet racha hai tumko jeetey jeetey
abhi abhi amrit jhalka hai amrit peetey peetey
toh abhi abhi, ji abhi abhi, haan abhi abhi, bus abhi abhi
abhi abhi samvaad hue hai chaho me aaho me
abhi abhi chandni khuli hai amber ki baaho me
abhi abhi peeda ne khoja sukh ka raen basera
abhi abhi hum hokar peegla sabkuch tera mera
toh abhi abhi, ji abhi abhi, haan abhi abhi, bus abhi abhi
abhi abhi bhar gaya samandar nadiya peetey peetey
abhi-abhi ek geet racha hai tumko jeetey jeetey
abhi-abhi ek geet racha hai tumko jeetey jeetey
abhi abhi amrit jhalka hai amrit peetey peetey
Dec 6, 2017
Dec 6, 2017 at 2:00 AM UTC