Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
FIR AAYI HOLI

Fir aayi Holi ek baar, fir le gayi mere  dil ka karaar;

Puchhna chahti hu, kyu rulateho tum mujhe yuhi, baar baar.

Itne rango ke beech bhi hei tan man feeka; aankhoki pichkaarise behte hei aansu zaar zaar

Saalo beet chuke firbhi nazar dekhti hei teri raah, lagaataar.

Radha ka pyaar hi hei kuch aisa, maanta nahi yeh kabhi haar

Jaise kanha ke beena Radha adhuri aise hi, piya- milan beena, Holi hei  adhuri.

Kanha tere beena rang feeke, Chand feeka; soona lage mohe sansaar.

Aa bhi ja Mohan, itna ne tadpa, raah niharu tori; kab aayega tu jamuna paar.

Armin Dutia Motashaw
Harshit Nangia Apr 2020
Pehli baar jab tujhe dekha
To hairaan hi reh gaya
Ki khuda ne kuchh itna khubsurat bhi banaya tha ,
Ha, main toh bas dekhta hi reh gaya .

Tab tak zindagi bas kat rahi thi
Kabhi zindagi ke baare mein socha na tha,
Par uss din ek ek pal ,ek ek lamha
Kai saalo sa lag raha tha.

Vo teri do pal ki muskurahat
Mere liye saari zindagi ban gayi thi
Tune jo apna munh fera toh meri saanse Ruk gayi thi .

Kehte hain , ki pyaar usse kiya jaata hai jiski tum izzat kar sako ,
Jisne apne aap ko saabit kiya ** ,
Jo tumhari barabri ka ** .

Main uss waqt pehle number pe hua karta tha ,
Meri izzat aur rutba hua karta tha .
Uss waqt mauka tha fir bhi keh na paaya ,
Aaj keh raha hoon kyunki fir pata nahi mauka mile ya na mile.
This is my first poem in hindi ever written. This is about my first love . Please be kind .
Pooja srivastava Aug 2020
Teen mahine pehle ek dastak hui,
603-604 asha appt mein hulchul hui,

Mein Corona hoon, sab mujhse darte hai...usne jataya..
Kuch darre hum, kuch sehme hum,
Phir usko bataya...
Saalo pehle BP aur Sugar aaye the,
Hum goli khaye, phir kheer pakori ka mazza uthaya...
Aur unko niptaaya....
Uff Caronao, humein daraona....

Kuch hum darre hai,
Ghar par baithe hai,
Sab jagah curfew hai,
Sadak par "few" hai,
Woh Corona Warriors hai...
Uff Coronao, humein daraona...

Kuch study ki, analysis kiya,
Immunity ko strong kiya,
Anlom-vilom par command kiya,
Saas aise powerful kiya,
Corona ne bhi social distancing kiya,
Uff Coronao, humein daraona....

Hummare pair mein bhi sanichar hai,
Ghar se nikalna humari fitrat hai,
Kuch na sahi corona hai,
Ussi ka discussion hai,
Uff coronao, humein daraona

Tum senior citizen na bano,
Youngster ki gali mein raho,
Hum party aur dinner ko tarse,
Tum pre-Corona bash manao,
Uff coronao, humein daraona

Maana badlaav mushkil hai,
Par safar toh karna hai,
Nokia namaskar se phone tak,
Soap se sanitizer tak,
College life se family life tak,
Ghoomne se ghar par thaherne tak,
Uff Corona, humein daraona...
This is for 2 brothers, both senior n retired, have diabetes, BP....n loves to venture out

— The End —