Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"roothne" poems
Wo afsaano ka banna yun hi tha. Wo daastano ka bunna yun hi tha. Yun hi tha wo intezaar ke lamhe ginna. Aur shayad hamse pyaar karna bhi yun hi tha. Wo dur rah kar bhi pass hone ka ehsaas hona yun hi tha. Wo har raat aur har subah hamse baat karna yun hi tha. Yun hi tha wo har naghme me doob jana. Aur shayad un naghmo me ek dusre ko talaashna yun hi tha. Wo alfaazon ka bayaan hone se pehle pura karna yun hi tha. Wo har subah, shaam dhalne ka besabri se intezaar karna yun hi tha. Yun hi tha wo has has kar baatein karna. Aur shayad har raaz ko khulkar batana yun hi tha. Kya tumhari awaz sunkar dil ka zor se dhadkna yun hi tha? Kya armaano ka mehal banana yun hi tha? Kya yun hi tha wo roothne ke baad wapis aa jaana? Aur Kya tumhare wapis aane ki ummed me jeena yun hi tha?
0
Nov 11, 2018
Nov 11, 2018 at 12:29 PM UTC
YUN HI THA?(HINDI)
Wajah bewajah bina baat hi kabhi bas, log rootha kyu karte hain ? Kyu apni hi ummeedon ke tang jaal mein din raat, yun hi ghuta karte hain ? Jaane anjaane hum “humare” “apno” se wada jhootha kyu karte hain ? Zindagi ki daud dhoop mein kuch saathi bante hain toh kuch choota kyu karte hain ? Dilon ke rishte Aksar toota kyu karte Hain ? Yeh roothne manane ka akhir silsila kya hai Kai baar mile aur bichad gaye Bhala majra kya hai ? Iss banne aur sawarne ki Iss tootne bikharne ki Aakhir dawa bhi kya hai ? Hey Nath, Yeh das tumhare charano mein Gira hua hai pooch raha Mera dil hi kahin behaya kya hai Ya paap ka ghada shaayad bhar gaya hai Iss bhava bandhan mein phansa hua Meri karun pukaar suno Kukarmo ke daldal mein dhansa hua Kar raha chitkaar suno Davagni mein jal raha Bheesan hahakaar suno Daya karo ab hey Bhagvan Ya ban Narsingh sanhaar karo Aap ki sharan mein ab yeh dushtt Iss neech ka uddhar karo
0
May 23, 2020
May 23, 2020 at 9:44 AM UTC
Prashna aur Prarthana
Khafa mat ** is kadar k jindagi beet jaaye tumhe manane me.. Jindagi beet jaye tumhe mannae me fir se kareeb aane me, Yun to pahle hi bahut ro chuka hu tumhari yaadon me, Aansu baha chuka *** tumse door rah kar jindagu bitane se, Ab door ** gaye to shayad himmat juta nahi paunga tumhe fir se kareeb lane me, Kyun dil ki lagi tum nahi samajhti, Kyu bhool jati ** dil ka haal dilagi jatane me, Chahta hu sirf tumko koi aur mera is dil k ashiyane me, Bhool jaoge agar tum mujhko, Bhool jaoge agr tum mujhko jaunga fir se kis maykhane me, Ab to maykhane b band ** gaye itna dooba hu tumse door jane me, Beet jaayegi ye jindagani, Beet jayegi ye jindagani bas roothne manane me, Paas aa jao kyun door jate ** Ab rah hi kya gaya mera ek tere shiva is jamane me, Bheekh de do mujhe meri chahat mera koi nahi tere shiva duniya k kisi b thikane me, Khafa mat ** khata pe meri k jimdagi beet jaaye tumhe manane me.... I love you
0
May 11, 2019
May 11, 2019 at 7:58 AM UTC
Mat ** khafa