Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
GD Bakhshi Jul 2019
Samay ghadi pe bajke 2,
aur dil kehta hai ab suno..
khayal se mujhme aate hain...
tu likhta ja, chal ja piro...

Aur main kalam ka aashiq hoon,
jo pannon ko ab bharta hoon,
kuch adhoora sa thaa inme wo..
main poora sa ab karta hoon...

Syahi ki darkaar hai,
Shabdon ki to kami nahi,
Jo kalam mein syahi bhari hui,
woh pannon pe meherbaan hai....

— The End —