Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"raasta" poems
Kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay kitnay waday torhay hein? kabhe pucha hay apnay app say kay kitnay logouin ka dill tora hay? kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay apne eik nazar say kis kis ko apne he nazrouin mein gerayya hay? - nae pucha nah? kese din pucho gay nah tou mrnay ka dill chahy ga, zindage kay naam say chirnay lago gay. Kabhe pucha hay kay tum Zindage kay naam per eik beyqaar zindage jee rahay hou? aur phir kehthy hou ''yaar kya krien zindage he esse hay''. Kabhe Zindagi ke kitaab ko khol kr tou dekho kya kya rakha hay uiss mein. Zindage bahot he haseen hay sirf hum masroof hein apne duniya mein wou duniya jis mein kuch nahe sawaye humaray. Ajj loug dusrouin ke mintein krtay hein kay ''ruk jau'' ''na jau'' jb kay mery khayaal mein ye loug bhul chukay hein kay '' jis ko jana hay uis ko jana hay chahy tum apne jaan kyun na deh dou''. Ajj tou logouin ke zindage andhere hojaate heh jab koe uinka ''dost'' ya ''yaar'' chor jaye aur wo uis khuda ko bhool jaatay hein jis nay uis ko usse ''dost'' ya ''yaar'' say milaya tha. Hum loug tou apnay Khuda ko bhe bhul chukay hein. Wo Khuda jis kay pass humnay waapis jana hay wo Khuda jis kay bagheir humare koe ukaat nae. Barhay Unchay gharouin mein reh reh kr apnay app ko Khudha samjhna shuru krdeya hay humnay. Ess zamaanay mein koe kese ka Dost nae hota barha Dost Dost krtay hou na jab doob rahay hou gay kudhe dekhna kay sab DOST tamasha dekh rahay hogein aur tum zindage ke tarf aanay ke bher-poor koshishein kr rahay hou gay, tab apnay app say puchna kay ye wo DOST thay jin kay leye tum apnay maa-baap say laray? uin kay samnay uncha bolay? sharmindage hoi? Ajj hum itnay ''self-obssessd'' hein kay dusrouin ko dekh kay lagta hay chunte jitni ukaat hay uiss ke. Hum apne he Duniya mein bahot dur nikal aayein hein, asal duniya say bekhabar, asal dostouin say hum la-taluq ** chukay hein. Hum ajj apnay app mein he kho chukay hein. Apnay rab ko humnay kho deya. Rab ko kho deya matlab Sub kuch kho deya ! tou abb hamaray pass koe raasta hay? -Haan wou rab 5 martaba bulaata hay tumhein apne taraf, jau uiss ke taraf aur apne ASAL ZINDAGE ke taraf waapse aou.
0
Sep 16, 2016
Sep 16, 2016 at 10:00 AM UTC
16-9-16

Continue reading...
28
Rus wa na ** tum hamse, meri jaan Murjha na jaye kahin dil ka ye gulistaan Juda hai sabse andaaz ye hamara Saason se humney cheda hai dil ka saaz ye tumhara Khwahish hai tum mein; ** jaye hum fanaa Karte hai tumse toh hum muhabbat bepannah Mil bhi lo aake hamse is tarah Noor mil jaaye Jahaalat se jis tarah Khuda Ko paane ka; yeh hai raasta nirala Muhabbat bhi hai bas kudrat ka hi toh karishma Rus wa na ** tum hamse, meri jaan Murjha na jaye kahi dil ka ye gulistan
0
Jun 16, 2014
Jun 16, 2014 at 7:10 AM UTC
Muhabbat_love
Saraab.... Tu ek khayaal se zyada kuch aur tha bhi nahi... Bas ek khwaab se zyada tu kuch hua bhi nahi... Woh ek zakhm jo dil ko kabhi mila hi nahi... Tu hai woh dard jo mehsus ** saka hi nahi... Woh lafz the mehez alfaaz sach hue hi nahi.... Na haq vo baaton ke parde kabhi khule hi nahi... Humare ijz ka un par asar hua hi nahi... Ki inkisari mein hum ne bhi kuch kaha hi nahi.... Teri ranjish kabhi dil ko hui ata hi nahi... Mera daaman teri khalish se bhar saka hi nahi... Woh faasla kabhi jo paar kar sake hi nahi... Woh raasta ke jin pe paon chal sake hi nahi... Tu ek yaad hai jise yaad rakh sake hi nahi... Tu ek saraab hai jise haath dhar sake hi nahi... Aazmana kisi ko kab yeh achchi aadat hai... Aazmaish se hum kabhi juda hue hi nahi... Ke intekhaab jo tera maine kiya tha kabhi... Munasebat ke daayre se vo juda hi nahi... Woh ek sada jo kabhi pesh kar saka hi nahi... Vo ilteja kabhi bhi tu jo sun saka hi nahi... Meri aankhon ko deed tera ** saka hi nahi... Teri khushboo se **** mera tar hua hi nahi... Woh jo qurbat sa kuch mehsus ** raha tha mujhe... Wasl ka lutf woh mujhe kabhi mila hi nahi... Kyun jo tu khud parast nahi to dekhta hi nahi... Kyun nigaah tu meri taraf phira saka hi nahi... Woh jo sehra tumhe yun sabz nazar aata raha... Saraab tha kabhi waha yahan hua hi nahi... Kaha tha us ne ke mujh ko bas ek nida dena... Ae dil tu maan le tha tu ne yeh suna hi nahi... Teri nigaah mein umeed ek basi thi jo “Ain”... Nazar ka dhoka tha ke kuch kabhi basa hi nahi....
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:24 AM UTC
Saraab....(Mirage)

33
Chahe aaye aandhi ya fir koi tufaan , Kamzor nahi padegi hamari udaan . Chhaon ** ya kadakti dhoop , Nikhrega hamara naya roop . Lakh mushibat aaye nahi rukenge hum, Badhte jayenge yuhi hum kadam dar kadam, Rastey chahe kitni bhi mushkil kyon na ** Har mushkilo ko chirte hue ek din manzil tk pahuch jayenge hum Bheedh hamesha us raastey par hai chalti , Jahan ** na koi mushkil khadi . Par humne chuna hai raasta alag , Kyunki karna hai humne kuch alag . Itihaas rachna hai tou bhid se alag hona sikho, Paristithio se daro nhi paristithio ko badalna shikho, Ek din wo mukaam tumhe mil hi jayega, Dekh tumhari safalta ko ek din kismat bhi muskurayega, Mehnat ke bal par likhenge khud ki takdeer, Takleef ke hain hum mahaveer. Na chahat hai sitaron ki , Na tamanna hai nazaron ki. Sirf wahi log itihaas rach ke dikhaya hai, Jisne apne taklifon ko gale lagaya hai, whi log asafal rah jate hai, Jo mushkilo se darr tut jate hai, Har mushkil ka saamna kar , Pahuchna hai apni manzil ke shikhar par . Khamoshiyan sabra ka imtehaan ban gayi , Apne man mein Umeed ki jyot jag gayi . Hum wo hai jo Kismat par rote nahi Jo rote hai unke kuchh hote nahi, Mandabuddhi wala einstein tou paper wala kalaam kahlaya, Apne kaarnamo se hai vishwa me ek alag pahchaan banaya, Laakhon kasht aa jaye saamne , Hamara ishwar bada hai us har takleef ke aage . Musibaton se baghna na humne kabhi seekha , Hamari nanhi akhiyon ne bahut kuch hai dekha. Milkar humne ye thana hai, Naam nahi hume etihaas banana hai, Ab kisi bhi mushkil se na darna hai, Kyuki Hume kuchh alag karna hai, Kuchh alag karna hai.. Collab Poem by Sonia Paruthi & Shrivastva MK.....…....✍
0
Apr 8, 2018
Apr 8, 2018 at 12:35 AM UTC
HUME KUCHH ALAG KARNA HAI..(COLLAB. POEM)

43
Gham is baat ka nahi hai Kay hum yeh raasta saath chal nahi payay Balkay afsoas hai is baat ka kay humnay koshish bhi nahi ki (Urdu and Hindi) English translation I don't feel sad that we couldn't walk this path together Rather i regret the fact that we didn't even try
0
Dec 10, 2016
Dec 10, 2016 at 2:56 PM UTC
Untitled 356
aaj..., aaj hasi hu mai hasi hu is kadar ki rona aa gaya.. Shayad apne haalaat pe ya apne jazbaat pe malum nahi..., par aaj hasi hu mai... Bhool *** thi muskurana is kadar kyoki muskurahat hi haalato ki gulaam ** *** thi.., par aaj hasi hu mai... Hasi hasi me tujhko hasa diya hasi hasi me kitne gumo ko chupa diya hasi hasi me bol diya sab kuchh ki haan..., Akeli hu mai... Par kaha akeli hu mai??,, Hai mere pas sab kuchh zimmedariya zaruratey umeedein kaha akeli hu mai..., Itni bheed me chali jaa rahi hu fir bhi khud ko akeli paa rahi hu.. Akeli hu mai yaha nahi kisi ko mujhse vaasta.., bhoola diya hai sabne ab meri or ka raasta.. Akeli hu par khush hu mai.., khush hu mai kyoki ab hasti hu mai...
0
May 12, 2021
May 12, 2021 at 1:44 PM UTC
Hasi
Bada mushkil tha woh Lamha tere dar se nikal ne ka... Ke ruqsat ** rahi thi main magar ek juz wahin par tha... Thi aankhein aansuon se pur qadam aage hi na badhta... Nazar mein kuch nahi tha Dil mera shiddat ke ranjh mein tha... Kuch aisi kaifiyat mein chal padi Chalna muqaddar tha... Kabhi lautungi main dar pe mere Zehn mein mere yehi chalta... Yun hi chalti rahi, main *** kahan par Yeh na kuch socha... Jo peeche dekha maine ghar bohot hi door tha choota... Ke ab to raasta bhi ghar ka mere mujh ko naa dikhta... Ke kaise jaungi main ghar ko mere mujh ko na tha pata... Mere atraaf mein bas tha bayabaan aur veeraana... Zamane bhar ki thokar ka Yeh pehla sa tajurbah tha... Safar se thak chuki thi main aur mayoosi ka aalam tha Par Tu ne chod na mujh ko diya Bebas besahara..... Achanak dasht o sehra mein woh aaya ek masiha tha... Badi hi door se dikhta mujhe us shaks ka saaya... Usi ne rehnumaai ki sahi simt us ne dikhlaya... Khushi se jhoom uthi main jo pata ghar jaane ka paaya... Mujhe jaana kahan aur kis tarah Yeh ramz tha pehchaana... Ke saathi ban rahe the "Ain" tere Na Tanha aalam tha... Safar ab khushnuma tha har taraf manzar suhana tha.. Ke ab bhi chal rahi *** par safar ab na tha anjaana..
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 6:40 AM UTC
Woh lamha -e- rukhsat
Tum so rahe ** jaan.... Par is dil e bechain ka kya karun jo betaabi aur behaali ki zanjeeron mein jakda hua tadap raha hai. .... Tum so rahe ** jaan.... Par is dil e nadaan ka kya karun Jo nahi jaanta.... nahin samajhta....nahin maanta... bas machal Raha hai ..... Tum so rahe ** jaan..... Par is dil e ghafil ka kya karun jo bhool Jata hai raat aur din ke adaab....us ke tareeqe...us ke harkaat...sukunaat.....bas khud hi khud woh to intezaar mein khoya rehta hai.... Tum so rahe ** jaan..... Par is dil e jahil ka kya karun jo faslon ke hudood se na waqif hai. ...is se naap tol aur hisaab nahi hota bas ghadi ke kaanton pe tak take lagaye sochta rehta hai ke is waqt ke zalim kaanton ki ghulami use kyun karni pad rahi hai . ... Tum so rahe ** jaan. ... Par is dil e Masoom ko kaise kahun ke use dharakte rehna hoga. ....Saanson ki maala ko simar te rehna hoga. .....jitna bhi mushkil ** use jeete rehna hoga. .....ke wohi tareeqa hai wohi raasta hai. ....usi tapish se guzarke use rahat e raabta e dildaar hasil hoga. ...... Khair tumhe kya pata. ..... Tum to so rahe ** na jaan.......
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:11 AM UTC
Tum so rahe **
Tumhe dekh raha hu Nazar se nazar ek tarfa Shayad yehii waqt hai pyaar ka Khozta hu ek raasta Par do kahaniyon me uljha Takdir e kashish Boond e ishq Pyaari si muskurahat Dil kurban...
0
Feb 12, 2018
Feb 12, 2018 at 6:26 AM UTC
Muskurahat e aaina!
Humse manga hota, Itihas main kya rakha hay, Shuruat kahaniyoon ki, Hum se hi hui thi. Kuch kahaniyaan shabdoon main kaid hui, Aur kuch *** leheron main phass Jab sagar bhi hum, kinara bhi hum Unki mulkaat, hum se hi hui thi. Humse na mile toh kya dekha, Tum raahi ** hai raasta lamba, Inn raston ki hadd ka andaza Hum se shuru aur khattam bhi hum pe hui thi.
0
Jun 13, 2019
Jun 13, 2019 at 3:13 PM UTC
Kinaara (Beach)