Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Grim Reaper Sep 2016
Kya khoob mere qatl ka tareeka usne ijaad kiya,
Mar jaun main hichkiyon se is qadar mujhe yaad kiya,
Jab bhi milte hain, poochten hain haal kaisa hai?
Unko fikr hai, main kahin aaraam se to nahi!
Qatil *** main khud jazbaat ka meray,  
Har din karta *** qatl apni baat ka meray.  

Jo dil ke kone mein chhupa dukh tha,  
Aaj ban gaya hai shor hayaat ka meray.  

Meri har khushi ko main khud mitata raha,  
Qareeb na aaya koi bhi saath ka meray.  

Mohabbat ka diya khud hi bujhaya maine,  
Kya gila karun ab kisi firaaq ka meray?  

Har dafa main khud hi chor ban jata ***,  
Shikayat kaisi ** kisi ilzaam ka meray?  

Qatil *** main khud jazbaat ka meray,  
Har din karta *** qatl apni baat ka meray.

— The End —