Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
adwait Apr 2018
a pretext to the international audience..i am posting this as my rendition of the infamous tales of friendship turned love times...i tried to translate it into the universal language but it would fail to do justice . Yet if there is someone who would like to still understand what this will all be about ..message me and i shall give u the essence..happy reading :)


-----------dost ya zadda?----------------
ek ladka aur ladki kabhi dost nahi ** sakte,
keh gaye buzarg sab,nahi samajhti peedia
kis baat ka hai sharmana aab, par kaisi hai ye deewangi , jo dikhati mujhe pyaar aur tumhe dosti kitne kam samaye me hum kahan se kahan pohonch gaye , aur iss douran ham ek dusre ko kitna samajh gaye. tumhari bechaini samjhane ki , aur meri shiddat tumhe samajhne ki, chaand aata ,tehelta aur chala jata par hum na soote,jab log jaagte hum soote ,kya din the voh. in mukhauto ke peeche chupi jo asliat thi,jo unchui thi ,tum chu gaye , aur bass dil me bas gaye mahine guzar gaye aur kuch kehne ko dil chahta hai , par kya ye sahi rasta hai? kya ye mujhe aapne ghar pohoncha dega , ya banjara chod dega? najaane kab ye faisale aagay aur mujhe tumse door legaye jis dosti me aaj tak kuch nahi chipa ..aaj usme tijoria hai ... aaj usme gussa hai ,aag hai.. aaj isme gussa hai.
Siddharth Ray Jun 2021
Chal paddi thi gaadi taka tak
Hawa shayad thoda zaada hi bhar diya
Befikri ka safar, aa pohoncha uss keel par
Tamasha, shayad thoda zaada hi bhar diya
Ab pahiya toh tha rubber ka hi
Humara kya isne kadar kiya
Gir pade hum, lag gayi chot    
Fir humare dard ne bhi asar kiya
Ab iss keel ko bhi hum kya koosein
Kambakht hai toh yeh lohe ka diya
Sadak se dosti ki aas hum hi laga baithe
Bhool gaye ki yeh toh hai bas ek zariya
Humne kaha kuch pal yahin bita lein
Puncture banane ka kaam fir shuru kiya
Pahiya toh fir bhi chal jayega janaab
Yeh reh jayega banke chhed,
Humne na kissi se kabhi zikr kiya

— The End —