Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Grim Reaper May 2016
Kamosh hua hu kuch pallon ke  liye,
Aunga wapis jarur, Tuje satane ke liye.

Is baar jo aunga, Kuch kar ke to jaunga,
Or kuch na sahi, aag to laga hi jaunga.

Kahunga na kuch bi is baar,
bus ankho hi ankho se dil ka karrar lut jaunga,

Hogi aag jo mere seene me,
Kar lena lakh yatan apne ansuo se chahe,
buj na payegi
esi aag jo laga jaunga.
Ayush Gangwar Jan 2019
Han vo ** tum,
Jagah thi khali, jo kisi ne bhar dali
Han vo ** tum,
Khamosh rehta tha, na kisi se kuch kehta tha,
Achanak se aake, ye chuppi todne pr majbur sa kr diya,
Akela tha, thi tanhaiya bht, laga jaise kisi ne dastak di ** dil me, vo dastak dene vali,
Han vo ** tum,
Ajnabi se eshaas ko apna sa bana liya,
Kho raha tha tanhaiyo me, muje zindagi se mila diya,
Gehri neend me tha, muje firse jaga diya,
Han vo ** tum,
Abh jab a gyi ** to fir na jana
Tut jayega ye dil, iss abh na behkana,
Judne ki taqat abh fir nhi mil payegi,
Tu fir chali gyi to shayad ye jaan bhi chali jayegi.
Yeh jaan bhi chali jayegi...

— The End —