Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Eshan Mar 2011
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.

Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.

Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.

Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.

Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.

Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.

Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
Tariq Khan Dec 2012
Toote se ek gharondey mein
kuch daraar si hai
jahan se ek awara dhoop ka katra
ek parindey ko uske khwaabon se jagata hai
thoda alsata sa wo kuch ghabrata sa wo
darwaze ke paas jaake har baar palat jaata hai
Use dekh ke na jaane main kyun bechain hota ***
Fikr-e-akhirat mein apni shaksiyat ko khota ***

Uski udaan ki mayoosi se waakif meri pehchan bhi hai
thoda adhura wo khud hai
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

Band hai is shahar ki hawa,
Jeene ka kuch asar nahin mujhpe,
Kuch duur se ati koi awaaz, kahin yun hi kho jati hai,
Deewaron se takrakar,mere paas yun ati hai
Kis aur jaun, har simt se nawakif main aksar kho jaata ***
Andheri raaton mein akela khud ko pata ***

khud ke ehd ki zanjeeron mein, darakht si meri jaan bhi hai
thoda adhura main khud ***
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

- طارق
Shrivastva MK Sep 2017
Ye lamhe aaj kyon Etna udàas hai,
In lamhon ko aaj bhi kisi saksh Ki aas hai,
Wo samjhte hain hum bhul gye unko,
Par aaj bhi en aankhon me sirf unka hi vas hai,

Jaise tuti daali ko pani aur mitti Ki hoti taalash hai,
Waise hi es tute dil ko tumhari jhalak aur pyar Ki aas hai,
Dekho na ek baar palat Ke humko,
Meri zindagi aaj kitni udaas hai,
Kitni udaas hai,

Kai varash bit gye hai sath sirf unka ehsaas hai,
Pyar rahega unse jabtak es saksh mein saans hai,
Jis din chhod hamesha Ke liye jayenge hum,
Kuchh aansoo aapke bhi aankhon se tapkenge ye es dil ko viswas hai,
Es tute dil ka viswas hai.......

I love u............(•_•)
Sad moments,,,,,,,,,,
मनीष कुमार श्रीवास्तव
Neeraj katta Feb 2019
mene use apna yaar hote dekha he

gazab ka dhoka he dil pe waar hote dekha he

sapna sa tha shayad jo hakikat bana

fr mene har sapna taar taar hote dekha he

baate karta tha mujhse pyar or mohbbat ki

dosti ki had me tha me
par pyar hote dekha he

bichda me jab usse dil
be-karar hote dekha he

jeeti har baazi zindgi me
pyar me haar hote dekha he

yaado me bulate he mitti ki surat banate he

tasveer badlo me banate
to hawao ke palat waar hote dekha he

hamne pyar kiya tha kabi

ab pyar hote dekha he

ab pyar hote dekha he

nk
Dharmendra Kumar Apr 2020
palat Kar na dekhe to huaa kya
Ummid rakho pyarr hai
To palat Kar Kya
Use lout Kar aana hoga

Ek pal aisa Raha sath hi sans tha
Duriya to vajeh se hai
***** me aag ka dariya Kya
Use Milne, aana hoga

Dard hai ki kaise rahunga
Tu dikh jaye bas , to aa gayi mout Kya
Use lout Kar jaana hai

— The End —