Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
Najane kyon tadapati hain
ye yaadein,
Kabhi rulati Kabhi Khush kar jati
ye yaadein,
Mere jine ka jariya hain bus yahi,
Kabhi dard bankar jakhm deti hain,
To kabhi  dard ka maraham ban jati
Ye yaadein,
ye yaadein......


Silsile ye mohabbat ka
Jari rahengi zindagi bhar,
Karke pyaar tumse sanam  
bhatak raha hoon dar dar,
Kahan gye wo din,
Kahan gye wo waadein,
Ab mere paas rah gayi hain
bus teri ye yaadein,
ye yaadein......


Bahla raha hoon apne dil ko
Un yaado ke sahare,
Chale gye ** tum lekar
Wo Khubsurat bahare,
Pahli nazar me deewana banakar
Bechain kar jati ye yaadein,
mere dil-o-dimag par bus
Teri ye yaadein,
ye yaadein....
Abhisek Agrawal Apr 2020
Meri ankahi amaanat, meri eklauti ibaadat,
Meri jarurat, tu hi to hai meri zindagi,
Jakhmo ka marham, mera naadaan bachpan,
Meri hasi, tu hi to hai meri amaadgi.

Meri pahli ummid, mera akhiri kadam,
Meri parchhai, tu hi to hai meri baarish,
Har sawaal ka jawaab, mera har khwaab,
Meri neend, tu hi to hai meri khwahish.

Tu hi to hai jiske liye
Main bejaan ab saanse leta hoon,
Rukhi zindagi ki jameen mein
Tere hi to waqt ke beej bota hoon.

Tu hi to hai jiske liye
Duniya mein apni baat rakhta hoon,
Begairat duniya ki baaraat mein
Khushiyo ki sougaat rakhta hoon.

En bejaar chaar deewaaro ko
Tu hi to hai jo ghar banaati hai,
Tu hi to hai mera aaj, aane waala kal
Tu hi to meri jeewan saathi hai.
~abhs
abhisek.agrawal@gmail.com
http://youtube.com/user/abhs253/
Dharmendra Kumar May 2020
Ankho me thi kaisi nami
Jaise kahi barsaat si hai
Ek roj Jo un se baat huyee
Pahali dafa mulakaat huee
Dharmendra Kumar Jun 2020
Jham jham jham jham barish aayee
Kano me jo shor machayee
Bachcho daudo bheego bheego pahli barish aayee
Mahak utha upwan
Mitti ki khusbu aayee
Chu chu kar chidiya boli
Dekho dekho
Phir hariyaali chayee
Barish

— The End —