Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||

Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||

Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||

Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma ||

Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||

Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||

|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||


Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||

Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa

Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma

Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma

Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Neeraj katta Jan 2019
Judai
~~♥~~
Suno jaana
Mujhse kai logo ne pucha hai.
judai kaisi hoti hai.
judai kaisi hoti hai.
Me kehta hu
Zara thehro batata hu.
judai kaisi hoti hai.
judai aisi hoti hai.
bhari mehfil me bhi
kahi tanhai me kho jana.
Kirchi kirchi kanch ke
tukdo sa bikhar jana.
Or un tukdo me ek hi bas
ek hi chehere ka nazar ana.
Judai aisi hoti hai.
Simatna chah kar bhi
khud se na simat pana.
Har kisi ke samne
muskan chehre par le ana.
Dard saare chupane ki
ek nakaam si be-matlab
koshish kiye jaana.
khud apne aap se us
lamhat me nafrat si ** jana.
Judai aisi hoti hai.
Mulakato ke naam pe
milna u to kai logo se
har chehre me usi bas Usi chehre ko dhundte jaana.
Naam uska apne
lab pe saja lena.
Us ki kahi koi baat
yaad ane par rote hue thahake mar ke hans dena.
Or hans kar ke ek dam se khamosh ** jaana.
Naam uska le kar gir padna.
kai raato tak aansuo se
takiyo ko bigo dena.
Duao me usi ke liye
haatho ko failana.
khwabo or khayalo me
usi se wasta rakhna.
na mil pane ka ghum
is dil ko satana.
Or fir tut kar bikhar jaana.
Judai aisi hoti hai.  
Jhukaye gardan fir kabro me apni lout aa jaana.
Jise ham ghar bhi kehte hai.
Use Suna sa dekh kar kadmo ka theher jaana.
fir na utha pana.
Ye sab kya hai
judai ki nishani hai.
Na mil pana, satana, or har kadam har moud par tut'te bas tut'te jana.
Judai aisi hoti hai.
Jaise andheri si gufao me  talash roshni ki ** jaana.
jaise kisi apne ke haatho se haatho ka bichad jana.
Fir na mil pana.
kisi apne ko jata dekh kar
Dur se aawaze laga kar rokna.
Apne haatho ko jhatak na or diwaro pe patak dena.
Or bas kuch na kar pana.
bhari aankho se use
dur hote dekhte jana.
Palkey tak na jhapkana.
Fir aansuo ka jaise
sailab aa jana.
judai ki aag me
jalna,jhulasna
or zinda reh jana.
judai aisi hoti hai.
Judai aisi hoti hai.
Nk Sairam :)
Pankaj Thakur Sep 2017
"Hawa sang chalna seekh gayi **,"
Thora pankh faila udna bhi seekh jaoge,
Jra azma ke deakh khud ko,
Zindgi ka matlab seekh jaoge.
Khush hoon jaan ke tum logon ko,
Padna seekh gyi **...

Thodi himmat rakh ,
Honsle ke kami nahi tujh me,
Sar utha ke chala kro,
Tumhe darna nahi kisi se..

Tum bholi si nanhi si,
Payari si thi,
Mma papa ki gudiya dulari si thi,
Ankhon main anshoo a jate unki,
Jab tum rote rote so jaati,
Unki ladli payari si tum...

Na jaane kab unki gudiya badi ** gayi,
Unhe pata bhi na chala,
Jiin hathon main kheli  unhi se
vida ** ke chal bhi bdi...

Kya hi zindgi tumhe mili hai,
kuch pal rahi mma papa sang,
Begane aye tujhe le gye,
Tere mma papa ko anshoo de gye...

Hansti kehlti papa ke dil ka taara thi tum,
Kuch khelne ko na hota,
To papa ki peeth ki sawari thi tum...

Papa ki beti aaj badi ** gayi hai,
Kl thak jo roti lagti nanhi si,
Bechari si thi ,
Aaj mma ki vo ladli sayani ban gayi hai...

Gairon ko rehne de,
Papa ka sar na jhukana kabhi,
Bde laad payar se rakha hai tujhe,
kabhi rulana na unhe...

BEti tu lout ke jaldi aana
tera intazar rahega,
Teri maa royi to main sambhal lunga,
Par tere papa roye to.
tere siva koi chup karvane nahi ayega...

— The End —