Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey May 2019
beghar bhi agar yun kar diya hota,
khuda mai karta nahi shikayat,
agar pyar mera mujhko de diya hota,
mai raah koi nahi chalta jameen par,
ek baar ae khuda,
mera pyar mujhko de diya hota.....
nahi karta shikayat tumse mai mujhko rulane ki,
na  mujhko bhool jane ki,
na bajar me mera ghar basane ki,
mai to har dhar me bhi tera rah gujar hota,
bas mera pyar mujhko de diya hota.....
nahi karta shikayat mere maula,
mujhe barbaad karne ki,
meri kashti dubane ki,
na mere pas aane ki,
na majdhar me chod kar jane ki,
mai to fir bhi tera rahmo karam padhta,
bas mera pyar mujhko de diya hota......
nahi karta shikayat mere maalik,
k mujhko kyu sataya hai,
bina mere pyar k yun mujhko tadpaya hai,
ku bhookha sulaya hai,
kyun meri hasti mitayi hai,
sab loot liya mujhse,
fir bhi na meri maut aayi hai,
mai jindagi kho k bhi tera shukrana ada karta,
bas ek baar mera pyar mujhko de diya hota,
mai bhi ji leta,
apna ghar bana liya hota,
bas ek bar mujhe pyar mera de diya hota..
Mayank Garg Jun 2020
-Dooriyon se koi fark nahi padhta
-Baat toh dilo ki nazdikiyon se hoti hai

-Dooriyon se koi fark nahi padhta hai
-Baat toh dilo ki nazdikiyon se hoti hai
-Dosti toh kuchh aap jaison se hai
-Varna mulakat toh jaane kitno se hoti hai
M JAYAJIT Feb 2021
Tumse mile to hum kal hain lekin aisa lagta hain milna tay tha barso se
jab sochte hain kaisa mile hum thoda dar lagta hain kya mai sahi huun ya
phir galat
khair in sabka uttar milega sayed
baadme
tab tak badhte rahe aage hum
saathme
sayed tum meri kalpana ** ya phir
bhram
sayed tum meri akelepan ka sahara **
ya phir dil ka marham
sayed tum mere koi ni bas beheti hui
kisi hawa jo kab guzar jaye
mujhe nahi hain pata
sayed hum rok paye tumhe mere aanewala kal me tay kar paye  saato janam ke
yeh safar saathme ,
humko fikr nahi tumhari beete hue kalke humko fark nahi padhta tumhari aur mere aajse bas mujhe yeh pata hain tum aayi **
jindgi mein mere aanewale kal se ||
Apoetic imagination

— The End —