Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"padega" poems
Kabhi chale ** un raahon pe Jinse jude ** qisse kaafi tumhaare Jin raahon pe hasi mazaak ki thi doston ke sang Unnhi raahon mein tumne bhare the woh yaadon ke rang Kabhi socha na tha ki Akele bhi chalna padega kabhi Goonjti hai woh awaaz tumhaari Jab bhi chalta hu un raahon parr Peeche mudke dekh bhi leta hu kabhi Ke mehez dikh jaaye parchayi tumhari Parr dikhte toh woh adhoore waadein he hein Bebas karr rakhe hein mujhe jinhone Woh baarish..woh dhoop Sabka kiya tha saamna Jab haath tha tumne mera thaama Kya Yaad hai woh fool Jo tod laayi thi tum uss ped se Mere yaadon ke Gulshan mein Khila hai woh fool kabse Hasrat toh dekhiye Woh ped bhi na sambhal paaya Mujhe akela dekhkar Woh bhi murjhaaya Yahin chalte waqt kaha tha na Ki chodogi nahi yeh haath kabhi Chaahe fariyad ** jaaye humse harr koi Tumhaare usi saath ki khoj mein hu Jise laga liya tha apne rooh se kabhi Sahi kaha tha uss shaks ne ki Manzil nahi raahon mein junoon pao Kyunki manzil toh pahuche he nahi the ke Bewafa karr gayi mujhe uss raah pe akele Kabhi Chalke dekhna Inhi raahon pe akele Yaad karna woh beetein hue qisse Aur ** sake toh mudke dekhna Dikhunga mein usi mod parr Jaahan chod gayi thi mujhe..karke inkar Kyunki badal liye tumne apne raahein Jo kabhi samajh na paayi meri yeh fitoor nigaahein
0
May 19, 2020
May 19, 2020 at 12:21 PM UTC
Raahein
Ab neend aa rahi hai bohot Ab so jaana hi padega... Socha tha kuch baat kar leti Raat ka haal pata kar leti... Der magar ** rahi hai bohot Ab so jaana hi padega Ab neend aa rahi hai bohot.... Tum jis neend ke dariya mein... Tair rahe ** khwabon mein... Us dariya ki ab talab hai bohot... Ab so jaana hi padega Ab neend aa rahi hai bohot.... Uthe nahi tum ab tak bhi Soye nahi hum ab tak bhi Waqt zalim mein farq hai bohot Ab so jaana hi padega Ab neend aa rahi hai bohot....
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:20 AM UTC
Ab neend aa rahi hai
Osi gehrayi me chala gaya... Socha tha...na jana padega... Waqt ne khuch na kaha... Mein mann hi mann chalta gaya Pagal awara...ek pehchan e bewafa Yunhi yunhi bas yunhi yunhi Dooba ek andheri si fariyaad me...
0
Jun 5, 2018
Jun 5, 2018 at 9:29 PM UTC
Pehle si baatein ab nahi..!
Zindagi ka saar h ,mehnat Har byakti ka uddhar h, mehnat Karne h gar tujhe sapne sakaar To dena suru kar mehnat ko aakar Kai parishtithiyo m tujhe jhukna padega Kai baar tujhe rukna padega Kar ye dran nishchay tu apne man m Nahi fasega tu moh-maya aur dhan m Zindagi ka saar h mehnat Har byakti ka uddhar h menhat 😇
0
Jun 24, 2020
Jun 24, 2020 at 12:01 AM UTC
मेहनत