"nishaan" poems
Tere bin yeah zindagi mazaak see lagti hai
Har dhuvay mai lipti apni he aag lagti hai
Tunay thama tha hath mera toh hum chalna jaan gaye
feesal rahia hai kadam kyun ki thokarey apni he lagti hai
Nigahain num naa huvi toh gilla rehta he hai
Har katrai-e-ansu phir bhi ek shikayat see lagti hai
Yeah kis mode pay hum akay rukay,na manzil hai aur naa rasta
Faryaad kissay ab karey ki har shey ajnabi see lagti hai.
ghum-e-samandar k kinarey pay tanhaa betha hai yeh dil
Pass aye toh aye kon ki dardkaney bhi ab sazaa see lagti hai
Bichard kay tumsay hum khoye kahaan naa maloom hai
Jistiju mai har bikhra nishaan apni he pehchaan lagti hai
Yeah kaisi inayat hai ki tummay mang kar yun ruswaye milli
kyun har dua ab yun khairaat see lagti hai
Yeah ishq kyun aisa hai ,naa tera hai aur naa mera
kab aye aur kab gaye ki choti see mulakat lagti hai
Ab aur nibaya nhi jata RUMI,yeah **** bina rooh kay
Mere waja say yeah duniya kyunki pereshaan see lagti hai
...Aabid Rumii
Tanzeelah Illahi
May 25, 2017
May 25, 2017 at 4:54 AM UTC
Aabid RUMI and Tanzeelah Illahi
DUET GHAZAL: DIL NAY MAANA
Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat
Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat
Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat 2
Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat
Hai nhi yakeen mujko lakeeroon pay
Mainay toh ,mohobat nigahoon say ki hai
Chahai kismat mai jo bhi likha **
Mainay toh mohobat sirf tumsay ki hai
Ab mainay bhi maana, hai ektiyaar tumpay aay mohobat
Jhoota he sahe par karle izhaar tumsay aay mohobat
Janay hum kahaan thay ,lo aaj kahaan chal rahai hai
Har mode pay naye humko humraah mil rahai hai
Hai nishaan kuch kay ,aur kuch kay he nhi
Jaanay yeh hawaa kis sang guzar rahai hai
Mudatoon say jo hai dharr pay aaj deedar ** aay mohobat
Dheer say he sahe meray rozay ka ** iftiyaar aay mohobat
Apr 16, 2017
Apr 16, 2017 at 6:19 AM UTC
Meri hasti kuch yu bikhar gayi....
Maano Mere pahuchne se phele kashti guzar gayi....
Me dekhta raha Jaise koi dur ** raha Hai mujh se....
Laga Maano kuch Palo me jindgi badal gayi....
Dil kheta raha k rok lu use dekar awaz....
Par na jaane kyu chup rahe mere alfaaz....
Ajeeb laga soch kar kay wo chala gya mujhe bhul Kar....
Khushiya le gaya meri, gam jholi me dalkar....
Shayad wo pahuch gya ** manzil par apni....
Khe kr mitti shareer Mera khud paani me utar gaya....
Karte rahe jindgi bhar dua jiske liye....
Wo kahi apni manzil talash raha hoga or me rait me nishaan uske....
By: Himanshu rajput
Jul 14, 2017
Jul 14, 2017 at 5:57 AM UTC
Beinteha mohabbat hai humein hamare mahadev se,
Dil ki zameen banjar thi bahaar aayi unke aane se.
Har kadam saath hain aapke,
Ye dil sirf aapke liye dadhke.
Har lamha sirf aapka hai khayal,
Jeene ki umeed ki mashaal.
Milke chalenge har dum,
Saath hai janam janam.
Adhuri daastan ki poori kahani ** tum,
Diya aur baati hain hum.
Khushnaseeb hain hum jo aap mile,
Zindagi ki bagiya mein phul khile.
Khwaiysh thi mahadev jaise ** saathiya,
Talaash poori hui jab mile mahiya.
Hamari har saans par hai aapka naam,
Banaye rakhein khuda ye jodi hai ek paigaam.
Waqt aur khushi honge aapke gulaam,
Har ek lamha hai aapke naam.
Aapke har kadam ke neeche,
Nishaan honge mere haathon ke.
Har takleef ko humse guzarna hoga mere humsafar,
Har nazara rangeen ** jaata hai jab tum ** saath har dagar.
You are the last thought in my mind before I drift off to sleep and the first thought when I wake up each morning.
I feel fortunate to have you in my life as you light it up with your glow. I value your presence more than anything else, I love you. If I had to choose between loving you, and breathing, I would use my last breath to say I love you. I can never express how much I really love you and how special you really are to me. But all I can say is that my life is now filled with smiles every time I am with you. I know God has prepared someone special for me and that there is no longer a need to search for him for he has already found me and I have found him as well, I love you! These are just not merely three words, these are the feelings that can never be expressed in words and I could never ever express. To the world you may be one person, but to one person you are the world. You are my paradise and I would happily get stranded on you for a lifetime. My heart is perfect because you are in it. Thanks for completing my soul. I will always be with you even after the last breath of my life. Thank you God!!!
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 8:35 AM UTC
Tumhare zakhm pe marham ka sila kab maanga
ponche jo aansoo tumhare to sila kab maanga
Humare peeth pe khanjar ka nishaan hai yeh jo
Karam ka itna azeeem hum ne sila kab maanga
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:16 AM UTC