"nigahoon" poems
Aabid RUMI and Tanzeelah Illahi
DUET GHAZAL: DIL NAY MAANA
Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat
Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat
Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat 2
Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat
Hai nhi yakeen mujko lakeeroon pay
Mainay toh ,mohobat nigahoon say ki hai
Chahai kismat mai jo bhi likha **
Mainay toh mohobat sirf tumsay ki hai
Ab mainay bhi maana, hai ektiyaar tumpay aay mohobat
Jhoota he sahe par karle izhaar tumsay aay mohobat
Janay hum kahaan thay ,lo aaj kahaan chal rahai hai
Har mode pay naye humko humraah mil rahai hai
Hai nishaan kuch kay ,aur kuch kay he nhi
Jaanay yeh hawaa kis sang guzar rahai hai
Mudatoon say jo hai dharr pay aaj deedar ** aay mohobat
Dheer say he sahe meray rozay ka ** iftiyaar aay mohobat
Apr 16, 2017
Apr 16, 2017 at 6:19 AM UTC
Dil mera hadh main nhi
Tumpay he toh behaknay laga
Ulja saa tha,issy say pehle
Tumsay millkay toh sawaarnay laga
Hosh say zaida, khaboon mai rehnay laga
Har lamha tuj he pay, guzaarnay laga
Maan bhi lo - pehchaan lo -iss dil ko toh ab jaan lo
Tere he hissa hoon mai - batka hoon koi kinara toh do
Le chali oo naazni, dil mera kahaan le chali
khumar yeh nhi koi , bas mai nhi hai dewaangi
shammo shubha tujpay he luttey rahai
dil ki arizoo nigahoon say kehtey rahai
rahoon mai sang tere hum chalnay laga
bewaja yun .khamakha muskuranay laga
sansu mai ab,tu rehnay lage
zindagi ab tummay he zingdagi kehnay lage
ikraar hai -izhaar hai -mujpay tere chahat sawaar hai
utarta nhi -sambhalta nhi -mujpay tera nasha lazawaal hai
le chali oo bereham, karaar mera kahaan le chali
bebasi yeh koi nhi,bas main hi hai awaargi
written by: Aabid Rumi
Apr 16, 2017
Apr 16, 2017 at 6:21 AM UTC