Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"nibhana" poems
Mere sapne kyon tut gaye, Wo humse kyon ruth gaye, Dekar shila mohabbat ka mujhe, Wo meri hasti kyon lut gaye, Kyon aaye wo meri zindagi me Jab mujhe chhod ke jana hi tha, Karke waadein pyaar ke Jab sath nibhana hi na tha, Do pal ki khushi unke sath, najane kahan chhut gaye, Wo humse kyon ruth gaye, Tor late tare bhi hum unke liye us nile aasman se, Mit jate hain nafrat bhi es dhai akshar ke naam se, Aashiyana hamare pyaar ka najane kis samundar me dub gaye, Wo humse kyon ruth gaye, Ro diye hum bhi use yaad karke, Kahan chale gaye wo mujhe barbaad karke, Chale jayenge es suni duniya ko chhod Rah jayenge tere liye hum bas ek khwab banke, Pyaar ke kacche dhage aaj tut gaye, Wo humse kyon ruth gaye, wo humse kyon ruth gaye.......
0
Jul 1, 2015
Jul 1, 2015 at 8:17 AM UTC
WO HUMSE KYON RUTH GAYE......
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai || Sula kar soti thi jisko Wo ab shab bhar jagata hai Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai || Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai || Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma || Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai || Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma || **|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||** Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma || Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
0
Feb 17, 2017
Feb 17, 2017 at 12:39 AM UTC
Humari Soch Aur MAA

Continue reading...
43
Bewafa ** *** tum Tor denge sare rishtey tumse, Bhul jayenge tumhe Nikal denge apne dil se, Kyon kiya mohabbat jab sath nibhana na tha, tor ke ye dil mera mujhe jab rulana hi tha, Ab meri zindagi dard se bhar *** hain, Judai ka nam sunkar Meri aakhen nam ** *** hain, Ishq na karunga main ab kisi se, Chhut gya sath tumhara tut gya hoon jab se, Kaise kaise ye rishtey Tut ke ye rula deti kisi ko, Suru ** jata jina Jab bante hain kisi ke saath Naye rishtey, Ye naye rishtey......
0
Jun 2, 2015
Jun 2, 2015 at 6:31 AM UTC
RISHTEY
Phir teri mohabbat yaad aayi Phir mera bilagna yaad aaya… Phir teri naseehat yaad aayi Tera raub wa jalwa yaad aaya… Tune jitni jheli takleefein Us dard ka ehsaas yaad aaya… Tune zindagi bhar jo bhi kiya Tera jud o karam sab yaad aaya. .... Teri kaawishein teri koshishein Tera jaan lagana yaad aaya. ... Teri neikiyan tere khair amal.. Tera pyaar lutana yaad aaya... Teri hayaat se seekhe hain jo jo... Har ek sabaq woh yaad aaya. ... Tera muskata har dam chehra... Woh roshan nazara yaad aaya. .... Ba vaqaar jo jhele gham tune... Tera sabr se sehna yaad aaya…. Teri zinda dili teri saada dili... Deen' mein thos aqeedah yaad aaya. .... Beta, bhai, shohar, walid ** ya dost Har ek farz nibhana yaad aaya. .... “Ain" tum bhi amanat daari karo... Usne hi seekhaya......yaad aaya..??? Phir mera tadapna yaad aaya... Lamha rukhsat ka jo yaad aaya… Ae Firoz tu aisi misaal bana..... Jaane kitnon ko tu yaad aaya. ....
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 6:47 AM UTC
Yaad aaya...
Chahay Mujreem Samjhay Ya Koi Gunah Gaar Humain, Saaf Kehtay Hain K Ek Shakhs Se Hai Pyar Humain, 'Dil De Diya Hai Us Ko To Ab Mukkarna Kaesa?', 'Pyar Kiya Hai Hum Ne To Halaat Se Darna Kaesa?', Apne Is Juram Ka Iqraar Hai Soo Bar Humain, Saaf Kehtay Hain K Ek Shakhs Se Hai Pyar Humain, 'Hum Ne Mana K Humain Jaan Se Jana ** Ga', 'Jaan De K Bhi Humain Pyar Nibhana ** Ga', Lo Suno 'Dost' Tark-e-Muhabbat Se Inkaar Humain, Saaf Kehtay Hain K Ek Shakhs Se Hai Buhat Pyar Humain,.. . . .....zs......
0
Mar 28, 2015
Mar 28, 2015 at 9:18 AM UTC
Hai Pyar Hame
Rishtey wo nahi hote jo duniya ko dikhaye jaye, Rishtey wo hote hai jo dil se Nibhaye jaye. Rishtey nibhana har kisi ke bas me nahi, Ab to bs rah gyi hai yadon ki haseen gali, Rishtey wo nahi jo sirf sukh me kaam aate hai, Rishtey tou wo hote hai jo dukh me sath nibhate hai, Rishta agar es dil se hota hai, Wo rista bda hi atut hota hai, Rishta banao tou use dilon jaan se nibhana, Kisi ki bhawnao ka mazak na udana, Kisi ki zindagi bankar uski zindagi na chhen lena, Aankhon mein aansuo ka tohfa na dena, Rishtey me khatas nahi mithas hona chahiye, Rishtey me bahas nahi vishwas hona chahiye, Wo rista ek na ek din tut jata hai, Jo rishta dil se nahi dimaag se nibhaya jata hai, Saath chhodne wale tou bus majburiyon ka haath thaam lete hai, Nibhane wale tou maut ka darwaza khatakne kya aakhiri saans tak hamare saath hote hain, Rishtey tou milte hai mukaddar se, Sanjo lo unhe dil mein, Jis rishtey ko us khuda ne bnaye hai, Ek na ek din use jaroor milaye hai, Jab do dil ek ** jate hai, Tab wo ek anmol rishtey kahlate hai.... Collaboration  by Shrivastva MK and SoniaParuthi*
0
Apr 6, 2018
Apr 6, 2018 at 1:45 PM UTC
RISHTEY....(COLLAB POEM)
Khair choro ab rahney bhi doh, Beetey wqt Ko jubaa pr aaney bhi doh, Bhut Khel li Khel isq-mohbat ka, Bachpan Ko jra zindagi se rubru honey doh!! Bichurey saal Huey, Na yaad hum aaye na tum, Jaaney kaisey sbhi begaaney Huey, USS gali se kyu anjaaney Huey!! Sidhiyo pr chadhna seekha,sang mitti Mai girna, Dosti ka mtlb ** ya pyaar ka fsana, Hum sabney yhi seekha zindagi ka saath nibhana!! Kya tum bhool gye wo yaadey,wo baatey, Ghr jaaney ke raastey, Barsaat Mai bheegtey,kichad Mai kudatey, Bus ke pichey gulaab liye firtey, Koi kuch khey toh whi adig ** jaatey!! Kitni haseen hai wo yaadey, Bachpan ki baatey, Fir kyu ek dujey se begaaney Huey, USS gali se kyu anjaaney huey,!! Khair choro ab rahney bhi doh, Zindagi Ko Bachpan ki meethi yaado se rubru toh honey doh!!
0
Feb 23, 2018
Feb 23, 2018 at 10:35 AM UTC
Yaadein
Dil me liye armaan hazaro, har ek insaan daudta hai.. Sapne pure karne ko apne, kai baar woh rota hai.. Tanhai ke aasuo ki keemat nahi hoti, aankhen nam kar akele, fizool hi roya main.. Pata nahi kaise, par iss daud me jeet kar bhi hara main.. Mushkil hoti hai dagar, agar khud ke liye jeete ** dusro ke liye jeena aur bhi mushkil hota hai.. Iss raah me kabhi kisi ka saath mile, woh saath nibhana aasaan nai hota hai.. Meri koshisho me shayad reh gayi kami koi, jo aaj tak nahi nibha saka isss rishte ko main.. Pata nahi kaise, par iss daud me bhi hara main.. Khud ki takleefo me shayad gum gaya zyada zara, jo dikha nahi mujhe mushkile hoti toh sabhi ko hain.. Chizo ko suljhane chala tha, uss raah me khud hi ulajh gaya main.. Naa mushkile kam hui aur naa takleefe door, bas dil dukhaya sabke main.. Zindagi shayad daud nahi, par main phir bhi isme hara hu, kisi aur ka kya kasoor, bas zindagi se hara mai..
0
Apr 9, 2019
Apr 9, 2019 at 6:38 PM UTC
Hara Mai..
bhott hi nazuk sa rishta nibhana pdta hai kisi k dil ki baat ka marm hone k liye... aur sapne tod k jeena itna aasan nhi hai yaaro himmt chahiye besharam hone k liye !
0
Dec 16, 2019
Dec 16, 2019 at 11:11 PM UTC
______
Wadaa to suraj krte h roj milne aane K, Wadaa Chanda krte h saath nibhane K, Wadaa taare krte h aasmaan m chamak jaane ka, Unsa schcha wadaa na hi koe kr sakta h, Nahi nibha sakta h, Socha h agr kbhi usne apna wadaa tor diya to kya hoga, Wadaa krna nibhana whi sikhate h, Wo hi to anhokhe taufhe h
0
Feb 11, 2021
Feb 11, 2021 at 11:00 AM UTC
Wadaa
Hai pratigya yh Ki bdlaao h Lana Sachchae ka hme h saath nibhana Sach k khatir apno ka v saath chor jana Hr paapiyo ko h hme sabak sikhana Gunaho ko jhr s h mitana Apne desh ki raksha k khatir Khudh k jaan ko v daao pe lagana Hai pratigya h Sch ka h saath nibhana Hr archano ko hra k bsh aage bdhte jana
0
Jun 26, 2021
Jun 26, 2021 at 12:46 PM UTC
Hai pratigya yh
Dharam K naam or hote dange h Dharam K naam pe khote insaniyt h Akhir yh dharam h kya Hindu, muslim, eshahi Kya hm kisi K khun s dharam ka pta lga sakte h Fir yh dharam nibhana etna jaruri q h Q dharam K naam pe insaano ko bata jata h Kya dharam h sarwopari h To fir yh insaaniyt Kay h agr insaaniyt nibhane K liye dharam ki maryada tuti to yh paap kese h Q un dange pashad m Kuch maasum bchcho ki masumiyt chinta yh smaaj h Aakhir dharam kese bdha hua jb wo glt rash m hi le jata h aakhir q yh log dharam K arth ko bigaar rhe h Or jhuti insaaniyt K naam or insaan ko maar rhi h Aakhir q?
0
May 28, 2021
May 28, 2021 at 1:00 PM UTC
Aakhir q?