Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"nhn" poems
Muhabbat chaiay, lazim hai kay Saans aay aur jay Jahan muhabbat chalay, hawa ki manind Kay buhat tapash hai Aur dil ki zameen mun kholay haanp rahi hai Aur nazar kaheen poshida hai Dil aur bahar Har taraf Ikk hi hawa hai Loo ki manind Larazti, sansanati *** Jaisay haddion ko murjha day Aur thara day saans ki simt ko!! Kaheen bhe nhn, kuch bhe nhn Jahan jaon, jahan tharon Wahan kuch bhe nhn, kabhi bhe nhn. Ehsaas kahan hai? Yay dil tou ab ikk pinjra hai Jahan ka makeen bolay tou maut, saans bhe maut, harkat bhe kafan, lafz bhe khatam! Kuch hai, in dinon, kay shaam ka ilhaam Meray dil kay darwazon pay Khafeef ahat say bhe Maut paida karta hai Aur iska paida hona Meray wajood main Ikk Ah ban kar raqs karta hai. Kuch hai Kuch tou hai Iss shaam main , aaj kal! Rung-o- boo ki nami, uss ehsaas ka sarood Kaheen ab samandar paar sakoot ki chadar orhay baitha hai Aur idhar mera wajood Bass akhri saans ikk umeed ki aas pay laita thahar sa gya hai...
0
Sep 3, 2019
Sep 3, 2019 at 3:21 PM UTC
Sakoot!
yay jo haal hoa sare- shaam hi, siyah dasht -o- garibaan hoa, Mjhay hasil naan tha jo kamal bhe, Wo bay-sabab shikasta -o -jaan hoa.. aay rahbar -e-zindagi, yay kaisi taveel tar raat hai, Naan amaan mili, naan hi koe imtihaan hoa!! Wo jo pamaal kar gay meray khwab ko, us hashar-e- jaan ka kia samaan hoa; Yunheen gard main liptay bujhay khayal, Shahr say jaanay ka yun ihtimaam hoa! Yay rang nhn saraab hain,yay ehsaas say door paar hain, Meray bayrabt say tootay pyaar main,Jo hoa tou bass yunheen hoa!!
0
Feb 19, 2019
Feb 19, 2019 at 11:56 AM UTC
.........
Main jiss shahar ka aadi hon Uss shahar kay baasi ajnabi nigahon say dekhtay hain mjhay In chahron pay charhay rung Mjhay rung nhn bay rung lagtay hain Iss shahar kay darr-o-dewaron say abhi mera rishta nhn bana Aur raastay yahan kay mujh say khauf khatay hain! Maij jiss shahar ka aadi hon, Uss kay baasi apnay hi rung main holi khailay jatay hain Aur main safaid aur siah kay darmian hi uljha baitja hon. Sooraj nikalta hai zaroor, laikan sitaray raat kay mjhay daratay hain, Aur yay onchi onchi amaraat, kiss dayo ki maanind lagti hain mjhay! Main phir bhe iss shahar ka aadi hon Main phir bhe iss shahar ka aadi hon!!
0
Nov 8, 2018
Nov 8, 2018 at 7:12 AM UTC
Main iss shahar ka aadi hon!
Nhn aayna- e -saaz main go-mago yay kaifiat Jaisay burg- o -bahar main ** koe chingari Jiss kay sholon main bujhay yay dil rakh ki soorat Jisss kay chahray main jalay angari..... Main wo zaat hon jiss ka koe shahar nhn Jo jahan chalay wahan aag lagay Jiss kay bayan main naan zahar naan amar Jiss kay wajood main dah-kain sab raaz chupay..... Nhn asbaab koe, nhn imkaan koe Mere zaat kay hisaab main nhn jaan koe Phir bhe toofan-e- azam liay chalti hon Kay meray dard ki intiha ki nhn intiha koe.......
0
Feb 19, 2019
Feb 19, 2019 at 11:34 AM UTC
kaifiat(a state)