Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"nazuk" poems
Lal rang ki saree ka jawaab nahi hai. Aisa lagta hai ki Rooh ka libaas hai. Haseen Badaan ko chupati bhi hai Dil kai dhadkanai kau badaati hai. Kamaar ki woh thar tharanaa. Kamil naaf ka woh chup chupunaa. Woh gehri aur nazuk sai sozen kari Aap ki khobsuraati ka izafa kar dehti hai. Lal rang ki saree ka jawaab nahi hai. Aisa lagta hai ki Rooh ka libaas hai.
0
Jun 14, 2018
Jun 14, 2018 at 7:32 AM UTC
The Red Saree
Khwaab dekho. Khuli aankhon se ya band, fark nahin. Khwaab humein kahan se kahan leja chhodti hai. Jo kabhi dekha nahin woh dikha deti hai. Jis cheez ko kabhi chhua na ** use bhi mehsoos karwa deti hai. Kabhi paseene mein bheega jagaati hai, toh kabhi apni ulfat se gaalon ko laal kar deti hai. Cheekh kar uthaa hai koi toh koi muskuraate. Koi toh khatam hone ka naam nahin leta. Kisi ke beech mein kat jaane ka gila hai rehta. Mujhe toh hamesha khatam hone ka intezaar hi raha ------ uske aane tak. Bura dekha, bura jaana, bure ne ghere rakha ab tak. Mein ne seene par sar rakha, phir usne mere haath par apna bada magar narm haath rakha. Usko meri nazuk lambi ungliyon se khelna achha laga. Mujhe mohabbat jatane ka yeh tareeqa uska achha laga. Aankh khuli. Pehli dafa kaanp kar nahin sharmakar jagi. Sukoon toh tha. Par gila bhi raha. Phir socha, khwaab itne bhi bure nahin. Toh khwaab dekho. Kuch rehne do. Kuch poore karo.
0
Sep 11, 2021
Sep 11, 2021 at 12:36 PM UTC
Khwaab
Yeh samaa woh waqt ka hai Jab hum jawaan thai tum bhi jawaan thai. Uss shadi mai aap ka aaana. Aur mujhe bar bar dekhnaa. Aap ka andaaz ke kya khanai. Jau hum kau bebaaz kar deeya. Woh aap ka nazuk natnaai phulaanaa Woh aap ka sharm sai thar tharanaaa Woh aap ki kali saree sai naaf ka Meri aaukhai sai chupa chupi khelna Woh aap ki halki se musqurahat Woh aap ki thodi se sharahaat. Aap ka andaaz ke kya khanai. Jau hum kau bebaaz kar deeya. Phir woh mera pass sai guzri. Merai dil pai raiham na karkai. Aur phir paas woh jab aaayi. Aur yu muskurayee. Uski sassai merai cheharai par halki halki baraas rahi thi. Yeh samaa woh waqt ka hai Jab hum jawaan thai tum bhi jawaan thai. Yeh
0
Jun 7, 2018
Jun 7, 2018 at 10:44 AM UTC
Jab hum Jawaan thai tum bhi Jawaan Thai.
bhott hi nazuk sa rishta nibhana pdta hai kisi k dil ki baat ka marm hone k liye... aur sapne tod k jeena itna aasan nhi hai yaaro himmt chahiye besharam hone k liye !
0
Dec 16, 2019
Dec 16, 2019 at 11:11 PM UTC
______
Woh Muskurahat Woh Chamak Woh Andaaz Woh Nazuk Si Hasee Woh Natnaau Ka Phulanaa Woh Andhadhun Safaide.
0
Dec 18, 2018
Dec 18, 2018 at 12:24 PM UTC
Safaidee
Mera Yeh Dil Ab Nazuk Hau Gaya. Aab Aur Bardaas Nahi Kar Saka Kabhi Teri Khamooshi Kabhi Teri Nafarmani.
0
Jan 3, 2019
Jan 3, 2019 at 10:06 PM UTC
Haalai E Dil.