Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"namak" poems
Ek chand gumsum sa hai Door desh rehta  hai. Jab b puch lo kyu udas hai Koi baat nahi kehta hai Kya kho gya hai uska jo door desh me dhoondta hai Sans is zami me hai To vha ku ghumta hai. Muje fark yun padta hai Ku Maine is chand ko haste hasate dekha hai. Ladte jhagadte roothte manate dekha hai. Us chand Ka taqiya b uski ankho ki nami mehsus karta hai. Bhai jan to hai par aapi ammi ki kami mehsus karta hai. Vo vha aasman ki talash me gya hai Apne sapno k jahan ki talash me gya hai. Ab use is shehar ki chamak b raas ni aati Kabhi bethkar sochta hai k is shehar kash na aati. Maa ki panv ki jameen ko jannat hai janta hai. Jo samne se jhagdta tha phone pe ammi Ka Sab kha manta hai. Us chand Ka dil b toota hai kisi se keh ni paya Sab kuch saha Akele Bas Roye bina reh na paya Ab Dard kam hai Bas kasak baki hai Khalish baqi  hai jakhm pe thoda namak Baqi hai. Or Hume intezar hai k vo chand Jane ab Kab hasega Kab utha k tasveer zindagi ki usme rang bharega Chudi bindi mehndi libaz Sab shaunk thode kam ** gye hai Ye Sab dekh k hairan hum ** gye hai ** skta hai ye likha b use na pasand aye ** skta hai nazarandaz kare ya nazarband kar jaye Hume yakin hai vo Khud k  Masle hal kar legi Sabr or dua dono mile h use aj ni to kal kar legi Dhal jayega jald vo saya jo chand pe aj betha hai. Ek chand gumsum sa hai Door desh rehta  hai. Ek chand gumsum sa hai Door desh rehta  hai.
0
Oct 25, 2022
Oct 25, 2022 at 9:16 AM UTC
Ek chand
Kabhi Kabhi to main apne aap per Has padta hu Itna gyan prapt kar liya fir bhi pathar ki murti samne hath jod kar khada hu Kabhi Kabhi to main apne aap per has padta hu. Sau chuhe to humne bhi mare, namak dalkar bhi humne khae par jab haj per pahunche tab pata Chala ki vah sab to viarth tha. Dharm aur Bhakt ki kya yah dosti badi aanokhi hai buddhu pahla wala banata hai, dusre wala samjhata hai ki buddhu kaise banaa hai. Tu jise maine dekha nahin bus khali teri batay hi suni hay To ab tu hi bata k tuj par kesay visvas Kar Lu par tu bataee ga bhi kesay Kabhi Kabhi to main yah sochta hu ki agar tu na hota to kya hota ? Agar tu hay us Ka bhram na hota to yah pakshpath na hota, tu alag mein alag aisa mahsus na hota insan insan ke barabar hota. Maine suna hai ki har Kan mein hai tu To tere liye ye ghar banane ki itni jid kyon? Tu kya tu nahin chahta use jagah per ek bhavya vidyalay bane? Kuch dost to mere aise bhi hai ki jab ab dharm per vivad hota hai tu yah sunana nahin bhulate ki unhone yah dharm granth pada hai aur sathi sath yah bhi nahin bolate ke tu bhi yah dharm granth pad. Agar dharm granth padhne ke baad ahankar aata ** to vah granth na pado to behtar hai. Vishvaas ki kai paribhashaye hai Jaise Shaniwar ko chana, tel aur chappal Na khaya, lagaya aur kharida jata hai. Or jab poochho k kyon? To uttar aisa milta hai jis per vishvaas nahin hota. Vishvaas karo To prashn nahin, aur prashn Karo to tumko vishvaas nahin, yah kaisi andhvishwasi mayajaal hai jismein ek ke liye suraj nila hi, To dusre ke liye hara hi Aur teesra aankhen kholne ko taiyar nahin kyunki use ine donon per VISHVAAS NAHIN.
0
Oct 10, 2020
Oct 10, 2020 at 4:32 AM UTC
Vichaar Ya Vishvaas?

Continue reading...
40
Fasana bayan kr raha hoon apni rooh k hoslo ka.. Mujh gareeb..nacheez ko manzilo ka nishan mila..ye karam tha mere kuch azeez doston ka Apne hoslo k dum pe.. Jhoojhta raha Zindagi se.. Main subah shaam.. din raat.. Hunar ki kalam se hi likhoonga apni taqdeer..Jigar me dhaan li thi ye baat Zakhm khata raha Dil par bahut waqt tak.. Walid ka kaha maan kar.. K baccha bana rahega toh bacha rahega..saare sabak zeher ki tarah peeta raha..sabhi ko apna maan kar Seekhne ki koi umra nahi yaaro.. Har pal ye zindagi naya sabak seekhayegi.. Dil khol k jholi bhar lena..jeewan roopi kashti yehi paar lagayegi Mushqil daur me kai martaba mehsoos ki.. Maine khuda ki maujoodgi apni bagal me.. Uska sehlana..mere sir aur meri kamar me.. Kandha numa sirhana diya kai dafa usne sisakti rooh ko.. Dilasa diya..Tujhe mazboot banane ko imtihan le raha hoon tera intaha tak..Tu hosla rakh..Main hoon toh! Waqt ne bhar diya sabhi zakhmo ko marham bankar.. Namak jo baha tha aakhon se..woh mere pairo ki zameen..sir ki chat ban gaya hai chankar Har pal shukrana karta hu khuda teri rehmat ka.. Dua kubul krta hai tu sabhi ki apne dar pe..karz hum adaa kr nahi sakte..teri is zehmat ka Meri sabhi doston ko ek maskeen hidayat hai.. Kissi bhi cheez se Insaani zindagi ki kimat kam hai..kyu issi ki bahutayat hai.. Manzilo ka nasha hai toh chamkao apne hunar ko is kadar.. Jhuka do un sabhi namurado ko..lage honge jo hosle **** karne tumhare..zindagi ki har dagar par😊
0
Apr 25, 2020
Apr 25, 2020 at 4:58 AM UTC
HOSLA - INNER STRENGTH TO CONQUER
Are ye to batao tum chahte ** kya? Alag thalag bhi kar doge, jo pana chahte ** vo pa loge ham bhi bhul jaenge magar itihaas nahin bhulega. Dange bhi karaaoge, khedh bhi jataoge ek baat yaad rakhna tum bada pachtaoge. Namak wali rotiya khilaoge, pani wali chai banaoge Bin karan lathiya chalvaoge Aazad desh bolkar media ko zukaoge Dhayan bhatkakar chai va biskut bhi tum khaoge Per ek na ek din apne aap ko katghare may paoge. CAA ke naam par humay daraoge betu ke kazag makang kar bahar ka rasta dikhaoge kapdo ka rang dekh kar chronology tum samjhoge antinational bolkar har prashn ko tum dabaoge Jo aag tumnay lagai vo kesay bujaoge Aaesi hi lagaygi us maa ki k phut phut kar marjaoge. Bus mann ki baat tak simit rahakar kaam ki baat bhul jaoge. Ek press conference to hoti nahin tumse tum kya aatmnirbhar banaoge Saal dar saal shrif aarakshan ko hi tum badaoge, China ko jhutha bolkar, detention camp banvaoge. Marne ke bad shidha tum narak mein hi jaaoge. Ek baat yaad rakhna dost tum bada pachtaoge, TUM BADA PACHTAOGE.
0
Oct 10, 2020
Oct 10, 2020 at 4:31 AM UTC
Tum Chahte ** Kya?
Mat rok mujhe Mein sharabi hu Mat rok mujhe Mujhe doobne de Darta hua sa ghulta waqt Isharoo isharoo me ghumta Ghumsum sa zakhm... Namak sa amber e aashiqui Mat rok mujhe Jane de janha koi theekana na **
0
Feb 9, 2018
Feb 9, 2018 at 12:51 AM UTC
Mat rok mujhe!
Bhaiyon aur behnon Aao karein charcha unki Jinki leh na bahe toh Hojata hay ghanghor apraadh Fir mehek achi ** ya buri Dil mein bas reh jati hay baat Zaika hai inka bhi anokha Magar chonk ke bina kaisa swad Aao karein charcha unki Jisse hum khetey hain jasbaat Apni marzi ke yeh hain maalik Time par dikhate hain aukaat Kabhi bina namak, Aur kabhi cheeni *** ** toh G par dil khol dete hain laath
0
Feb 4, 2020
Feb 4, 2020 at 3:13 PM UTC
Namak, swag anusaar