Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"naachti" poems
Aa ab laut chalein apne ghar Aa ab laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha teri shetaniyon ka manzar tha Jaha pyar ka samndar tha Jaha thak kar sona ata tha Jaha har kona muskurata tha Jaha beeta har din yadgaar tha Jaha ka har pal suhana khwab tha Aa laut chalein apne ghar ab bht taay kar liya yeh safar jaha khul kar tu bhi hansti thi jaha muskura mein bhi leta tha jaha teri badmashiyo mein bacha me bhi bann leta tha jaha naachti tu thi aur jhumta me tha jaha bachon si ladhai aur dil ka mehal tha jaha na kabhi dur hone ka dar na adhuri koi aas thi jaha sath beshumar tha aur poori har saans thi jaha rote rote hans dete the hum na koi fikar ki bat thi jaha ghanton batein karte the hum ghadi ki sui na humare sath thi Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha tera kam se ana tha Phr mujhko gale lagana tha Jaha teri bematlab ki baton me Mera kahn gum hojana tha jaha har sapna jee rahe the hum jaha nahi thi kisi ki koi sharam jaha dikhawa koso tak na tha har jagah tha bass pagal pan Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar jaha jhagde bhi suljhe se the jaha ansun bhi uljhe se the jaha hothon pe muskan bhi thi jaha ankhein kuch naadan bhi thi jaha nanhe kadmon ki awaz bhi thi jaha lori ki chankar bhi thi jaha ghungru si tumari payal bhi thi jaha kangan ki awaz bhi thi jaha hansta hua tera chehra bhi tha jaha ghurti meri ankhein bhi thi jaha band woh darwaze bhi the jaha do **** ek jaan bhi the Aa laut chalein na apne ghar waqai bht lamba ** gaya yeh safar.... waqai bht lamba hogaya yeh safar..!!! ..
0
Oct 29, 2020
Oct 29, 2020 at 10:05 AM UTC
Aa ab Laut chalein apne ghar...!!

Continue reading...
52
Main hoon dasi Kisi ki naukrani nahin Na koi kaharin Main hoon devadasi Devalayon ki shobha Sada saanjh ko Kanak deep jala Devstuti kar Khud ko bhagyawati samajhti Main hoon devadasi Yahi to hai mera garv Wah din yaad hai aaj bhi Raja ne jis din meri pratibha Ko samjha Mujhe devadasi ka pad saunpa Mere premi mere devta Prabhu Sada raat ko jinke liye Ghunghroo pehen naachti main Lekin garima meri hai aisi Aashiq mere anek Naachti jab main Mujhe dekh Woh kya maza lootte Mere punya ko chhente! He prabhu Jeeti hoon ab Roz shoshan ke dar mein Uddhar Karo naath Tumhari patni nahin Aakul bhagat ki to guhar suno Uddhar Karo prabhu Kehlaun mein Punya devadasi!
0
Jan 19, 2018
Jan 19, 2018 at 7:51 AM UTC
Devadasi