Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shivam Porwal Jan 2018
Kar himmat or aage badh,
Bina dare, bina thake bas chal de tu,
Mushkile hai raah me, to aane de,
Kuch kar gujrne ki chah ko jagne de.

Tujhme hai wo kabiliyat,
Tujhme hai wo junoon,
Tu jo chahta h wo kar ke to dekh,
Milega tuje 1 alag hi sukun.

log kya kahenge ye sochna chod de,
Abhi bhi moka hai, apni kismat ko badal le,

Are Heera hai tu, bas khud ko tarashne ki jaruart hai,
Apne andar chupi kabiliyat ko pehchanne ki jarurat hai,

Par sirf, Apni kabiliyat ya apne hunar ko pehchan lena hi kafi nahi hoga,
Ye hoonar 1 podha hai, jise tuje apni mehnat ke pasine se Sichna hoga,

fir dekh, 1 din tera ye hoonar hi teri pehchan ban jaega.
Aur wo din door nahi, jab hazaro logo ke liye tu ek misaal ban jaega !!! :)


Written By:
Shivam Porwal
Have a courage and just move on. Don't Bother what people think about you
#stay_inspired
Anonymous Apr 2019
Dil me liye armaan hazaro,
har ek insaan daudta hai..
Sapne pure karne ko apne,
kai baar woh rota hai..
Tanhai ke aasuo ki keemat nahi hoti,
aankhen nam kar akele, fizool hi roya main..
Pata nahi kaise,
par iss daud me jeet kar bhi hara main..

Mushkil hoti hai dagar, agar khud ke liye jeete **,
dusro ke liye jeena aur bhi mushkil hota hai..
Iss raah me kabhi kisi ka saath mile,
woh saath nibhana aasaan nai hota hai..
Meri koshisho me shayad reh gayi kami koi,
jo aaj tak nahi nibha saka isss rishte ko main..
Pata nahi kaise,
par iss daud me bhi hara main..

Khud ki takleefo me shayad gum gaya zyada zara,
jo dikha nahi mujhe mushkile hoti toh sabhi ko hain..
Chizo ko suljhane chala tha,
uss raah me khud hi ulajh gaya main..
Naa mushkile kam hui aur naa takleefe door,
bas dil dukhaya sabke main..
Zindagi shayad daud nahi, par main phir bhi isme hara hu,
kisi aur ka kya kasoor, bas zindagi se hara mai..

— The End —