Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aabid Rumi May 2017
Tere bin yeah zindagi mazaak see lagti hai
Har  dhuvay mai lipti apni he aag lagti hai

Tunay thama tha hath mera toh hum chalna jaan gaye
feesal rahia hai kadam kyun ki thokarey apni he lagti hai
Nigahain num naa huvi  toh gilla rehta he hai
Har katrai-e-ansu phir bhi ek shikayat see lagti hai
Yeah kis mode pay hum akay rukay,na manzil hai aur naa rasta
Faryaad kissay ab karey ki har shey ajnabi see lagti hai.
ghum-e-samandar k kinarey pay  tanhaa betha hai yeh dil
Pass aye toh aye kon ki dardkaney bhi ab sazaa see lagti hai
Bichard kay tumsay hum khoye kahaan naa maloom hai
Jistiju mai har bikhra nishaan apni he pehchaan lagti hai
Yeah kaisi inayat hai ki tummay mang kar yun ruswaye milli
kyun har dua ab yun khairaat see lagti hai
Yeah ishq kyun aisa hai ,naa tera hai aur naa mera
kab aye aur kab gaye ki choti see mulakat lagti hai
Ab aur nibaya nhi jata RUMI,yeah **** bina rooh  kay
Mere waja say yeah duniya kyunki pereshaan see lagti hai

...Aabid Rumii
Tanzeelah Illahi
Abhishek kumar Jun 2018
Na hogi ab koi baat
Na hi hogi koi mulakat
Ab hum chalte hai
Bahut rhe liye ek bewafa ke sath

Tujhse na baat karne ka dukh toh hoga
Tujhse na milne ka afsoos bhi rhega
Par koi baat nhi
Jo hoga achhe ke liye hi hoga

Gussa na samjhna ise
Kyuki vo toh aata hi nhi mujhe
Kahi na kahi pyar hi hoga mera
Bas prkar alag hoga

Achha ab chalta hu
Khat chhota hi rehne deta hu
Apna aakhri pegaam bas yehi deta hu
Tumse milna ka toh nhi
Par tere salamat rehne ki duaa karta hu
Shruti Dadhich Aug 2019
Kitne din hue,
Khud se nhi mulakat hui;
Khamoshi ki chader odhe pta hi nhi chala,
Kb subha se raat hui;
In ulzi ulzi julfo ko sulzaye,
Kitne din beete;
In aankho ki kahaniyo me dube,
Jaane kitne hafte beete;
Kitne din hue,
In tute sapno ko seete!
Arsa hua,
Khud k haal chal puche,
Uf! Kitne din hue,
Is duniya me kho se hye hai hum,
Khud ko kahi bhula sa diya,
Bs zindagi me ye hi h ek gam...
- $D
I won't regret for loosing anything or anyone in my life, but the thing I regret the most is loosing myself in the crowd of this fake world!
Mayank Garg Jun 2020
-Dooriyon se koi fark nahi padhta
-Baat toh dilo ki nazdikiyon se hoti hai

-Dooriyon se koi fark nahi padhta hai
-Baat toh dilo ki nazdikiyon se hoti hai
-Dosti toh kuchh aap jaison se hai
-Varna mulakat toh jaane kitno se hoti hai
Akta Agarwal Jun 2021
Abhi to suruwat h
Saathi to hmare aap h
Janne ki yh suruwat h
Kuch h jana tujhko
to kuch ab v raaj h
Pr fir v aap khash h
Sabdo ki aapko khubh pehechan h
Un sabko m bya kya aapne wo ehsash h
Ha nhi hue hmari mulakat h
Pr fir v ek dusre pr kuch alg s vishvash h
Or aesa yh dosti ka bndhn h
Jo sabse khash h
Simran pawar Jul 2020
Bewajha
Kisi raha pe ,
Ghum ** jau me to,
Fr dhund ne
Bhi mat ana..

Agar yaad aye mere alfazo ki,
Meri Kavita ki khushboo
Apne saath samjhna,

Na ** ke bhi
muskura dungi,
Es bheegi raat me ,
Zindagi ki Kahani se vakhif kara dungi.

Dhub te pao jab khudko,
Khud se ek sawal karna,
Aur bhul ke vo baat,
Aaage zindagi ke aur badalo se mulakat karna.
LLZ Apr 2020
Toh Kya hua,
Ab hum saath nahi ,
Ek dusare ke paas nahi,
Duriyaa hai darmiya ,
Par ,pyaar ab bhi hai beimteha.
Tumne kaha tha ,
Hum dur ** rahe hai ,alag nahi.
Ha pata hai mujhe ,ki ab phele jaise
Na baat hoti hai
Na mulakat .
Na Teri kadamo ki ahat sunai padti hai,
Na Teri jalak dikhayi deti hai
Ha duriyaa hai darmiya
Par , pyaar bhi hai beimteha.
Suno,
Narajgi bhi tumhi se
Shikayat bhi tumhi se ,
Aur beshumaar pyaar bhi tum se hi hai.
Pyaar tumse tha, hai aur hemesha rahega.
Duriyaa hai darmiya
Par pyaar bhi hai beimteha.
Aryan Sam Apr 2018
Tu akhan ta band kr
Me tere kol hi aa
Bus tu menu mehsus kar.

Wese kade sochea c tu
Ki mulakat ewe bi ** sakdi he?

— The End —