Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
Sare jahan se pyara ye hindostan hamara,
Na ruke the hum na rukenge kabhi,
Badhate chale jayenge lekar yahi nara,
Sare jahan se pyara ye hindostan hamara,

Geet gate chalenge, hath milate chalenge,
Raksha karne ka pran lekar hum apna sar katate chalenge,
Na jhukaye the hum, na jhukayenge kabhi
Mita denge khud ko apne desh ke liye yahi hain pran hamara,
Sare jahan se pyara ye hindostan hamara,

Dekhlo ai dusmano hum pith pichhe war karne wale kayar nahi,
Hum sher hain apne desh ka tum jaise kayar nahi,.
Uncha rahega sda ye TINRANGA hamara,
Sare jahan se pyara ye hindostan hamara,

Kaise bhula de wo sahidon ki purani yaadein,
Jinhone khud ko mita di es desh ki suraksha ke liye,
Chhod chale gye wo khun se latfath yaadein,
Etihas ke panno me likhenge dobara,
Vishwa me sabse uper rahega
Ye hindostan hamara,
hindostan hamara......
IT IS DEDICATED FOR ALL FREEDOM FIGHTERS OF INDIA. EVEN THEY ARE NOT ALIVE BUT THEY WILL ALWAYS ALIVE IN MY HEART.
Megha Thakur Jun 2020
Ye raste jane hume kis or le jate hai,
Zara sa apnate hai kabhi,
To kabhi begane lagne lag jate h.

Ye tedhe-medhe ulte-sidhe raste,
Kis gali kis nukad par mud jate hai,
Jaha bhi ye mud jate hai wahi se naye mod ban jate hai.

Har mod har dagar par ye naye kisse nayi kahaaniyan sunate hai,
Kabhi haste hai hume to kabhi hume rulate hai,
Kabhi kisi ki zindgi ki shuruat to kabhi kisi ke kahaani ka ant ban jate hai.

Yehi to hai jo hume zindgi ke har naye-purane pahlu se rubaru karwate hai,
Jo ye girate hai to uth kar fir chalne ka sabab bi to hume yehi samjhate hai,
Ye raste hi to hai jo musafiro ko unki manzil ki or le jate hai.

Jo kabhi hote hai naraz to paas bhi ye khud hi bulate hai,
Apno ki ehmiyat kya hai is zindgi me yehi to hume btate hai,
Hai apnate kisko kabhi to kabhi kisiko bhul bhi ye jate hai.

Zindgi hai chalte rahne ka naam ye raste hi to hume yaad dilate hai,
Har pal har ghari kuch naya hume sikhate hai,
Jo milate hai kisise kabhi to kabhi kisiko dur bhi to yehi le jate hai.

Or agar gaur se dekha aur socha jaye to,
Zindgi ke mayine aur is hasin falsafe ka ehsaas  waqt be waqt aksar ye raste hi hume karwate hai.
-Megha Thakur
Usko apne pyaar ka izhaar krte dekha tha ,
Tera uske saath haat milate dekha tha,
Aur jane kyu uss din mujhe mauth nhi mili,
Mauth ne tho mujhe kud gale lgaa kr dekha tha,
Ik khaawb hai jo kabhi such ** nhi sakta,
Tumhe iss kadar haasil karlu jo kabhi kho nhi sakta,
Jis tarah rota hu tumhe gairo ki baaho me dekh kar,
Uss tarah tho kisi ki mauth par bhe roo nhi sakta.
...................................Ayush..................­.........

— The End —