Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mann Choudhary Apr 2013
RAHEN THAKATI RAHI ANKHE ,
RAHO ME TERE HUMDAM,
KE KABHI TUMAKO BHI PHURASAT ** ,
MILANE KO HUM SE,
SANSE CHALTI RAHI KE JIYA,
SOCHA MILUGA TUMASE,
YE SOCH  AB TAK NA SOE MERI ANKHE.......................♥
Ankit Dubey May 2019
Aaja ab paas mere kahin der na ** jaaye,
Abhi pyar karne ki lagan hai kahin jindagi beet na jaaye,
Tu bhi kahin ehsaas to karta hi hoga ,
Chup chuo k meri chahat pe guroor to karta hoga,
Beet jaane k baad agar mere tu lautkar aaya,
To yaad rajhna kahin kho dene ka sadma tujhme na ubar aaye,
Nahi chahta mai k tere dil me gam e bahar aaye,
Aaja ab paas mere kahin der na ** jaaye....
Silsila rok de ab mujhse nafrat jatane ka,
Shabab gahra hoga mere dil se tere dil ko milane ka,
Khamosh hokar yun intjaar karna nahi acha,
Ab to bole do kahin chahne vala tera hamesha k liye khamosh na ** jaaye,
Din beet na jaayr kaali raat thahar hi na jaaye,
Betaabi badhti ja rhi hai yujhe paane ki,
Ab rok de intjaar k lamhon ko kahin bahut der na ** jaaye,
Aaja mere paas ab kahin der na ** jaaye.
Ain Sep 2020
Khoobsoorti sadaf ki be misaal hoti hai....
Raaz hai uska jo chipa us mein ek moti hai.....

Sadaf ke do pat gar misaal e miya biwi hain...
Unki shadi ka rishta hi woh chipa moti hai...

Naazuk magar bohot woh baareek taar hota hai. ....
Jo us moti ko bana ke haar apne mein pirota hai...

Lamhe se lamha judta hai to ek zindagi banti hai...
Aur do zindagiyan milti hai to  ek shadi ki ladi banti hai...

Qadam se qadam milane mein khud ki pehchaan bhi khoti hai...
Alag se rang mein rangi phir shaksiyat dono ki nikharti hai....

Azwaji zindagi ke kuch apne masale bhi hote hain...
Kaanton se bhari raahon mein paththar bhi biche hote hain....

Zakhm in rahon par chal kar zaroor hasil hote hain...
Tab woh dono hi to ek duje ka marham hote hain...

17 saalon mein maine to bas itna hi seekha hai....
Hai woh kaamyaab rishta mohabbat se jisko seecha hai...

Sona chandi jis tarah ek aurat ko sajata hai...
Pyar o ehteraam waise hi rishte ko banata hai...

Wafa ka bhi to ek bohot ehm muqaam hota hai...
Qaayam uske dam pe hi to aitmaad hota hai....

Kuch aise hi to daqeeq yeh uroosi rishte hote hain....
Beinteha mohabbat se jinhe in jodon ne seechein hain...

25 o 50 salon ka yeh safar e taweel mubarak **. ..
Aapko yeh khoobsurat qaid e hayaat mubarak **. ..

Dua karti hain "Ain" laa zawal mausam e ulfat **....
Masrur rahe hayaat, har lamha pur rifaqat **...
LLZ Oct 2020
Toh Kya hua ,
Pehenti hu Mei jeans top ya short skirt koi,
Par sabhayta dupatte Vali h ,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu.

Mana ki pasand h mujhe,
Pizza aur burger khana ,
Par maa ke hath se bani chule ki roti bhi pyaar se khane Vali hu,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu.

Ha hu Mei todi ghamandi aur batameez,
Lekin choto se pyaar ,
Bado ka samman karne Vali hu ,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu

Nahi sajana maang Mei laal rang koi,
Nahi bandhna Gale Mei kala sutra koi
Ab apne swabhimaan aur aajadi ki or kadam badane Vali hu,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu.

Hath badane valo se,
Hath milane Vali hu,
Buri nazar se dekhne valo ko,
Unhi ke nazaro Mei girane Vali hu,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu.

Batameezi Kar Jaye gar koi mujhse,
Toh madat ki guhar nahi ,
Muh tod javab Dene Vali hu,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu!
City girl😊

— The End —