Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Jeet ka yu koi juluus niklaa hai ,
Dil haarne me hi jaise mazaa **....
Kyaa kare dosto ? Waqt ,waqt ka  ye takazaa hai ,
Jo humare dil ko yuhi jaise tatolta **....
Pyar ne humhey zindagi sey mila diya , ishq aur zindadili ka jaise intezaar **...
Yehi iltajaa hai raab  sey , ki ishq he humari ibadat **....
Ishq he hamari ibadat **....
© Mrunalini.D.Nimbalkar
Hindi poem#translates in one phrase to" love is worship "National language of india .
Nothing rhymes Jul 2011
in life we live for several moments actually.....
i dont believe in living for the moment... at a micro level, that day... u ll end up miserable the next..
but that doesnt mean u shud plan ahead and live for the days to come.. living in the future is not living at all.... what really matters is when the game is over...u should have no regrets... live for that moment....phir...mazaa aayega... then u ll live life...
Hrithik Hiran May 2020
Chehre pe gira jo woh boond uske
Jhalak ke aayi meri muskan aise
Ke Bikhri hui zindagi mein baras baithe
Khoyi hui aashaon ki baarish jaise

Bhul na paunga woh din
Pehli baarish jo bitayi thi saath mein
Chaatha tha mere paas bhi
Par ghus gaya tumhaare sang mein

Ek choti chathri aur hum do uske neeche
Bheeg rahe the hum aadhe aadhe
Par aise bheegne ka mazaa he hai kuch aur
Jab Aaghosh ke woh pal mile na kabhi aur

Chalte rahe hum aahista apne bus ki or
Kya batau kaise bitaye woh 5 minute
Unke Bheege zulfein jo karr rahe the shor
Chodke use apne bus mein
Bheegta raha uss pal ki yaadon mein

Aaj bhi Barsat jab bhi kare
Chaatha lene ko majboor
Yaad tumhari he karta hu Ke kaash tum hoti
Ghus jaata tumhare he chatri ki chaav mein
Pehli baarish ki un boondon ko chakhne
Ke kya swad aaj bhi wahi hai
Jo uss din chakha tha saath mein humne
This is about that special rain we all have had in our life in HINDI.
Hope you all like it!
Veena Iyer Aug 2020
Jeene ke laayak bana mujhe ae khuda
Teri kayanaat ko mein dekh sakoon
Tere karishmon ko kar sakoon nihar
Mere haath hamesha tujhe kar sake salaam
Mere honth hamesh tujhse kar sake duwa
Iss Kaabil mein rahoo ae khudha

Jeene laayak bana mujhe ae khudha
Narm baton se apno ko mein sehlaa sakoon
Andhere mein shamaa banker raah dikha sakoon
Mere aanchal ko banaa iss laayak tu
Mere dilbar ko wo banjaye ibaadat ka makaam

Jeene ke laayak bana mujhe ae khudha
Ki le sakkon teri khush mausamon ka mazaa
Saawan ki ghataa se jab ubharne lage fizaa
Tho daudke usse lipat sakoon Zara
Mere dil ki galiyaan khuli rahe hamesha
Muhabbat ka raahi ban, rehjaau mein sada...

— The End —