Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey Mar 2020
Zikr jab zindagi ka hota hai toh hum aksar apni zindagi ke guzre waqt ke flashbacks mein chale jaate hai, aur kehte hai zindagi toh bohot buri guzar rahi hai.. yeh maana ki jo beet gaya hai usse bhulaya toh jaa sakta hai magar apne zehan se mitaya nahi jaa sakta.. bas unn tamaam ache-bure daur ko muqaddar samjhkar aage badha jaa sakta hai. Aur life mein ek phase aata jab humein lagta hai ab aur kya dekhne ko baaqi reh gaya hai zindagi mein saare tajurbe aur sabaq mil chuke hai ab toot jaane mein hi bhalayi hai haar jaana hi ek aakhri sahi rasta hai. Aur phir apni khushiyon ka shok aur barbaadiyon ka jashn manane lag jaate hai. Magar khushiyan bhi itni aasani haar nahi maanti. Zindagi humein har ache-bure daur ke baad ek khoobsurat tohfa deti hai jisse hum mauka kehte hai. Humein zindagi se mile wo saare tajurbe aur sabaq phir se jeene ka hausla dete hai. Ek nayi umeed dete hai. Aur shayad isliye hum zindagi ka saath nahi chhorte.
Beete kal mein pareshan rehte hai, aane kal ki fizool mein fikar rehti hai aur jo aaj hai usse jeete toh hai magar thodi bechaini ke saath. Jo guzar gaya usse accept karke aage badh jao, jo kal hoga wo tumhare aaj ki mehnat se pata chalega na ki fikar se, aur apne aaj se mohabbat karo.
Ek badi ajeeb si cheez hai jo hum sabhi ke saath hoti hai jab hum 5-6 saal purani tasveer mein khudko dekhte hai toh hasi aajati hai ki kaise the hum ab waqai behtar badlaav aaya hai hum mein wo badlaav tum laaye ** khud ke andar. Waqt ke saath mature hokar, mushkil se mushkil maqaam haasil karke, apna vision aur mindset positive rakhkar, apni zindagi ko sahi raaste mein le jaakar. Isliye tum haare nahi **, zindagi mauke deti hai magar tumhe ehsaas tak nahi hone degi kab tumne uss mauke ka fayda utha liya. Aur agar kabhi bura phase aaye toh uss mein bekhauf hokar jeena magar sahi waqt par nikalkar apni zindagi ko behtar bana dena. Kyunki abhi tumhara qissa khatam nahi huwa, abhi tumhe nikhar ke wapas aana hai kahani badalne.. .
Kumari Shivangi Dec 2020
Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Pure din baat ** ya na **,
Lekin gn gm msg na aane par dard hota hai.

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Bas subah ek ankh khol k wish krna
aur tere kehne p uth jati hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Missing you , Love you
kehne se me apne dil k shabd naap leti hu
Pyaar jahir krti ni par fir bhi pyaar krti hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Nahi babu thoda late ** gya
Sun ke man me gussa lekin
chehre pe sirf muskurahat hoti hai

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Man daba Kar bhi tujhe sula deti hu
tujhe dard me kehrata dekh ni dekh pati hu
Vo sukoon ki neend tujhe ae uski dua krti hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Gussa tera seh kr bhi tujhe manane m lagi rehti hu
aur khud gussa hone p shant bethi rehti hu
Jhagda hone p khtm hone aur tere mesg ane ka wait krti hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Tera paas hone ka sukoon rehta h
aur vo shikayato ki lambi chaudi list bhi
tujhe dekhte he bhul jati hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Pas na hone p bhi pas rehti hu
aur har cheez ka hisab rkhti hu
Baat na maanane p datati bhi hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Teri wo smile dekhne k lie na jane kya kya krti hu
Aur agr kahi ruk jae to hath pakad leti hu
Dua me tera dard mang leti hu
teri salamati k lie hazaro darbar jaati hu
-KUMARI SHIVANGI
Roj wahi uthate he subah sabse pehle dimag m uska khyal aur nok jhok hone p 1 ghnate baad wapas aa jana... Dur hone p love you and missing you text s apni feeling bayaan karna aur uske pareshaan hone p mera pareshan ** jana... uska gussa chup s jhelna kyunki pata h ki baad m iske lie sorry bhi bol dete h aur uski ek hasi k lie hazaro pantia karna... Roj late hone p daantna aur thak jane p jabarjasti sula dena... Mera pyar bhi kamaal ka h... Na chah kr bhi beshumar h...
Ankit Dubey May 2019
Khafa mat ** is kadar k jindagi beet jaaye tumhe manane me..
Jindagi beet jaye tumhe mannae me fir se kareeb aane me,
Yun to pahle hi bahut ro chuka hu tumhari yaadon me,
Aansu baha chuka *** tumse door rah kar jindagu bitane se,
Ab door ** gaye to shayad himmat juta nahi paunga tumhe fir se kareeb lane me,
Kyun dil ki lagi tum nahi samajhti,
Kyu bhool jati ** dil ka haal dilagi jatane me,
Chahta hu sirf tumko koi aur mera is dil k ashiyane me,
Bhool jaoge agar tum mujhko,
Bhool jaoge agr tum mujhko jaunga fir se kis maykhane me,
Ab to maykhane b band ** gaye itna dooba hu tumse door jane me,
Beet jaayegi ye jindagani,
Beet jayegi ye jindagani bas roothne manane me,
Paas aa jao kyun door jate **,
Ab rah hi kya gaya mera ek tere shiva is jamane me,
Bheekh de do mujhe meri chahat mera koi nahi tere shiva duniya k kisi b thikane me,
Khafa mat ** khata pe meri k jimdagi beet jaaye tumhe manane me....
I love you
CHARU KASHYAP Apr 2021
Haa ki galti maine
nahi samjha pyaar tera,
ek baar bol deta
to kya mai samajh nahi paati..,
** *** tujhse door
is dhang me,
rang *** puri tarah,
kisi or k rang me..,
haa ki galti maine
nahi samjha pyaar tera..
par tu bhi chala gaya
chala gaya chup chaap
ek baar pukaar k to dekhta
kya mai nahi aati tere sang me
ha ki galti maine
nahi samjha pyaar tera..,
par tu bhi nikal pada
nikal pada nayi duniya banane
hua mujhse yu door
ki laga kisi or ko manane
tu khush tha apni zindgi me
mai bhi gum thi apni zindgi me
par ab pta chala
daur to wo hi achha tha
jab mere hatho me tera haath tha
tere labon pe mera naam tha
CHARU KASHYAP..., kabhi kisi ne kaha hai
ki tumhari aankhe bohot khoobsurat hai...,
haa wahi.., wahi baat or wahi naam
aisa laga hi nahi kabhi
ki hai hum alag
bss waqt guzarta gaya
or duriyan badhti ***
kyu ki galti maine
jo nahi samjha pyaar tera...
Wajah bewajah
bina baat hi kabhi bas,
log rootha kyu karte hain ?

Kyu
apni hi ummeedon ke tang jaal mein
din raat,
yun hi ghuta karte hain ?

Jaane anjaane
hum  “humare” “apno” se
wada jhootha kyu karte hain ?

Zindagi ki daud dhoop mein
kuch saathi bante hain
toh kuch
choota kyu karte hain ?

Dilon ke rishte
Aksar toota kyu karte Hain ?

Yeh roothne manane ka akhir silsila kya hai
Kai baar mile aur bichad gaye
Bhala majra kya hai ?

Iss banne aur sawarne ki
Iss tootne bikharne ki
Aakhir dawa bhi kya hai ?

Hey Nath,
Yeh das tumhare charano mein
Gira hua hai pooch raha
Mera dil hi kahin behaya kya hai
Ya paap ka ghada shaayad bhar gaya hai

Iss bhava bandhan mein phansa  hua
Meri karun pukaar suno
Kukarmo ke daldal mein dhansa hua
Kar raha chitkaar suno
Davagni mein jal raha
Bheesan hahakaar suno

Daya karo ab hey Bhagvan
Ya ban Narsingh sanhaar karo
Aap ki sharan mein ab yeh dushtt
Iss neech ka uddhar karo
Saumya Jan 2020
Kaha se lae hunar unhe
manane ka
Koi jawab nhi hai unke
ruth jane ka
Ki mohabbat ki saza to
hame hi mili thi
Kyuki jurm to hamne kia
tha dil lagane ka
Raato ki neendo ko
udaya tha hamne
Khud jagkar unko sulaya
tha hamne
Par zakhm to akhir hame
hi milna tha ishq krne
ka
Kyuki jurm to hamne kia
tha dil lagane ka
Dharmendra Kumar Jul 2020
Vaise ham naaraj bhi tumse is liye hote hai ki
Tumhare manane ka anddaz hame accha lagta hai
Lekin tum naraz mat hona kabhi
Pass rahna pass kam se kam chhup chhup ke dekhungi to sahi
Ki tum baar baar kahte ** kuch bhul gaye **
Tumko kya pata bhul to baate hoti hai
Tum to  is **** ki sans **
Jina bhi hai marna bhi hai bas har safar tum raho
Gam kya,dard kya, sab jhel jaoongi bas jab humdrum **

— The End —